Lamborghini Huracán LP 610-4 t


Sad Shayari

Sad Shayari

PAGE=5

HIckiya Dilakar
By : GaGan (Views : 601)

Hichkiya dilakar ye kaisi uljhan badha rahe ho
Ankhen band hai phir bhi nazar aa rahe ho
Bas itna bata do hame
Yaad kar rahe ho
ya yaad apni dila rahe ho

 

Aadmi
By : GaGan... (Views : 1502)

mousam ki tarah badalne laga hai aadmi
waqt-bewaqt kuch bhi kehne laga hai aadmi
sabki kuch na kuch to majburiyaan hoti hain
fikr ko badan pe hi odne laga hai aadmi
is aad mein ki insaan hu galtiyaan ho jaati hain
kuch ko zyaada hi aajmaane laga hai aadmi
sab mein sach ka saath dene ki zidd kahan hoti hai
saason ke bojh se hi dum todne laga hai aadmi

 

Jeena Marna
By : GaGan (Views : 443)

Na jeene ki chaahat, na marne ki himmat;
Jiye ja rahe hain marne ki chaah mein.

 

Zuban Khamosh
By : GaGan (Views : 1110)

Zuban khamosh ankho mein nami hogi
Yehi to bus daastan-e-zindagi hogi
Bharne ko to har zakhm bhar jayega
Par kaise bharegi wo jagah
Jahan par tumhari kami hogi

 

Ek Lamha
By : GaGan (Views : 718)

Ek lamha baar baar satata hai
Na jaane ye dil kya chahta hai
Kaash is lamhe mein wo humare saath hote
Par ye kaash to kaash hi bankar reh jata hai

Saaton Rang
By : GaGan (Views : 600)

chupke chupke chalti hai hava
dheere dheere hoti hai shaam
doobte sooraj ke saato rang
mujhe dete hain tera paigam
ye khamoshi shaam ki madhoshi
karti hai dil ko bekrar
charo aur chhaya dhuyan dhuyan sa
thandi pawan jati dil mein sama
naa keh kar bhi kuchh keh rahi hai
kano mein mere koyi dhun baj rahi hai
wadiyon ki khubsurati mein kho kar bhi
lagti hoon main kitni tanha si
baatein karo kudrat se mann ki
par mehsoos karu main tujhe apne pass
chupke chupke khud se keh rahi hoon
kyun main tum ko itna chahti hoon

 

Ehsaas Tumhara
By : GaGan (Views : 928)

Tum bhale hi humko naa milo is janam mein
Sau baar janam lenge, tumhe paane ke liye
har janam mein hoga labs pe bas naam tumhara
Khoon ke har katre mein hoga bas ehsaas tumhara

 

Ghut Ghut Kar Marna Humnein Seekh Liya Hai
By : GaGan (Views : 710)

Hum bhi the ishq ki bheed me khoye hue kabhi
aaj humnein tanhaai me jeena seekh liya hai
Kisi bhi raah par chalne se ab katraate nahi
Toofanon se haske guzarna humnein seekh liya hai
Labzon ka istemaal karna chhod diya humnein
Aankhon se dard bayaan karna seekh liya hai
Wafa ka zikr karna chhod diya humnein
Tumnein kee jo bewafaai usi raah par chalna seekh liya hai
Raas na aaya tumhe hamara khushi se jeena
Isliye ghut ghut kar marna humnein seekh liya hai

 

AAKHIR KYUN
By : GaGan (Views : 1062)

KYUN HAMARI ZINDAGI MEIN AAYE BAAHAR BANKAR
KYUN HUME JHULE MEIN JHULAYA SAPNO KA SAUDAGAR BANKAR
KYUN KHWAB SAJAYE JHOOTA SAATHI BANKAR
JAB SAATH HI NAHI NIBHANA THA AAPNE
TO AAKHIR KYUN AAYE HUMSAFAR BANKAR

 

DUA KARO
By : GaGan (Views : 1027)

HUM TERE BINA JI NAHI PAA RAHE
ITNI DUA KARO KI HUME MAUT AA JAYE
HAMARI DUAO MEIN ITNI TAAQAT NAHI
VARNA AAJ BHI AAP HAMARE SAATH HOTE

Toota Dil
By : GaGan (Views : 1165)

Ab yehi dooriyan muqaddar hain
Main tere paas aa nahi sakta
Itne aansu hain meri aankhon mein
Koi khwaab saja nahi sakta
Tujh ko yeh baat bataun tau bataun kaise
Dil ka toota huya aaina dikhaun kaise

 

Dil Ki Kitaab Ke Safe
By : GaGan (Views : 652)

Dil ki kitab ke safe Khola kiye hain hum
Apna zameer aap tatola kiye hain hum
Tanhaaiyon mein jab jab bechainiyaan badein
Parchhaiyon se apni bola kiye hain hum
Humko na mayassar kabhi araam na do Gadhi
Dil ki tapish ko aaj bhi shola kiye hain hum
Hai Khaak nasheman per dil maanta nahin
Kitna abhi baaki lahoo tola kiye hain hum
Ashars gum hue kahin itna hua main udaas
Hosho hawaas mein Zher Ghola kiye hain hum

 

Un Kadamo Ke Nishaan
By : GaGan (Views : 627)

