Sad Shayari
PAGE=7
Mehak Aaj Bhi Hai
By : GaGaN(Views : 901)
ankho me aansu ki chamak aaj bhi hai
usko mere pyar ki tadap aaj bhi
hai
naav me baith kar dhoye the haath usne
samadar me mehendi ki mehak aaj
bhi hai
TUTE HUE PAIMANE
By : GaGaN (Views : 929)
TUTE HUE PAIMANE ME KABHI JAAM NAHI AATA
ISHQ KARNE WALO KO KABHI AARAM
NAHI AATA.
YEH TO EK KHUDAI HAI, JO UMAR BHAR KARNI HAI
ISHQ KI RAH ME
KABHI KOI MUKAM NAHI AATA
DARD-E-DIL
By : GaGaN (Views : 1132)
AAJ PEENE PILANE KI BAAT RAHNE DE SAKII
AAJ TO HUM DARD-E-DIL SUNANE AAYE
HAIN
HUMNE EK DARD PAYA TO MAIKHANE AA GAYE
TU YAHI REHTI HAI BATA KITNE
DARD PAYE HAIN
Dar Lagta Hai
By : GaGaN (Views : 10884)
Thame huye pani me bhi ab jaane se dar lagta hai
Khule aasmaan me bhi
jaane se dar lagta hai
Kabhi sunate the yaron ko ham bhi kisse mohabbat
ke
Ab to Ishq ke dhai akshar gungunane se dar lagta hai
Hum Kiske Sahare Jiye
By : GaGaN(Views : 9037)
kuch to jite hai janant ki tamanna lekar
kuch tamanaye jina sikha deti hai
ham kiske sahare jiye
zindgi roj ek tamnna badha deti hai
Kiski Najar Me Hu
By : GaGaN(Views : 9261)
mitti ka jism leke pani ke ghar me hu
manjil hai maut meri
main har
pal safar me hu
hona hai qtal ye malum hai muje
lekin khabar nahi kiski
najar me hu
Dosti Bechi
By : GaGaN(Views : 12188)
kabhi aansu to kabhi khusi bechi
hamne akelepan me tanhai bechi
chand
saanse hai kharidne ke liye
roj marti hui zindagi bechi
satane lage jab
mujhe mere hi saye
pareshan hoke maine roshani bechi
ek ham hi the jo
khud hi bik gaye
varna logo ne to zindagi bechi
Saath Nibhana Nahin Aata
By : GaGaN (Views : 2759)
Na jaane kyun hamein aansu bahana nahi aata
na jane kyun hale-e-dil batana
nahi aata
kyun saathi bichhad jate hain hamse
shayad hamein hi saath
nibhana nahi aata
Dard
By : GaGaN(Views : 2356)
kyu rakhu ab apni kalam me sayahi
jab arman koi dil me machalta hi
nahi
na jane kyu sabhi shaq karte hai mujhpe
jab koi sukha phul meri kitab
me milta hi nahi
kashish to bahut thi mere pyar me magar kya karu koi pathar
dil pighalta hi nahi
agar khuda mila to usse apna yaar mangunga
magar suna
hai wo kisi se milta hi nahi
Kabhi Usse Bhi
By : GaGaN (Views : 2134)
Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati
hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho
mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi
mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi
bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet
mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera
dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse
izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti
hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na
aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo
bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri
judaai use bhi yuhi rulati hogi
Karoge Fariyaad
By : GaGaN (Views : 1885)
Kroge fariyad guzre zamane ko
tarsoge hamara saath ek pal bitane
ko
phir awaaz doge hamein aane ko
hum kahenge darwaja nahin hai kabar se
bahar aane ko
Na Bite Din Na Gujari Raat
By : GaGaN (Views : 1667)
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Jab Aaye Yaad Huyi
Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar
Aate Ho Tufa me Baste Ho Tanha Me
Dil Dhundhe Tum Ko Sapno Me
Ise Tod
Diya Kise Apno Ne
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Dil To Hai Deewana
Hai Kya Is Ko Samjhana
Bhulega Ye Apna Naam
Bas
Yaad Rahe Kal Ki Shaam
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha
Saath
Dekha Hamne Sapna
Samjha Sab ko Apna
Ab Puch Raha Hai Veerana
Kya
Paaya Ban Ke Deewana
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha
Saath
Jab Aaye Yaad Huyi Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar
Ab To Tasalli Bhi Bujh Bujh Ke Aane Lagi Hai
By : GaGaN
(Views : 2390)
ab to tasalli bhi bujh bujh ke aane lagi hai
sardiyan kyun mera daman
jalane lagi hai
jis ka asra le kar hum ghar se nikle the
ab usi ki aas
kyun dagmagane lagi hai
phoolon ki chaah mein hum kanto se nibhane lage
ab
vohi chhah mera khoon jalane lagi hai
zamana to hamesha farak mein raha
hai
khush ho jaye ke voh ab ladkhrane lagi hai
Khayaal-e-yaar
By : GaGaN(Views : 1783)
Hum the khayaale yaar thaa
Bas aur kuch na thaa
Ek ujadaa huaa dayaar
thaa
Bas aur kuch na thaa
Andaaj gunehgaar thaa
bas aur kuch na
tha
Aawaargi pe waar thaa
Bas aur kuch na thaa
Rishta tutne ki kagaar
par khadaa thaa
Phir bhi dil kisi aahat ka talbgaar thaa
bas aur kuch na
thaa
Nam Palke
By : GaGaN (Views : 1843)
ASHKON KO HUMNE KAYI BAAR ROKA
PHIR BHI NA JANE KYON ANKHE DHOKA DE
GAYI
BHAROSA TO THA HAME APNE AAP PAR MAGAR
UNKA ZIKR AATE HI NAA JANE
KYON PALKE NAM HO GAYI
Har Dil Me Dard Chupa Hota Hai
By : GaGaN (Views :
1521)
har dil me dard chupa hota hai
bayan karne ka andaaz juda hota hai
kuch
log aansuo me dard ko baha dete hai
aur kisi ka dard hassi me chhupa hota
hai
Sharab Ko Tanha Dekha
By : GaGaN (Views : 1236)
gum mila iss kadar ki ghabra ke pee gaye
thodhi mili khushi mila ke pee
gaye
hum nahi the iss kadar peene ke aadi
sharab ko tanha dekha to taras
kha ke pee gaye
Duniya Walo Ne Hame
By : GaGaN (Views : 1562)
samjha na koi dil ki baat ko
dard duniya ne bin samjhe hi de diya
seh
gaye jo hum dard ko chupke se
to duniya walo ne hame pathar dil keh diya
Kafan
By : GAGAN (Views : 1182)
hum tume milte the badi fursat ke sath
tum hume milte the badi ulfat ke
sath
tume fursat bhi jab mili
jab hum janaje pe the kafan ke saath
Duniya Me Sab Begane Hai
By : GaGaN (Views : 1236)
duniya me sab begane hai
jinhe hum chahte hai wo
vo auro ke deewane
hai
guzre kal ki yahi kahani hai
kuch khud barbaad hue kuch unki mehrbaani
hai
Isse Zada Hum Unka Intzaar Kya Kare
By : GaGaN (Views :
1176)
zakham kitne gahre hai izhaar kya kare
ham khud nishana ban gaye vaar kya
kare
mar gaye hum aur khuli rahe gayi aankhe
isse zada ham unka intzaar
kya kare
EK YE GHAM-E-HASTI
By : GaGaN (Views : 1309)
Tere kooche ko gaya jo dekh ke basti weeraan apni
Dekha to na tu wahaan
apni na tu yahaan apni
Bik gaye dar-o-deewar par haansil na hue tum
Kya
keeje jo itni bhi keemat ki nahin jaan apni
Aur nahin koi na kisi se
ikhtilaat apna
Ek ye gham-e-hasti ek ye daastaan apni
Dhoondta Hai Ye Lahoo Kisko
By : GaGaN (Views :
1100)
Gar hua khaak me ghar to ye gam-e-hasti main doon kisko
Saaqi ko ke sharab
ko dua se nawazoon kisko
Wo karte hain ikhtal-e-gair to chalo yun hi
sahi
Wo vasl-e-badgumani wo khuwab-e-khoo kisko
Dosh pe gam-e-ulfat-o-dast
me mauj-e-sharab
Gardish-e-hasti-e-GaGaN to zindagi ki arzoo kisko
Gar
hua ghar jo gark-e-dayera to kya rahega isme
Tapkta hai jo dar-o-deewar se
dhoondta hai ye lahoo kisko
Dekhkar bhi na dekha kiye to kya kahiye
Phir
tum hi kaho wisaal-e-yaar-e-justujoo kisko
Hoti thi kisi daur me par ab nahin
hoti
Jazba-e-hasrat-e-deedar-e-yaar-e-koo kisko
E KHAT
By : GaGaN (Views : 1083)
In weeraan baagon me phir bahaar bhar de
Mere dil ki khushiyaan tu naam
unke kar de
Main zindagi bhar tere qadmon me sajda karunga
Aye khat tu
mujh pe ye ehsaan kar de
Subeh hote hi tu paas unke jaana
Wo so rahe hon to unhen mat jagaana
Os
ki ek boond unpe girne na paaye
Sooraj ki kiran bhi unhe na jagaaye
Tu
khaamosh rehna kahin kuch na kehna
Tu wahin baith kar bas unka intezaar
karna
Jo ho sake to bas mera ek kaam kar de
Un pyari aankhon me khuwaab
mere bhar de
E khat tu mujhpe ye ehsaan kar de
Bas Tu Hi Tu Nikla
By : GaGaN (Views : 1227)
Wo ishq kya ishq jo baad-e-qaza sang-e-lahoo nikla
Ki baad-e-dafn bhi teri
tasveer pe rakha hua mera baazoo nikla
Hai ishq is qadar kiya humne ki kya kahiye
Dekh mere lahoo ko dekhiye
khanjar se khoon nikla
Jo aaya malq-ul-maut aur poocha kahan hain hum
Main is waqt bhi dekhiye
uski tasveer se roo-b-roo nikla
Karna jo chaha dubaara ishq to kar na sake hum
Ki har soorat ke peeche e
sanam bas tu hi tu nikla
Wo hasen jo mere naam pe to kuch aur na samjhiye
Unke liye ek aur deewana
yun aaya aur yun nikla
Kureda jo dil-e-charasaz to hairaan ho utha
Game-e-ishq me wo mera humshql
hu-b-hu nikla
Koi beemaar nahin hum jo charasaz hua kare koi
Unmaad-e-ishq me badbadaana
to 'GaGaN' ka khoo nikla