XtGem Forum catalog


Relationships Shayari

Relationships Shayari

PAGE=4

Mohabbat Main
By : Gagan.. (Views : 812)

Mohabbat me hum mashoor kya huwe
har harkat humari deewangi lagnay lagi
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagiGagan..

 

Love Love Love
By : Gagan.. (Views : 873)

KYA BATAYE KAISE LIKHTE HAIN HUM
BUS YUN SAMJHO UNKI YAAD MAIN DO SHABD KEHTE HAI HUM
MILTI HAI JAB FIR AAP JAISE DOSTON SE WAH WAH
TAB PATA CHALTA HAI AREY YE TO SHAYRI LIKHTE HAI HUMGagan..

 

Dar-Dar
By : Gagan.. (Views : 593)

Dar- Dar bhatakte hain armaan ki tarah
har shakhs milta hai hame mehmaan ki tarah
khushi ki ummeed kya rakhen is zindige se
yeh to gham bhi deti hai to ek ehsaan ki tarahGagan..

 

Phir Jaroorat Hai Muskurane Ki.....
By : Gagan(Views : 649)

kya yahi gardeeshen hai zamane ki
surkhiaan mere fasane ki
phir mila ek gham dil ko taza
ab zaroorat hai muskurane ki

 

Part Of You
By : Gagan.. (Views : 823)

If I could be any part of you, I�d be your tear. To be conceived in your heart,
born in your eyes, live on your cheeks, and die on your lips.

Meri Pyari Maa
By : Gagan(Views : 688)

kahan chhup gaye ho inn dino kuch pata nahi
ankhen tujhko dhoondti rehti hai har parchhayi mein

har din har pal hum sath guzara karte the
veerana sa lagta hai sab kuch is tanhai mein

teri mithi mithi baaton mein bahut maza ataa tha
kitni chamak uthti thi teri aankhen meri badhai mein

tumne kaha tha ki hanskar mujhe doli mein bithaogi
kitne ashkon ki barsat ki thi tumne meri bidaai mein

sochti hoon tumse durr main kaise reh sakungi
maa, meri pyaari maa chubhti hai din raina teri judai mein

 

Tu Aaj Khamoosh Hai
By : Ashique_E-Bimar (Views : 701)

Shaant kinare ne samaandar se kaha
E dost kiyun tu aaj khamoosh hai
Samaandar ne kaha, kya karu abb lehron ko
Meri zarurat nahi aur hawaon ne bhi rukh moud kar mera saath chodd diya hai

 

Deewaar.....
By : Gagan(Views : 474)

Ek shaksh ko bhula kar,
Ab zindagi hamari pehle se bhi,
Zyada dushwaar ho gayi hai,
Hum dar bana rahe thhe,
Par deewaar bann gayi hai.

 

Pyar Se Naffrat
By : Gagan(Views : 895)

Dil mein barf boti ja rahi hai,
Yeh chahat sard hoti ja rahi hai,
Meri tanhai ki palkon pe jugnu,
Teri nafrat piroti ja rahi hai,
Sahegi aarzo ki bail kaise,
Hawa be dard hoti ja rahi hai,
Kabhi jo thi gulaboan si ruffaqat,
Woh ab kaante chubbhoti ja rahi hai,

Kisi bichde hue ki yaad kab se,
Mure hue kumre mein roti ja rahi hai,
Jhalkne do abhi aankhein ay dost,
Yeh baarish zakham dhoti ja rahi hai.

 

Speaking Without Bluffness
By : Gagan(Views : 476)

Speaking without Bluffness,
Love without Intentions,
Praying without Selfishness,
and Caring without expectations is the sign of true RELATION.

Maddah Se.....[ To My Admirer Or Fans.....]
By : Gagan (Views : 651)

Meri takhleeq se tu to mayoos hi hoga,
Na to lafzon se taraasha hai,
Inqalaab hai bharam main,
Na hi takhleeq meri main hai,kisi jehaad ki pukar,
Na hi fardaa ka koi dil-fareb sraab,
Na maazi ka paihum israar,
Na hi iss mein hai fasoon-i-alfaaz ke kartub,
Na hi nishast lootne ke andaaz,
Aur maflooz zehnon ke qabeel nahi,
Ki is main hai imqaan-i-sad-parwaaz......

Maddah = Admirer[fan].

Fardaa = Future.

Sraab = Mirage.

Paihum = Continous.

Fasoon-i-alfaaz = Tricks of words.

Nishast = Mehfil.

Maflooz zehnon = Paraliysed mind.

Imqaan-i-sad-parwaaz = Possiblities of so many flights.

 

Saath Saath Chal Rahe....
By : Gagan (Views : 1626)

Saath saath chal rahe thhe hum apni manzil ki aur,
Kyun chhod diya saath jab manzil thhi apni aur,
Woh pal do pal ki khushiyan bitai hum ne aapke saath,
Woh aaj hansate hai hume yeh jankar bhi aap nahi humare saath.

 

Rishta Aap Jaise Se ..
By : Gagan(Views : 1774)

Roshni ho to diya jalta hai,
Shama ho to parvana jalta hai,
Rishte na ho to dil jalta hai,
Rishta aap jaise se ho to kambkht zamana jalta hai.