Un kadmon ke nishaan jaane kahan kho gaye
Jis dagar pe hum chale the faasle darmiyaan ho gaye
Dekhkar halaat aur zakhm hamare dil ke
Apnon ki bheed mein ruswa gair meherbaan ho gaye
Koi to jaakar unko bataye dard judaai ka
Maikade mein jo baithe hum log kadardaan ho gaye
Mana ke ye ehsaas kuchh ajeeb hai lekin
Zakhm jab ban gaye nasoor dard zubaan ho gaye
dil ne kiye kai shikwe gile us khuda se
Chhodkar saath mera us bewafa ke kyon nigehbaan ho gaye

 

Ek Naam Hai Unka Jo
By : GaGan (Views : 648)

ek naam hai unka jo marte dam tak meri jubaan se nahi jaayega
ek dard hai unse juda jo kabhi bhulaya na jaayega
woh lagaate rahe hum per na jaane ilzaam kya kya
per unko toh kabhi yeh dil mera bhula na paayega
aaj nahi hai unke honthon per chaahe naam mera
par jaanti hun woh apne dil ki diwaaron se naam mera kabhi hata na paayega

 

Tumhari Judai Se Sikha Hai
By : GaGan (Views : 763)

Tumari Judai se kya kya na sikha hai
Pehle hasna aur phir rona sikha hai
Dard mein hasna bhi tumhari judai se sikha hai
Logo se Mohabbat karna
logo ke dard ko apna samjhna bhi
Tumhari judai se sikha hai
Dard sehna, dard mein muskrana
Aur tanhayi main rona bhi
Tumhari judai se sikha hai
Har waqt tarapna
Raato ko uth uth ke rona bhi
Tumhari judai se sikha hai

Kitne Raste Hai
By : GaGan (Views : 601)

zindagi ki lagan me zinda na raha
apni hi magan me apna na raha
kho gai matti ki khushboo tab se
jab se ghar apna kacha na raha
sach lagta hai sab jhooti duniya me
sach me koi yahan sacha na raha
kitne raste hain iss zameen par
phir bhi koi yahan rasta na raha
kitni chahat se banaya tha ashiyan
rehne ko ab yahaan banda na raha
dhundhlaa nazar ata hai aaine me
dekhne ko apna chehra na raha
bichhad gaya wo bhi duniyaan me
ek pal jo kisi se juda na raha

 

Woh Saath Chala Nahi
By : GaGan (Views : 573)

hame zindagi se koi shikwa nahi
koi gila nahi ki wo hamko mila nahi
jeene ke liye unki yaadon ka sahara bahut hai
koi gam nahi jo wo do kadam saath chala nahi

 

Laut Aayo
By : GaGan(Views : 1173)

Laut aao jane wale
mujhe teri zarurat hai
Zindagi hai bahut kam
meri khushiyan abhi aduri hai

 

Kya Socha Tha
By : GaGan(Views : 1207)

Kya socha tha
aur kya ho gaya
Jise chaha tha
wohi anjaan ho gaya
Manzile to mili bahut si
par unka nisha kho gaya

 

Tadapte Rahe
By : GaGan(Views : 1011)

Dard Rukta Na tha Ek Ghadi Ke Liye
Maut Se Hum Ladte Rahe Zindagi Ke Liye
Asmaan Se toh Rehmat Barasti Rahi
Hum Taraste Rahe Ek khushi Ke liye

Muddat Ho Gayi
By : GaGan (Views : 839)

Muddath Ho gayi hai Un tanhaiyoun Ko Guzre
Ab bhi in Ankho mein Woh Khamoshiya Kyun Hai?
Tod Diya jisne Mohabbat par se Yakeen Mera
Ab bhi Woh Pyar ke Kaabil Kyun Hai?

 

Koi Na Mila
By : GaGan (Views : 839)

Koi na mila aisa Jispe Duniya Lutta Dete
Sabne Dhoka diya Kis Kisko Bhula Dete
Dil ka Dard Dil Mein Dabaye Rakha hai
Bayan Karte toh Mehfil ko Rula Dete

 

Azmaate Rahe Humko
By : GaGan (Views : 720)

Ek ke baad Ek Azmaate Rahe Humko
Kabhi Sapne toh Kabhi Apne Rulate Rahe Humko
Ab Hum Unse Iskadar Rooth gaye Hai
Ki Khudha bhi NaKaam Rahe Manaane mein Humko

 

Toot Gaya
By : GaGaN (Views : 723)

Aaj tak,
Sirf aur Sirf tumse hi pyar kiya
Tumhare hi baare mein sochti rahi
par kya faida?
Khwab Dikhake tanha chohd gaye
Jab pyar ka izhar kiya
badi asaani se keh diya
ke mujhe nahi tumse pyar bhool jao
koi apne pyar ko bhula bhi sakta hai?
koshish karke dikhao
Tod diye sab khwab
toot gaya sab kuch
main khud toot gayi
mere jine ka sahara yeh khwab the
wo bhi tod diye tumne

 

Chehra Hai Tumhara
By : GaGan(Views : 654)

Dil aaina hai hamara
jismein chehra hai sirf tumhara
kisi aur ko soch na paayenge
dekhne se pehle toot jaayenge


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter