Romantic
Shayari
PAGE=8
Batao Mujhe Kitna Yaad Kartey Ho?
By : Gagan.. (Views :
465)
Uss ney ek bar mujh se poocha
ke batao mujhe kitna yaad kartey
ho?
Maine kaha Bahot Zyada
Usne dubara sawal kiya
Ke phir bhi batao toh
sahi aakhir kitna
Maine kaha Bahot Bahot Zyada
Mere jawab sunn kar
Woh
zara-labb muskurai aur kaha
Aab mujhse bhi toh poocho na
Aur jab maine
poocha
Toh uski muskurahat gehri hoti chali gayie
aur halka sa gulabi
rang
uske chehray pe aake guzar gaya
usne mujhe doobi hui nazron se
dekha
aur phir palke jhuka ke boli
Pagal, yaad to unhe kiya jata
hai
jinhe insaan bhool jaye
Meri Tanhaiyan
By : Gagan.. (Views : 484)
Meri tanhaiyo ko ab ek mehmaan chaahiye
Mujhko saaya nahin ek insaan
chaahiye
Baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
Koi kam-sukhan koi
bey-zubaan chaahiye
Andheriya hein zindagi mein door talak bahot
Mujhko
ujaalon ka caarwaan chaahiye
Mujhko na raas aayega tera zareen qafas
Hum
parindon ko khulaa aasmaan chaahiye.
Kitni Bechain Hai Yeh Sanse Meri
By : Gagan.. (Views :
915)
Kitni bechain hai yeh sanse meri,
bina tere bohat roti hain yeh aankhein
meri,
Kab se meri aankho ko neend aati hi nahi
bahein mangti hai mujh se
ratein teri,
Jaan aajao ke ab dil kahi lagta hi nahi
tum ko bula rahi hai
yeh bahein meri,
Kitni bechain hai ye sanse meri,
bina tere bohat roti
hain ye aankhein meri.
Hum Apni Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahi Karte
By : Gagan..
(Views : 657)
Jo Rishtey Dil se jurte hain inhe toda nahi karte
Kisi ka saath Raste me
kabhi chhoda nahi karte,
Kahin is se tumhare haath hi zakhm na ho
jayein
Jo Toote aaina toh phir ise joda nahi karte,
Koi Toofan Teri Kishti
ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Bikhri huyi Mojon ka Rookh moda nahi
karte
Tijarat ke usulon par Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat me kabhi
Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat par, yeh hai Aadat zamane
ki
Zamane ke sitam par Hum yeh Dil toda nahi karte
Mohabbat ke usulon me,
yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis
se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat me kabi Khayanat kiya nahi
karte
Kyun Dil Udaas Hai?
By : Gagan.. (Views : 563)
Sab kuch to tere pass hai
To phir kyun dil udass hai?
Hai pyar bhi tere
liye
Khayal bhi tere liye
Yeh dil bhi tere pass hai
To phir kyun dil
udass hai?
Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe
Jab
mujh pe aitbaar hai
To phir kyun dil udass hai?
Apna Keh Nahi Sakta
By : Gagan.. (Views : 523)
Woh apna to hai par use apna keh nahi sakta,
woh ik pal ko bhi roothe,
main seh nahi sakta,
Pyar jitna bhi ho pyar hi rehta hai,
Samandar kabhi
nadee mein beh nahi sakta,
Joh aaj hai us mein he khush raho usko hi
jiyo,
Kal kaisa ho aur kya ho koi kuch keh nahi sakta,
Woh tujhe mile na
mile yeh baat sach hai,
Tu uske bina woh tere bina reh nahi sakta.
Ruksat Ho Rahe Hai Hum
By : Gagan.. (Views : 472)
Yeh Jahaki Ronak Mubarak ho Apko
Aab Iss Jahan se Ruksat Ho rahe hai ham!
Yeh Chaman ki Khushboo Mubarak ho Apko
Aab Iss Gulistaa se Dur Ja rahe
hai ham!
Apne Jahan ko Mahekane Chale hai
Pyarki Duua do Iss Gul
ko!
Apni Duniya mein Jaa Rahe hai
Izzazat Do Iss ko!
Lamha Lamha Tere Wajood
By : Gagan.. (Views : 437)
Lamha lamha tere wajood me basar hota,
Kya khub hota joh main teri rooh ka
mehwar hota,
Teri in jheel se ankhon me mera ghar hota,
Teri ankhein joh
dekhta, main wo manzar hota,
Kabhi patjhad to kabhi rimjhim,
kabhi sawan
to kabhi badal,
Kabhi panchi to kabhi ambar hota,
Teri umeed ka hasil,
Teri khwaish ka sila,
Main tere ishq, Tere sabr ka sumar hota,
Kya khub
hota jo main teri ruh ka mehwar hota,
Lamha lamha tere wajood me basar
hota.
Mera Zikr Na Karna
By : Gagan.. (Views : 428)
dukh dard ke maro se mera zikar na karna
ghar jao to Yaro se mera zikar na
karna
wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar
tum gum guzaro se mera
zikar na karna
pholon k Nasheman Mein raha hoon sada se
dekho kabhi gairon
se mera zikar na karna
shahyad ye andehre hi mujhe rah dikhaye
ab chaand
sitaro se mera zikar na karna
wo meri kahani ko galat rang na de de
afsana
nigaro se mera zikar na karna
shayad wo mere haal pe be-sakhta ro de
is
bar baharo se mera zikar na karna
le jayenge gehrai me tum ko bhi baha
kar
darya ke kinaro se mera zikar na karna
wo shakhs mile to usse har baat
batana
tum sirf isharo se mera zikar na karna
Aaj Aisa Karte Hai
By : Gagan.. (Views : 400)
Guftgu Ke Lamhon Mein
Dekh Hi Nahi Paate
Ham Tumhare Chehre Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Karte Hain
Chasm-o-lab Ko Padte
Hain
Baat Chhod Dete Hain
Jaane Kya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Se
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Karte Hain
Zabt-e-Jaan Parakhte Hain
Hath Chhod Dete Hain
Kash Koi Samjhade
Log Kis Tarah Dil Ki
Manzilein Alag Kar Ke
Saath Chhod Dete Hain
Aaj Aisa Karte Hain
Bey-sabab Bikharte Hain
Zaat Tod Dete Hain
Apni Marzi Se
By : Gagan.. (Views : 376)
Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai,
udhar ke Hum hain
Pehle har Cheez thi apni magar ab lagta hain
Apne hi
ghar me kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon
tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain
Chalate rehte hain ke
chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain ke kis Rah-Guzar ke Hum
hain
Gintiyon me hi gine jate hain har Daur me Hum
Her Qalam-kaar ki
Benaam khabar ke Hum hain
Teri Yaad
By : Gagan.. (Views : 421)
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tadpaata hai
Woh tera paas na hona
bohat mujh ko rulaata hai
Woh mera teri aankhon ke samandar mein uttar
jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar mein doobte jaana
Teri awaaz ke saher
se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
Bohat chaha
in guzre hue lamhon ko na sochoon
Na teri yaad mein reh ke tere saath ka
sochoon
Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tadpta hai
Ke jin se
taish uthti hai ke jin se dard hota hai
Magar jab raat aati hai to teri yaad
aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
Tujhe paaya ab
mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad mein rehna tujhe hi sochte
rehna
Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tadpta hai
Woh tera paas na
hona bohat mehsoos hota hai
Aisa Kabhi Na Karna
By : Gagan.. (Views : 760)
Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko
Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna
Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar
Ke
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mujhse Hi Mil Ke
Hansna
Mujhse Hi Mil Ke Rona
Mujhse Bichhad Ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na
Karna
Tum Chand Ban Ke Rehna
Main Dekhta Rahunga
Kisi Roz Tum Na
Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh dekhu Tumhara
Rasta
Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
Arzoo-E-Dil Ne Hame
By : Gagan.. (Views : 430)
Arzoo-E-Dil Ne Hame Diwana Bana Diya
Roye Na The Kabhi Aap Ne Rula
Diya
Hum Ne To Har Waqt Yaad Kiya Lekin
Aap Ne Yaad Karte Karte Zamana
Laga Diya
Tum Jaa To Rahi Ho Par
By : Gagan.. (Views : 358)
Tum jaa to rahi ho par itna to bata do
Is Dil se kya kahoon ise kaise
samjhaun
Is ke Tootne ki awaaz to na ayegi Tumhein
Par uske Tukdon ko
lekar main kahan jaoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Un Yaadon
ka main kya karoon
Tumhare likhe khaton ko main kahan jalaoon
Kise baar
baar Sataoon kise Manaoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Meri
Siskiyon mein bhi Tumhara hi Naam hai
In Ashkon ko main kahan chhupaun
Tum shumaar ho abhi tak Parda-Nasheeno mein
Log sab puchenge to bolo
main kya bataoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Tujhe Bhulaane ke
konse Tareeke apnaun
Meri Dhadkan, har Saans ki rawangi ho Tum
Tujhe
bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaun
Nazneen
By : GAGAN... (Views : 945)
mere pehlu par jab vah chalti gulistaan mein
farje aasma par kehkasha
hasrat se takta tha
muhabbat jab chamak uthi uski chasme khadaan
mein
khumastane falak se noor ki sahba barasti thi
meri baju mein jab vo
zulf-e-shabnam khol deti thi
zamana mehakti khilti nadi mein doob jaata
tha
meri shaan par jab sar rakh kar ke tandi saanse leti thi
meri duniya
mein saajo-saaj ka tufaan aata tha
meri aankhon mein aankhein daalkar jab vah
muskurati thi
mere julmat kandhe ka zarra zarra jagmagata tha.
Zamne Se Nahi
By : Gagan(Views : 361)
zamne se nahi, tanhai se darte hai,
payar se nahi, ruswai se darte
hai,
milne ki umang bahut hoti hai dil me lekin,
milne ke baad teri judai
se darte hai.
Chupke Se
By : Gagan (Views : 611)
chupke se aapki dhadkan
me utar jayenge
raahe ulfat mein aaj hudd se
guzar jayenge
toot ke aap jo hume is kadr chahenge
hum to bahon mein
toot kar bikhar jayenge
Tumhari Ek Mulaqat
By : Gagan (Views : 589)
tumhari ek mulaqat ne
dil ko chhoo liya
bina kuchh jaane hi
dil
tumhara ho liya
nahi maaloom kya tha
uss mulaqaat mein
jo agar na mile
tum
to tumhe sapne mein bula liya
Tum Samne Ho
By : Gagan (Views : 539)
tum samne ho yeh gumah rehta hai
chhoo nahi sakte to kya huya
tumhaare
saath waqt beetaney
ka bahaana to hota hai
ankhon me sapne ki tarhan
samet ke rakha hai tumhe
bhula nahi sakte tumhe
yeh baat rom rom kehta
hai
Pyar Hi Pyar
By : Gagan (Views : 577)
khamosh se rehne lage hai hum
intzaar kisi ka karne lage hai hum
yakeenan kisi se hui hai mohabbat
bina baat hi muskurane lage hai hum
dil puchta hai bas yeh ik sawaal ke
koi humara ya kisi ke hone lage hai
hum
darr hai kisi ke kho jaane ka
jaane kaisa khwaab bunne lage hai hum
ab toh her cheez se ho jata hai pyar
dusron ko bhi pyar shkhane lage hai
hum
yeh qalam bhi pyar ki ho gayi deewani
bas pyar hi pyar likhne lage hai
hum
Duriyon Ki Parwah
By : Gagan (Views : 862)
Duriyon ki parwah na kiya kijiye,
dil jab bhi pukare bula liya
kijiye,
hum jyada dur nahi apse bus apni ankhon Ko palko se mila liya
kijiye.
MANA LUNGA
By : Gagan(Views : 409)
WO SAMNE AYE TO NAZRON KO JHUKAA LUNGAA
DEKHUNGA NAHI PHIR BHI TASHWEER
BANA LUNGA
AANA HO TO AA JAO RUSHWAYEE NAHI HOGI
DEKHEGA NAHI KOI PALKON ME CHHUPA
LUNGA
JO HAM PAR GUZARNI HAI IK BAAR GUZAR JAYE
HAR GHAM KI TARHA TUJH KO SEENE
SE LAGA LUNGA
WEERAN AGAR DIL HO ANKHON MEIN ANDHERA HO
YAADON KE DIYE APNI PALKON ME
SAJAA LUNGA
MANZOOR AGAR HOGI RUSHWAYEE TERI MUJHKO
MAIN BAITH KE SHAHIL SE TUFAAN
UTHA LUNGA
NARAAZ AGAR WO HAIN MERE NASHEMAN SE
MAIN APNE NASHEMAN KE TINKON KO HATA
LUNGA
KYON MUJHSE KHAFAA HOKAR WO DOOR GAYE
BAANHO ME WO AA JAYEN MAIN UNKO MANA
LUNGA
RAAT KI BARISH
By : Gagan (Views : 465)
Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas
Dilata Hai
Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May
Jagata Hai
Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz
Madhem Ho Jata Hai
Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas
Chuu Jata Hai
Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Toh pal Bhar Main Beet
Jata Hai
Ek Bar To Aaja Aaja
By : Gagan (Views : 440)
hey mere dil mein rehne wale
meri nazroo ke samne aaja
so baar nahi to
ek baar aaja