Sad Shayari
PAGE=9
Ik Kafan Hi Mere Saath Jaayega
By : GaGaN (Views :
1077)
Waqt na jaane zamane ko kahan le jaega
hum to ruk jaaenge lekin waqt
chalta jayega
kaun chalta hai sada sung karwan e waqt ke
har musafir thak
ke koi rah pe ruk jayega
zindagi wo khawab hai tootega jab uth
jaaenge
mout ki aaghosh mein jab har bashar so jayega
kya mohabbat kya
khushi kya dosti kya dushmani
waqt ka sab khel hai aur sab khatm ho
jayega
sochta hoon main janaza dekh ker jaate hue
ik kafan hi hai mera jo
saath mere jaayega
Farq Srif Itna Sa Hai
By : GaGaN (Views : 1050)
farq srif itna sa hai teri doli uthi meri mayat uthi
phool tujh par bhi
the phool mujhe par bhi the
tu saj kar gayi mujhe sajaya gaya
tu bhi
ghar ko chali main bhi ghar ko chala
tu uth kar gayi mujhe uthaya
gaya
sakhiyaan teri bhi thi dost mere bhi the
mhefil wahan bhi lagi thi
log yahan bhi the
unka hasna wahan inka rona yahan
qazi udhar bhi tha imam
idhar bhi tha
do bol tere padaye do bol mere padaye
tera nikkah padha
mera janaza padha
tujhe apnaya gaya mujhe dafnaya gaya
Gam Ki Shaam
By : GaGaN (Views : 904)
ishq ko bohat badnaam likha
waqt ko hum ne gulam likha
reth par tera
naam likh kar
apni mohabbat ka anjam likha
naino mein ek deep jala
kar
is ko chiraag be naam likha
is nazam ko maine apni
anwah gam ki
shaam likha
Dil Ke Toofaan
By : GaGaN (Views : 646)
Aankhein Hai Meri Weeran,
Dil Mein Uthe Toofan,
Sapno Mein
Aake,
Mere Dil Mein Samake,
Mere Piya Ban Gaye Anjaan,
Ye Hawayein Kyon
Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,
Chaya Kaisa Andhera,
Tu Jo Na Hua Mera,
Dekh Akeli Mujhe,
Dhundti
Hawaon Mein,
Badalone Hai Ghera,
Ye Ghatayein Kyon Satayein,
Aayi
Yahan, Suni Raatein,
Rimjhim Rimjhim Barse Sawan,
Aaya Kaisa Ye Mausam,
Kajra Bhi Beh
Gaya,
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man,
Ye Fizayein Kyon
Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein.
Teri Yaad Aayi Hai
By : GaGaN (Views : 840)
Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut
Mujhko Rulata Hai,
Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jana,
Aur
Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jana,
Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal
Paana,
Tujhko Dekhna Aur Be-Khudi Se Dekhte Jaana,
Bahut Chaha In Guzre
Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Rehke Tere Sath Ka
Sochun,
Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes
Uthti Hai Ke Jinse Dard Hota Hai,
Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati
Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,
To Tay Paya Ab Mumkin
Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,
Tujhe
Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut
Mehsoos Hota Hai.
Ankh Bhar Aayi Hai
By : GaGaN (Views : 682)
Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat
Aayi Hai,
Kehte Hai Log IshQ Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon
Ruswayi Hai,
Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski
Yaad Chali Aayi Hai,
Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski
Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,
Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main
Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,
Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad
Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,
Usse TaaluQ Hi Kuch Aisa
Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai.
Usse Puchhun?
