Sad Shayari
PAGE=1
Badle Badle Se
By : Gagan (Views : 858)
Badle badle se wo hai
badle badle se hai hum
kismat mei ho jiske
udasi
kya bataye wo jindgi ke gum
kisi ka dosh hai kahan
jakhm hum khud
hi khate hai
khade hai aaj uss mukam pe hum
jaha jane wale kabhi lout ke
na aate hain
Khud Ko Jalaana
By :Gagan(Views : 673)
Dard se hath na milate to or kya karte
Gam ke aansoo na bahate to or kya
karte
Usne maangi thi humse roshni ki dua
Hum khud ko na jalate to or kya
karte
Apne Hothon Par
By :Gagan(Views : 558)
Apne honthon par sajaa kar tujhe
ham tere hi geet gaana chahte
hain
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi
bas ek baar roshan hona chahte
hain
Tamanna
By : Gagan(Views : 471)
Dil ki Halat ki taraf kiski nazar jati hai
pyar ki umar tamannao mein
gujar jati hai
main ro padta hun jab yaad tumahri aati hai
jamana hasta
hai jab mohhabat ruth jati hai
Mila Nahi Hume Khuda
By : Gagan (Views :
412)
Kab the hum bejaan jo aaj jeene lage
Kab the hum hosh me jo aaj behoshi me
peene lage
Kab thi woh hamari jo aaj hamse juda hai
Kab na tha hum me
anurag jo mila nahi hume khuda hai
Pyaar Khota Hi Jaye
By : Gagan (Views :
273)
Nasha unki aanko ka jaise mehendi
jo chadhta hi jaye
Hum dono me doori
jaise doori akas aur bhumi ki jo badhta hi jaye
Garmi unki saaso ki jaise
subha ka Gagan
jo kathor hota hi jaye
Pyaar hamare beech jaise hawaa me
khusbu
jo kahin khota hi jaye
Juda Ho Gaya Hamraah
By : Gagan (Views :
250)
Woh nahi hai saath hamare par aaj bhi hai unka nasha
Na bache sur, na
bache shabd par aaj bhi hai ek nagma
Aaj bhi hai raahen, aaj bhi ek manzil,
Juda ho gaya hamraah
Na bacha jism na bacha jigar, par aaj bhi hai ek aah
Dil-e-Nadan
By : Gagan...... (Views : 217)
Aj phir apne haal par nigha dali maine
jo beeti is dil-e-nadan per guzri
woh baat keh dali maine
Sunti rahi zamane ki hazaron baatein
ek tere pyar
mein har baat bhula dali maine
Teri zaat se pewasta huyi kuch is
tarha
apni hasti bhi mita dali maine
Is kadar yaad kiya sham o sehar tum
ko
apni yaad tak mita dali maine
Adhura sa wo sapna matlashi-e-haqiqat
hai
Tu hi bata aye Afza kyun takmel na payi isne?
Dil Ke Tootne Se
By : Gagan (Views : 737)
Dil ke tootne se nahi hoti hai aawaz
Aansoo ke behne ka nahi hota hai
andaz
Gum ka kabhi bhi ho sakta hai aagaz
Aur dard ke hone ka to bas hota
hai ehsaas
Jaan Se Bhi Zyada
By : Gagan(Views : 634)
Jaan se bhi zyada
unhe pyar kiya karte the
Yaad hum unhe
din-raat
kiya karte the
Ab un raho se
guzra nahi jata
Jahan baithkar
unka
intezar kiya karte the
Apani Kasam Dekar Usne
By : Gagan(Views : 671)
Us se Pyar Hua Jise Hum kabhi Pa Na Sake
Jiski Baato Ko Hum Kabhi Bhula Na
Sake
Dil Lagaya Aur Lagakar Tod Diya Usne
Jise Bhulana Chaha Par Hum Bhula
Na Sake
Apani Kasam Dekar Usne Hume Majboor Kar Diya
Mujhe Khush Rakhne Ke
Liye Khud Se Dur Kar Diya
Humari Chahat Ko Kabhi Usne Samjha Hi Nahi
Aur
Hum The Ki Unke Liye Apno Ko Hi Chhod Diya
Yu Hi Mile The Wo
By : Gagan(Views : 589)
Yu Hi Mile The Wo Hume Anjaan Bankar
Dil Mein Mere Bas Gaye Pehchan
Bankar
Jaana Nahi Tha Fir Bhi Wo Dur Chali Gayi
Aaj Mili Bhi To Kisi Ke
Naam Ka Sindur Bankar
Khayal Jab Unhe
By : Gagan (Views : 586)
Khayal jab unhe gore ka aya hoga
gore ki yaado ne unhe bahut staya
hoga
Bhul na paya jinhe gora aaj tak
Na jane kaise unhone gore ko bhulaya
hoga
Soona Daaman Tera
By : Gagan (Views : 323)
Yeh aashuftah palak tere
dilme de jata hai ek khalish
Un palako ke
uthne par
deedaar hoti hai tera kashish
Humse yoon nazre firra
lena
yaad dilate hai tera naazish
Yeh soona daaman tera
yaad dilata
hai woh ranjish
Yeh Mere Dard Ki Kahani Hai
By : Gagan(Views : 403)
yeh ghazal hai na geet hai koi
yeh mere dard ki kahani hai
mere seene
me sirf shole hai
meri aankho me sirf pani hai
Agli Baar Bhool Jayenge
By : Gagan (Views : 319)
Socha tha is kadar unko bhool jayenge
Unko dekh kar bhi andekha kar
jayenge
Par jab chehra samne aaya unka
to socha isbar dekh le agli baar
bhool jayenge
Yaad To Har Koi Karega
By : Gagan (Views : 1775)
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega waqt
aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aa jayega mar jaane ke
baad
Zakhm Dene Ka Andaaz
By : Gagan (Views : 3544)
zakhm dene ka aandaz kuch aisa hai
zakhm dekar puchte hai ab haal kaisa
hai
Zeher dekar kehte hai peena hi hoga
jab pi gaye zeher to kehte hai ab
jeena hi hoga
Tanhai Kyun Hai
By : Gagan (Views : 997)
Is do pal ki zindagi mein tanhai kyu hai?
Logon ko humse ruswai kyu
hai?
Is duniya mein insaan kam to nahin
Phir mere saath sirf meri parchai
kyu hai?
Tu Kar De Ishara
By : Gagan (Views : 751)
Tu kar de ek ishara mera pata bata de
kahne ko to jindgi hume bhi mili
hai
par tu jine ki ek wajah bata de
tere dil me ab bhi mera aashiyana
basta hai
labjo se n sahi aankhon se hi jata de
Tu kar de ek ishara mera
pata bata de
Dil Na Lagana Kisi Se
By : Gagan (Views : 819)
Dil na lagana kisi se
dard hi paoge
biti baato ko yaad karke
rote hi
nazar aaoge
karni hai to sirf DOSTI karo
Hamesha ummid se Dugna paoge
Bas Ye Hi Gila Hai Zindagi Se
By : Gagan(Views :
1218)
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki
aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye
hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere
hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi
gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi
hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi
rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi
se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon
ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya
mila hai zindagi se
Zindagi Kya Koi
By : Gagan(Views : 1070)
zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya
bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare
Unki Har Bhool
By : Gagan (Views : 1265)
Unki har bhool ko apnaya humne
Kehte hain ab saza do mujhe
Saza se
pehle apni galti maan jaana
Unki ye ada bhi kya Khoob lagti hai
Dulhan
By : Gagan (Views : 500)
Subah ki thandhak, subah ki kushbu
unke khayalaat diye ja rahi
hai
Guzarta hua lamha hamari zindagi se
sab arzoo saat liye ja rahi
hai
kamre ka soona pann, Raat ki kamoshi
koi jazbaat diye ja rahi
hai
Maut ki dulhan ko gale lagane
ab zindagi baraat liye ja rahi hai