 

Ek Aur Hamari Bhaanji Ke Liye
By : Gagan (Views : 851)

Ek choti si nanhi si gudia meri jaan hogi
Usko mere pyaar ki bhi pehchaan hogi
Bahut pyar doonga main use
Ke vo meri bhaanji ki jagah meri apni beti ki tarah hogi

 

Meri Shezaadi Aur Bhaanji Ke Liye
By : Gagan (Views : 674)

Zindagi ke safar mein bahut se lamhe aate hain
Kai khushi to kai aansuon ke samandar mein duba jaate hain
Par is dil mein ek aas si rehti hain suhaane mausam ki
Isiliye to yeh un dukhon mein bhi khushiyon ko talaashe jata hai

Aaj Bade Dino Ke Baad
By : Gagan (Views : 616)

Aaj bade dino ke baad, dil se khushi manayeinge,
Dil mein jo thhe armaan, wo poore hone ko aayeinge,
Kyunki kuch hi mahino mein Chhabra Saab -Mama Ji kehlayeinge.

 

Shezaadi Ke Naam
By : Gagan (Views : 673)

Zindagi ke ek mod par koi apna sa laga,
Bahut pyar diya maine usey,aur bahut pyar milne bhi laga,
Phir jab dhyaan aaya to sab kuch sapna sa laga,
Vo jo koi apna sa laga tha,ab uske bina yeh dil akela sa mehsoos karne laga!!

 

Meri Maa....
By : Gagan(Views : 560)

Tune itne pyaar se mere maathe ko sehlaaya hai,
Lagta hai bas sukoon ka ab mere sar pe saya hai,
Barson baad dil-e-shorida mein sannata chhaya hai,
Jaise ujddi basti mein koi phirse rehne aaya hai,
Tere chehre ki jhooriyon ko dekh ke aankhein bhar aayi hain,
Sochti hoon ke zist ne kaisa tera saath nibhaya hai,
Nam-roshan yeh teri aankhein khush hai mujhko chune se,
Phir seene se laga ke tune kyon yeh ashq bahaya hai,
Maatha mera choom ke tune rooh ko meri dho dala hai,
Teri dua ne ab tak meri zindagi ka deep jalaya hai,
Tere balon mein hai safedi mere chehre par laali hai,
Tune jisko khoon se seenchha wo paudha lehraayaa hai,
Dekh meri maa teri beti aaj kamaati hai lakhon,
Lekin tune jo hai gawaaya kab maine wo kamaya hai,
Kya aukaat kisi ki ke mamta ka mol laga paye?
Jab khuda ne jannat ko tere pairon ke neeche dabaya hai.

Dil-e-shorida = Heart full of noises.
Zist = Life
Nam-roshan = Less bright.

 

Zanjeer
By : Gagan(Views : 735)

Mohabbat ek haseen khwaab hai
Har khwaab ko taamir nahi milti
Toot kar bikhar jaate hain wo rishte
Jinhe zanjeer nahi milti

 

Jo Rahte Hain Dil Mein
By : Gagan(Views : 1328)

Jo rahte hain dil mein
Vo judaa nahi hote
Kuch ehsas lafzon mein bayan nahi hote
Ek hasrat hai unhe manane ki
Vo itne achhe hain ki kabhi khafa nahi hote

Aasman Ko Neend Aye To Sulaye Kahan ?
By : Gagan (Views : 842)

Aasman ko neend aye to sulaye kahan
Dharti ko maut aye to dafnaye kahan
Sagar mein lahrein aaye to chupaaye kahan
Aur iss dil ko teri yaad aye to hum jaye kahan

 

Vo Dil Hi Kya Jo Wafa Na Kare
By : Gagan(Views : 838)

Vo dil hi kya jo wafa na kare
Tujhe bhul kar jiyen khuda na kare
Rahegi teri dosti meri zindagi bann kar
Vo baat aur hai agar zindagi wafa na kare

 

Yaad Rakhna
By : Gagan(Views : 1076)

Ro uthhega waqt yaad rakhna
Yaad aayegi humaari yaad rakhna
Aaj paani daam par bikne laga hai
Kal hawaoon ki hai baari yaad rakhna
Ek hi to kamayabi ki dagar hai
Aap ki imaandaari yaad rakhna
Saath rishton ke hamesha hi milegi
Umar bhar ki bekaraari yaad rakna
Pyaas to hardum humaari hi rahegi
Ho bhale madira tumhari yaad rakhna

 

HAZARON ALFAAZ
By : Gagan(Views : 1022)

ZUBAAN HI SIRF ZARIYA NAHIN,
JO AAP SHABDON KO SAMAJH PAYENGE,
MERI AANKHON MEIN JHANK KAR DEKHIYE,
HAZARON ALFAAZ KHUD-B-KHUD BIKHAR JAYENGE.

 

Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi
By : Gagan (Views : 1209)

Har khushi hai logon ke Daaman mein
Par ek HASI ke liye waqt nahi
Din raat daudti duniya mein
Zindagi ke liye hi waqt nahi

Maa ki lori ka ehsaas to hai
Par Maa ko Maa kehne ka waqt nahi
Saare rishton ko to hum maar chuke
Ab unhein dafnane ka bhi waqt nahi

Saare naam mobile mein hain
Par dosti ke liye waqt nahi
Gairon ki kya baat kahein
Jab apno ke liye hi waqt nahi

Aankhon mein hai neend badi
Par sone ko waqt nahi
Dil hai gammon se bharaa hua
Par rone ko bhi waqt nahi

Paison ki daud mein aise daude
Ki thakane ko bhi waqt nahi
Paraye ehsason ki kya kadar karein
Jab apne sapano ke liye hi waqt nahi

Tu hi bata E Zindagi
Iss Zindagi ka kya hoga
Ki har pal marne walon ko
Jeene ke liye bhi waqt nahi


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter