Romantic
Shayari
PAGE=5
Dil Ka Zakhm
By : (Views : 735)
Range Gul Mange hai, Khushbo-e-wafa mange hai
Dil ka har zakhm mehakne ki
ada mange hai
Shaakh dar shaakh mehakti khushbu-e-gulaab
Kisi daman se
lipatne ki dua mange hai
Jind Jaan
By : Gagan(Views : 826)
Hasdi Rahe Hamesha Meri Jaan
Kar Dewaan Jind Main Ohton Kurbaan
Dekh Ke
Lok Khush Ohnu Ho Jande Ne Hairaan
Ki Banke Oh Rahegi Hamesha Sadi Jind
Jaan
Hamare Jaise Nahi
By : Gagan(Views : 852)
Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise
Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare
Jaise Nahi
Sapne Mein
By : Gagan(Views : 690)
Milunga Sapne mein ab aap so jaiye
hamare khayalon mein kho
jaiye
hamare beech ki duri mitaiye
dua karte hain bhagwan se
ki aap
mere hi kayalon mein aaiye
Zindagi Saari
By : Gagan(Views : 713)
Karanga udeek teri
main apni zindagi saari
na dewanga dhokha us
nu
jisde naal hai laali yaari
Shiddat
By : GAGAN... (Views : 3954)
badi shiddat se ghoor rahe the
khud ko aayine mein vo
bada pyaar aa
raha tha unhe
chaman ke nazaron ko dekhkar
khud pe itra rahe the
khud
se sharma rahe the vo
bada luft aa raha tha unhe
husn ki baharon ko
dekhkar
khumaar tha aankhon mein
apni khubsoorti malang dekhkar
jism ka
rang dekhkar
kabhi ye apna dang dekhkar
kabhi baal khul rahe the
kabhi
baal bandh rahe the
chudiyaan badal badal
moujon ke rang badal rahe
the
pehle muskuraana fhir
khul ke khilkhilaana
jaise khanak gaya
ho
paimaane se koi paimaana
kabhi aage jhuk rahe the
seene mein haath
rakhkar
kabhi sir jhatak rahe the
honthon pe haath rakh kar
fhir darr
ke unka dekhna idhar-udhar
pakdi na jaaye kartoot ki
khud pe thi
bad-nazar
CHAND SA CHEHRA
By : Gagan (Views : 1022)
CHAND SA CHEHRA ZULF JAISE GHATAYEIN
CHEHRE SE HATA DO, TO CHANDNI HO
JAYE
HAI AANKHON ME MASTI HASEEN HAI ADAAYEIN
BADAN KI KHUSHBOO SE TERI
HUM MADHOSH HO JAYE
UFF! YE TERE NAKHRE TERA SHARMANA AAYE-HAAYE
TU JO
MUSHKURA DE, TO HOSH KHO JAYE
LABZON ME HAI MOHABBAT
HOTHON PE HAI
NAZAKAT
HOTHON SE CHHULUN TUJHKO TO HAR ZAKHM KHO JAYE
KHUDA KI TU
QAYAMAT
BAAHON ME TERI JANNAT
BAAHON ME LE LU TUJHKO TO ZINDAGI HO
JAYE
Beetay Lamhoon Ki Yaad Aati Hai
By : Gagan (Views :
1020)
Tanhayee me jab beete lamho ki yaad aati hai
kya kahe jism se jaan chali
jaati hai
yu to unki berukhi yaad hai hume par
aakhe band kare to surat
unki nazar aati hai
Khuda Ki Marzi Ho Gi
By : Gagan (Views : 884)
Dil tuta hai hamara, khuda ki marzi hogi
Dil diya tha hamne unhe apna
samaj kar
tod diya unhone ise ek sapna samaj kar
Is tute huay dil ko ab
ham sambhale kahan se
ki hum to pehle hi bedakhal ho chuke hai jahan
se
Har Tarannum Mein Mili Hai Teri Aavaaz Mujhe
By : Gagan
Bhangu (Views : 855)
har tarannum mein mili hai teri aavaaz mujhe
ek hi naghma sunata hai har
ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua kartaa hai
ishq mein yaad hai
aaghaaz hi aaghaaz mujhe
jaise viraane se takra ke palat ti hai sada
dil
ke har goshe se aai teri aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chahe use chahna
umr bhar apni mohabbat pe raha naaz mujhe
Mausam Ko Isharon Se Bula Kyun Nahin Lete
By : Gagan
Bhangu (Views : 803)
mausam ko isharon se bula kyun nahin lete
rutha hai agar vo to mana kyun
nahin lete
deewana tumhara koi ghair nahin hai
machla bhi to sine se laga
kyun nahin lete
khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jalakar
tanhai ko
rangeen bana kyuun nahin lete
tum jaag rahe ho mujhko achchha nahin lagta
chupke se meri neend chura kyun nahin lete
Vo Behisaab Jo Pi Ke Kal Sharab Aaya
By : Gagan
(Views : 451)
vo behisaab jo pi ke kal sharab aaya
agarche mast tha main par mujhe
hijaab aaya
idhar khayaal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khata hua
dil mein pech-o-taab aaya
khayaal kiska samaya hai dida-o-dil mein
na din
ko chain mujhe aur na shab ko Khwaab aaya
Aa Bhi Jao Ki Zindagi Kam Hai
By : Gagan (Views :
461)
aa bhi jao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har khushi kam hai
vada
kar ke ye kaun aaya nahin
shehar mein aaj roshni kam hai
jaane kya ho gaya
hai mausam ko
dhoop zyada hai chaandni kam hai
aaina dekh kar khayaal aaya
aaj kal un ki dosti kam hai
tere dam se hi main mukammal hun
bin tere
meri zindagi kam hai
Deewane Khat Likha Nahi Karte
By : Gagan (Views :
449)
use maine hi likha tha
ke lehje baraf ho jain to pigla nahi
karttay
parinde darr ke ud jayein to phir louta nahi karte
use maine hi
likha tha
yaqeen uth jaye to shayad kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi
toofaan kabi barish nahi lata
use maine hi likha tha
ke sheesha toot jaye
to kabi phir jud nahi pata
jo raste se bhatak jaye woh wapis mud nahi
pata
use kehna adhura khat use maine hi likha tha
use kehna ke deewane
mukkamal khat likha nahi karte
Dil Ki Lagi Ko Aur Vo Bhadka Rahe Hain Aaj
By : Gagan
Bhangu (Views : 514)
dil ki lagi ko aur vo bhadka rahe hain aaj
khud hi khud bahaar bane jaa
rahe hain aaj
jaise ke ho raha hai aftaab-e-naaz
kuchh aisi shaan se vo
chale aa rahe hain aaj
thukra ke iltija ko paa-e-gurur se
armaanon kaa vo
khoon kiye ja rahe hain aaj
vo pyaar ki fizayein vo rangin
sohbatein
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hain aaj
yaron gila karein
bhi to kis baat ka karein
apne kiye ki aap saza pa rahe hain aaj
Rah-e-ashiqui Ke Maare Rah-e-aam Tak Na Pahunche
By :
Gagan (Views : 385)
rah-e-ashiqui ke maare rah-e-aam tak na pahunche
kabhi subah tak na
pahunche kabhi shaam tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast
teri
mera haath kya nazar bhi kabhi jaam tak na pahunche
mujhe apni bekasi
ka nahin gham khayaal ye hai
kahin baat badhte badhte tere naam tak na
pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
vo
hayaat-e-aashiqui kya jo davaam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na
bhule se labon par
basabiil-e-tazkira bhi mere naam tak na pahunche
kahin
is tarah bhi ruuthe na kisi se koi yaron
ke payaam tak na aaye ke salaam tak
na pahunche
Ya To Mit Jaiye Ya Mita Dijiye
By : Gagan (Views :
399)
Ya to mit jaiye ya mita dijiye
kijiye jab bhi sauda khara kijiye
ab
jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhari waqt hai bas dua kijiye
apne chehre se
zulfen hata dijiye
aur phir chaand ka samna kijiye
har taraf phool hi
phool khil jaayenge
aap aise hi hansate raha kijiye
aap ki ye hansi jaise
ghungru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye
Kuchh Na Kuchh To Zaroor Hona Hai
By : Gagan (Views
: 433)
kuchh na kuchh to zaroor hona hai
samna aaj unse hona hai
todo,
phenko, rakkho, karo kuchh bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindagi aur
maut ka matlab
tum ko pana hai tum ko khona hai
itna darna bhi kya hai
duniya se
jo bhi hona hai vo to hona hai
uth ke mehfil se mat chale jana
tum se roshan ye kona kona hai
Wo Ke Har Ahd-e-mohabbat Se Mukarta Jaye
By : Gagan
Bhangu (Views : 314)
Wo ke har ahd-e-mohabbat se mukarta jaye
dil vo zaalim ke usi shakhs pe
marta jaye
mere pehlu mein vo aaya bhi to khushbuu ki tarah
main use
jitna sametuun vo bikharta jaye
kyon na hum usko dil-o-jaan se chaahein aye
dost
vo jo ek dushman-e-jaan pyaar bhi karta jaye
Is Raah-e-mohabbat Mein Tu Saath Agar Hota
By : Gagan
Bhangu (Views : 316)
Is raah-e-mohabbat mein tu saath agar hota
har gaam pe gul khilte khushbu
ka safar hota
uthta mere pehlu se vo mehr-e-shanasai
ik roz to aisa bhi
aaghaaz-e-sehar hota
ashq-e-sar-e-mizgaan ko chun leta vo palkon se
ik roz
to aisa bhi dida-e-tar hota
ye tark-e-talluq ki sun lete nasihat bhi
humsa
jo koi uska mehboob-e-nazar hota
Baat Chali Teri Aankhon Se Ja Pahunchi Paimane Tak
By :
Gagan (Views : 532)
baat chali teri aankhon se ja pahunchi paimane tak
kheench rahi hai teri
ulfat aaj mujhe maikhane tak
ishq ki baatein gham ki baatein duniyawale karte
hain
kisne shama ka dukh dekha hai, kaun gaya parwane tak
ishq nahin hai
tum ko mujhse sirf bahane karti ho
yunhi bahane qayam rakhna tum mere mar
jane tak
itna hi kehna hai tumse mumkin ho to aa jana
aa hi gaye to rukna
hoga, aankhon ke pathrane tak
Mujh Ko Deewana Banate Ho Ye Kya Karte Ho
By : Gagan
Bhangu (Views : 453)
bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho
aur phir aankh churate ho
ye kya karte ho
baad mere koi mujh sa na milega tum ko
khaak mein kis ko
milate ho ye kya karte ho
chinte paani ke na lo neend bhari aankhon par
sote fitne ko jagate ho ye kya karte ho
hum to dete nahin kya ye bhi
zabardasti hai
chhiin kar dil liye jaate ho ye kya karte ho
ho na jaaye
kahin daaman ka churana mushkil
mujh ko deewana banate ho ye kya karte
ho
Aakar Jaane Ki Baat Karte Ho
By : Gagan (Views :
445)
Aakar ke jaane ki baat karte ho
phir dil dukhane ki baat karte ho
Phir
btate ho apni majboori
phir bahaane ki batt karte ho
Ekta, ittefaq,
pyaar-o-guroor
kis zamane ki baat karte ho
Dil ki duniya ujaad di
pehle
ab basaane ki baat karte ho
Main mohabbat ka zikr karti hu
tum
zamane ki baat karte ho
Kehte Hain Mujhse Ishq Ka Afsana Chahiye
By : Gagan
Bhangu (Views : 672)
kehte hain mujhse ishq ka afsana chahiye
rusvai ho gai tumhein sharmana
chahiye
Khuddar itni fitrat-e-rindaan na chahiye
saaqi ye khud kahe tujhe
paimana chahiye
aashiq bagair husn-o-jawani fizuul hai
jab shamma jal
rahi hai to parwana chahiye
aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor
varna mariize hijr ko mar jana chahiye
vaada tha unka raat ko aane ka ae
huzoor
ab chaand chhup gaya unhen aa jana chahiye
Azeez Itna Hi Rakho Ke Ji Sambhal Jaye
By : Gagan
(Views : 467)
azeez itna hi rakho ke ji sambhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam
nikal jaye
mile hain yuun to bahut aao ab milen yuun bhi
ke ruuh
garmi-e-anfaas se pighal jaye
mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhadka sa
ke jaane kaun kahaan raasta badal jaye
main wo
chiragh-e-sar-e-rehguzar-e-duniya huun
jo apni zaat ki tanhaaiyon mein jal
jaye
har ek lehja yahi arzoo yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein
bhi dhal jaye