Sad Shayari
PAGE=2
Thukra Diya
By : GaGaN(Views : 470)
Woh aye the hamari zindagi me jane ke liye
Pooja tha hamane unhe, na sirf
chahne ke liye
Ab kaise kehde thukra diya unhone humme zamane ke liye
Jab
Kabil hi na samja unhone humme tukhrane ke liye
Pyaar Par Naaz Hota Hai
By : GaGaN (Views : 451)
Har dhadkan mein ek raaz hota hai
har baat ko batane ka ek andaz hota
hai
jab tak thokar na lage bewafai ki
har kisi ko apne pyaar par naaz hota
hai
Parchhai Se Pyar
By : GaGaN (Views : 323)
Aap nahi to hum aapki
parchhai se kar lenge pyar
Khushi na sahi to
hum
kar lenge gum ka deedar
Par jane se pehle rab
hume dena ye
uphaar
Ki humari aakhri khawish samajhkar
dena unka ghar sawaar
Pari Se Pyaar
By : GaGaN (Views : 1655)
Yeh aashiq unke shayad kabil na tha
Is aashiq me shayad woh dil na
tha
Yeh pagal bhi pari se pyaar kar baitha
Jo kabhi bhi use haasil na
tha
Jab Uthe Arthi Meri To
By : GaGaN (Views : 1111)
Ayegi wo suhani raat
meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat
Jab
uthe arti meri
To nazre jhuka lena
Jab main na rahu is duniya me
to
Kisi aur se dil laga lena
Bich Safar Me Chhoda
By : GaGaN (Views : 1161)
Jab chaha tab rishta joda
Jab chaha tab rishta toda
Bebas aur masoom ko
lake
Bich safar me chhoda
Tera Naam
By : GaGaN(Views : 1263)
Khwaab aankhon mein tha
par sabko dikhaya na gaya
Lab pe ek naam
tha
Jubaan pe kabhi layaa na gaya
Range the jigar se mere
usne apne
haath
Par heena se meri
Hatheli ko sajaaya na gaya
Qabr Me Sukoot
By : GaGaN (Views : 749)
Tere chehre ko dekh ke makhboot ho gaya hai
Tujhe chahnaa hamara naasoot
ho gaya hai
Kisi ke ishq me marne ka iraada mazboot ho gaya
Hamara janaaza
hamare pyaar ka saboot ho gaya hai
Matt sochna qabr me jaake yeh shayar
sukoot ho gaya hai
Marne Ki Naubat
By : GaGaN (Views : 762)
Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri
khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe
dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha
hota
to aaj marne ki naubat na aati
Raghbat
By : GaGaN (Views : 470)
Tera diya huya dard, dard nahi
raghbat ho gai hai
Tera yoon aashiqo ko
dard dena
teri hiddat ho gai hai
Yeh naafiz-e-zehmat ki humme
aadat ho
gai hai
Tera khanjar dil me se naa nikaale
muddat ho gai hai
Khastah Khastah
By : Ravnish Chand Dayal (Views : 448)
Khastah khastah
bikhar gaya yeh dil
Sar basar zindagi me
gum ho gaya
daakhil
Gum ke saath mehfil-e-sayari me
ab ho gaya shaamil
Maut ko gale
lagane ke liye
shayad ab ho gaya kaabil
Razza
By : GaGaN (Views : 522)
Mere khuda bas tu itna reham kar de
Dil ye mera tu pathar kar de
seh na
payenge hum yaar ki judaai
Uske rukhsat se pehle mujko dafan kar de
Jo Tu Na Haasil Huyi
By : GaGaN (Views :
532)
Ab jee lunga
jo tu na haasil huyi
Warna maut aa jaati teri zeenat
me
Ab be-maqsad ho jaunga
jo tu na haasil huyi
Warna ek niyyat mil jati
teri seerat me
Ab baddtar ban jauga
Jo tu na haasil huyi
Warna farishta
ban jaata teri ziyaarat me
Ab napaak ban jaunga
Jo tu na haasil
huyi
Warna nek ban jata teri nazaafat me
Ab khamosh ban jauga
Jo tu na
haasil huyi
Warna shaayar ban jata teri wazaahat me
Prerna
By : GaGaN (Views : 394)
Woh sach much nahi sirf hamari kalpana hai
Shayad pyaar nahi hamari prerna
hai
Phir bhi thukra diya usne hame
Socha hamari buri koi kamna hai
Kabhi Kabhi Yeh Dil Jarur Rota
By : GaGaN (Views : 948)
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
jab koi apna mil kar nazron se door
hota hai
kyun roti hai kambakht yeh ankhe
kyun ki dil se jayada inka hi
kasoor hota hai
Dil Se Vida
By : GaGaN (Views : 1025)
Hum nahi kar sakte aapko is dil se vida
Na jane kya hai humare pyar ka
vada
Pyar karte rahenge hum aapse sada
Chahe aa jaye apne beech ab
khuda
Maujood Hai
By : GaGaN (Views : 983)
Un raho pe hum nahi chal sakte
jinke us paar tu maujood hai
Hamara
safar hamari manzil
tere kaaran mehdood hai
Tere liye hum unme se
hai
jo tere mehsood hai
Tu hume kya chahegi
nahi hum tere wadood
hai
Nahi mil sakenge hum
jo sadiyo se itne saare hudood hai
Zakhm Ek Gehra
By : GaGaN (Views : 1013)
Raat ke andhere me, is dilke ek kone me
nazar aata hai aaj bhi wahi
chehra
Is nafs ko, is jigar me, is rooh ko jo de jata hai
Aaj bhi har
lehza har lamha zakhm ek gahera
Mushkil Hai Sehna
By : GaGaN (Views : 910)
Chhip ke pyaar karlena
duniya se na kehna
Warna is duniya me muskil
hoga rehna
Jise pyaar karna usse bhi na kehna
Warna thukra jane ka gum
muskil hoga sehna
Thukra Dena
By : GaGaN (Views : 595)
Shayari khatm hone ko aai hai
nai yeh ibtidaa hai
Unka humme thukra hi
dena zindagi hai
nai hamari ibtilaa hai
Sabko thukra dena hi shaayad unki
adaa hai
Unka chahera hi hamari siyaah zindagi me sulah hai
Rusvayi Ki Dastaan
By : Mohit Bhatt (Views : 426)
Dil toh hoga par na hogi usme jaan
Saanse toh hogi par na hoga
armaan
Hum rahenge yahi par na hoga aashiyaan
Jabse humne likh di hai
rusvayi ki daastaan
Nahi Karenge Izhar
By :GaGaN (Views : 387)
Hum karte hai aapse pyar
Par nahi karenge izhar
Kyuki bahut lambi hai
ye deewar
Aap kar nahi paoge paar
Aur hum dekh nahi sakte aapki aakhon
mein
Ek bhi aansuon ki bauchar
Ashkon Se
By : GaGaN (Views : 517)
Ashkon se aanchal bhigaya humne apka
khata thi hamari jo apke pyar ko
samajh na sake
mohabbat toh aaj bhi karte hain aapse
magar aab bhi
mohabbat jata nahi sakte
Mujhe Mere Doston Ne Hi Luta Hai
By : GaGaN (Views :
571)
jis se dil lagaya tha
wo delhi chali gayi
delhi jo pahuncha to puna
chali gayi
socha ki jaan de dunga bijli ki taar se
tar ko chhuya to bijli
chali gayi
Dard Ko Koi Samjh Nahi Paya
By : GaGaN (Views :
1196)
Mere dard ko koi nahi samjh paya
Pehle bhi tanha the
Aaj bheed mein bhi
khud ko tanha paya
Hum aaj bhi wahi hai khade
Jahan tune mujhe chhod ke
jana Chahaa