By : GaGaN (Views : 437)
Kabhi Shikaston Ke Dukh Uthe To Usse Puchhun
Wo Meri Manind Toot Jaye To
Usse Puchhun
Use Bhi Koi Sitara Manzil Se Door Kar De
Use Bhi Rasta Nazar Na Aaye To
Usse Puchhun
Safar Mein Wo Bhi Kisi Kade Imtehaan Se Guzre
Use Bhi Yun Kio Aazmaye To
Usse Puchhun
Use Mohabbat Mein Kaunsa Dukh Diya Hai Maine
Kabhi Nazar Se Nazar Milaye
To Usse Puchhun
Meri Tarah Din Chadhe Tak Wo Bhi Soye
Use Bhi Shab Bhar Na Neend Aaye To
Usse Puchhun
Mere Zakhm
By : GaGaN (Views : 381)
Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne
Apni Aankhonse Bhi Main Zakhm
Chhupaun Apne
Main To Qaem Hoon Tere Gam Ki Badaulat Warna
Yun Bikhar Jaun
Ke Khud Haath Na Aaun Apne
Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka
Diya
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne
Uski Talwar Ne Wo Chal Chali
Hai Aisi
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne
Main Subah Tak Roya
By : GaGaN (Views : 365)
Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya
Tu Na
Roya Koi Parwah Nahi
Chaak Garebaan Pe Har AashiQ Roya
Jo Haseeno Se Pyaar
Karta Ho
Aise Royega Jaise Main Roya
Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo
Ye To
main hu Jo Subah Tak Roya
Hum Raaton Ko Uth Uth Ke Jin Ke Liye Rote Hain
By :
GaGaN (Views : 378)
hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
vo ghair ki baahon mein
aaraam se sote hain
hum ashq judai ke girne hi nahin dete
bechain si
palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein
sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain
andaz-e-sitam unka dekhe
to koi samjhe
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
Dhoop Ke Saath Gaya Saath Nibhane Wala
By : GaGaN (Views
: 391)
dhoop ke saath gaya saath nibhane wala
ab kahan ayega vo laut ke
aanewala
ret par chhod gaya naqsh hazaaron apne
kisi paagal ki tarah naqsh
mitane wala
sabz shaakhen kabhi aise to nahin chiikhti hain
kaun aaya hai
GaGaNndon ko darane wala
aariz-e-shaam ki surkhi ne kiya faash
use
parda-e-abr mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere
saath raho
dasht purhaul hai toofan hai aanewala
mujhko dar parda sunata
raha qissa apna
agle vaqton ki hikayaat sunane wala
shabnami ghaas ghane
phool larazti kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutane wala
ab to aaraam
karein sochti aankhein meri
raat ka aakhri tara bhi hai jane wala
Ghurub-e-shaam Hi Se Khud Ko Yuun Mahsuus Karta Huun
By :
GaGaN (Views : 871)
ghurub-e-shaam hi se khud ko yuun mahsuus karta huun
ki jaise ik diya huun
aur hava ki zad pe rakha huun
chamakti dhoop tum apne hi daaman mein na bhar
lena
main sari raat pedon ki tarah baarish mein bhiga huun
koi toota hua
rishta na daaman se ulajh jaye
tumhare saath pahli baar baazaron mein nikla
huun
ye kis aavaaz ka bosa mere honthon pe kaanpa hai
main pichhli shab
sadaaon ki halavat bhool baitha huun
bichhad ke tumse maine bhi koi sathi
nahin dhundha
hujuum-e-rahguzar mein door tak dekho akela huun
Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ke Mar Jayenge
By : GaGaN
(Views : 783)
ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge
mar ke bhi chain na paya to
kidhar jayenge
tum ne thahrai agar ghair ke ghar jaane ki
to irade yahaan
kuchh aur thahar jayenge
hum nahin vo jo karein khoon ka dava tujh par
balki poochega khuda bhi to mukar jayenge
aag dozakh ki bhi ho jayegi
pani pani
jab ye aasi arq-e-sharm se tar jayenge
shola-e-aah ko bijli ki
tarah chamkaun
par mujhe dar hai, ki vo dekh ke dar jayenge
laaye jo mast
hain turbat pe gulabi aankhein
aur agar kuchh nahin, do phool to dhar
jayenge
nahin payega nishan koi hamara hargiz
hum jahan se
ravish-e-tiir-e-nazar jayenge
pahunchenge rahguzar-e-yaar talak hum kyunkar
pahle jab tak na do aalam se guzar jayenge
Jo Dil Ne Kahi Lab Pe Kahan Aai Hai Dekho
By : GaGaN
(Views : 782)
jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
ab mehfil-e-yaaran mein bhi
tanhai hai dekho
phuulon se hava bhi kabhi ghabrai hai dekho
ghunchon se
bhi shabnam kabhi katrai hai dekho
ab zauq-e-talab vajh-e-junoon thair gaya
hai
aur arz-e-vafa baais-e-rusvai hai dekho
gham apne hi ashkon ka
kharidaar hua hai
dil apni hi haalat ka tamashai hai dekho
Tumhein Bhool Jaaun Ye Hota Nahin
By : GaGaN (Views :
808)
tumhein bhool jaaun ye hota nahin
koi vaqt ho dard sota nahin
na ho jao
badnaam tum is liye
main ro ro ke daman bhigota nahiin
ye vo fasl hai jo
uge khud-ba-khud
koi dard ke beej bota nahin
ye maana ke toofan ka zor
hai
main ghabra ke kashti dubota nahin
Pyaar Ke Ujale
By : Kabir Shamsi (Views : 429)
pyaar ke ujale me gum ka andhera aata kyun hai
jise hum chahe wahi humien
rulaate kyun hai
agar wo mera nasib nahi
to khuda aise logo se milata kyun
hai
Kaise Kaise Haadse Sehte Rahe
By : GaGaN (Views :
552)
kaise kaise haadse sehte rahe
ham yunhi jite rahe hanste rahe
uske aa
jaane ki ummidein liye
raasta mud mud ke ham takte rahe
vaqt to guzra
magar kuchh is tarah
ham charaaghon ki tarah jalte rahe
kitne chehre the
hamare aas-paas
tum hi tum dil mein magar baste rahe
Mera Khamosh Rehkar Bhi
By : GaGaN (Views : 933)
mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena
zabaan se kuch na kehna
dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena
ijaazat ho to keh duun
qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna
dena
main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle
khata par ghaur kar lo phir saza dena
main is haalat mein pahuncha hasharwale
pukaar uthe
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena
Humsafar Hota Koi To Baant Lete Duriyan
By : GaGaN
(Views : 733)
humsafar hota koi to baant lete duriyan
raah chalte log kyaa samjhen meri
majburiyaan
muskurate khwaab chunti gungunati ye nazar
kis tarah samjhe
meri qismat ki namanzuriyan
haadson ki bheed hai chalta hua ye kaarvaan
zindagi ka naam hai laachariyaan majburiyaan
phir kisi ne aaj chheda
zikr-e-manzil is tarah
dil ke daaman se lipatne aa gai hain duuriyaan
Ik Na Ik Shamma Andhere Mein Jalaaye Rakhiye
By : GaGaN
(Views : 453)
ik na ik shamma andhere mein jalaaye rakhiye
subh hone ko hai maahaul
banaaye rakhiye
jin ke haathon se hamein zakhm-e-nihaan pahunche hain
vo
bhi kahate hain ki zakhmon ko chhupaye rakhiye
kaun jaane ki vo kis
raah-guzar se guzare
har guzar-gaah ko phuulon se sajaye
rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansu
apni palkon ke liye
kuch to bachaaye rakhiye
Kisi Ko Humse Hai
By : GaGaN (Views : 959)
Kisiko Humse Hai Chand Shikwe
Kisiko Behad Shikayatein Hai
Hamare Hisse
Mein Sirf Apni
Safaiyaan Hai, Wazahatein Hai
Qadam Qadam Par Bada Rahe
Hai
Musafiron Ki Talab Ke Raste
Hawaon Jaisi Mohabbatein Hai
Sadiyon
Jaisi RafaQatein Hai
Magar Kisine Ye Haq Na Maana
Ke Meri Bhi Kuch
Zarooratein Hai
Jab Dil Jale To
By : GaGaN (Views : 1090)
Har Bezubaan Ko Shola Nava Keh Liya Karo
Yaaron Sukoot Hi To Sada Keh Liya
Karo
Khud Ko Fareb Do Ki Na Ho Talkh Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-E-Wafa
Keh Liya Karo
Insaan Ka Agar Qad-O-Qaamat Na Badh Sake
Tum Isko
NuQs-E-Aab-O-Hawa Keh Liya Karo
Apne Liye Ab Ek Hi Raah-E-Nijaat Hai
Har
Zulm Ko Raza-E-Khuda Keh Liya Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai
Nishaan-E-Ziyaa
Jab Dil Jale To Usko Diya Keh Liya Karo
Uska Sitam
By : GaGaN (Views : 497)
Kiya Hai Pyaar Jise Humne Zindagi Ki Tarah
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi
Ki Tarah
Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chhod Diya
Wo Kar Raha Tha
Muravvat Bhi Dillagi Ki Tarah
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur
Taareeki
Chhupega Wo Bhi Kisi Badli Mein Chaandni Ki Tarah
Kabhi Na Socha
Tha Humne Uske Liye
Karega Humpe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah
Bichhadte Lamhe
By : GaGaN (Views : 452)
Bichhadte Lamhe To Khush The Phir Ab Ye Malal Kaise,
Main Kyon Bataun Ke
Kiye Hosle Bahaal Kaise,
Kaha Tha Kuch Bhi Na Puchhoge Gar Mile Jo
Kabhi,
Ab Mile Ho To Phir Aankhon Mein Ye Sawal Kaise,
Sang Baari Ki
Ibtedah Bhi To Tum Hi Ne Ki Thi,
Jo Lahoolahan Hoon To Aankhon Mein Dukh Ke
Jaal Kaise,
Diyaar-E-Gair Mein Kya Tumne Ye Bhi Socha Hai Kabhi,
Guzare
Honge Kisine Apne Maah-O-Saal Kaise,
Tumhari Yaad Ne To Shayar Hi Bana Diya
Hai Mujhe,
Bichhad Ke Tumse Hue Humse Ye Kamaal Kaise.
Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi
By : GaGaN (Views :
484)
Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi,
Itne Hisso
Mein Bat Gayi Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,
Sach Ghate Ya
Badhe To Sach Na Rahe,
Jhooth Ki Koi Inteha Hi Nahi,
Tol Do Chaandi Mein
Chaahe Sone Mein,
Aayina Jhuth Bolta Hi Nahi.