Relationships
Shayari
PAGE=5
Yeh Mat Kehna Ki Aaj Rehne Deejiye
By : Gagan.. (Views :
1137)
Zindagi ka raaz, raaz hi rehne deejiye,
Jo bhi ho aitraaz, aitraaz rehne
deejiye,
Par jab yeh dil, dil se milna chahe
Yaar......
Yeh mat kehna
ki,
Aaj rehne deejiye....
IN AANKHON MEIN
By : Gagan (Views : 1043)
IN AANKHON MEIN KUCHH SAPNE HAIN,
KUCHH APNE TO KUCHH PARAYE HAIN,
NA
JAANE DIL MEIN YEH KAUN SI KASHISH HAI KE,
AAP SAB GAIR HO KE BHI LAGTE APNE
HAIN.
Har Shaam Tera Naam..
By : Gagan (Views :
1183)
Har Shaam lete hain tera Naam,
Dil ko nahi Aaraam,
Kam Daam mein pite
hain Jaam,
Mana pina hai Haraam,
Karte hain tujhe Salaam,
Ser pe lagate
hain Baam,
Aur hamein nahi koi Kaam,
Phirte rehte hain Tamaam Shaam,
Bas yehi hai Armaan,
Rahe tumhara saath har Shaam.
Baaj Ki Asali Udaan
By : Gagan (Views : 681)
Abhi to baaj ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zameen dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.
Dil Ka Ek Tukda
By : Gagan (Views : 1043)
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahin koi zakhm nahi phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
Lagta hai dil ka
ek tukda aaj bhi uske paas hai.
PYARI MAA
By : Gagan (Views : 767)
AIK MUDDAT SE MERI MAA NAHI SOI HAI,
MAINE IK BAAR KAHA THA,MUJHE DAAR
LAGTA HAI.
LA-JAWAB
By : Gagan (Views : 649)
MAIN SACH KAHOONGA MAGAR PHIR BHI HAAR JAOONGA,
WO JHOOT BOLEGA AUR
LA-JAWAB KAE DEGA.
RESHAMI-DHAAGE
By : Gagan (Views : 565)
HAATH ULJHE HUE RESHAM MAI PHANSA BETHE HAIN.
AB BATA KONSE DHAGE KO JUDA
KIS SE KARAIN.
SUKH PAYA NA KISE NE LAA KE AKHIYAAN
By : Gagan (Views :
708)
SUKH PAYA NA KISE NE LAA KE AKHIYAAN,
CHANGEY REHNDE JEHDE RAKHDE BACHA KE
AKHIYAAN.
DASSA GIN KE KASOOR HOYA KEHDA-KEHDA,
HOYA DASSA EHNA HATHON
MAJBOOR KEHDA-KEHDA.
GALLAAN REHNDIYAN NE MANAA KE EH AKHIYAAN,
�SUKH�
PAYA NAA KISE NE LAA KE AKHIYAAN.
Wo Ik Ladki Thi..
By : Gagan (Views : 992)
Woh ik pagal si ladki thi,
Khwaab thay uss ke badey badey,
Din bhar wo
sapnay bunti thi,
Rang o khushboo se bharey huey,
Umeed ka diya jala kar
wo,
Aanch par uss ki jalti thi,
Uss ki shamma ke dhalney par,
Shaam uss
ki bhi dhalti thi.
Wo ik masoom si ladki thi,
Baarishon mein nahati thi,
Par badaloon ke
garajney par,
Thodi wo darr si jati thi,
Wo ik nadaan si ladki
thi,
Khwahishoon se ghabrathi thi,
Sachai ka daman tham ke woh,
Jhoot
uss ke nibhati thi.
Abb sochoon to yaad bohat aati hai,
Iss soch mein shaam dhal jaati
hai,
Kyoon uss ko naa jaan saka koi,
Kyoon uss ko kisi ne naa dekha.
Unn hathoon ki berang mehndi mein,
Kitnay thay waadey basay huey,
Unn
hontoon ki uss khamosh larzish mein,
Kitnay thay raaz chupay huay,
Unn
aankhoon ke behtay kajal mein,
Kitnay sapnay thay samey huey.
Wo ik pagal si ladki thi???
Zindagi Savar Jayegi
By : Gagan.. (Views : 1284)
Naraz hona aap se galti kehlayegi,
Agar aap naraz ho gaye to yeh sanse
tham jayengi,
Hanste rehna hamesha,yoon hi,
Aap ki hansi se kisi ki
zindagi savar jayegi.
Sapna Aur Apna
By : Gagan (Views : 1457)
Aap har manzil ko mushkil samajhte hain,
Hum aap ko manzil samajhte hain,
Bada fark hai aapke or hamare nazariye mein,
Aap hume sapna or hum aap ko
apna samajhte hain.
Rishtey
By : Gagan(Views : 3088)
Kuch Rishtey Uparwaala Banaata hai,
Kuch Rishte Log Banaate hain,
Par
wo, log Bahut Khaas Hote hain,
Jo Bina Rishte ke Koi Rishta Nibhate hain.
Khara Hai Dard Ka Rishta
By : Gagan (Views : 1429)
Khara hai dard ka rishta to phir judai kyon,
Juda to hote hain wo,khot
jinki chah me hai.Gagan..
Deedar Ke Kabil
By : Gagan (Views : 1756)
Yeh dil pyaar ke kabil na raha,
Koi bhi izhar ke kabil na raha.
Is Dil mein bas gayi dosti aap ki,
Aab to chand bhi deedar ke kabil na
raha.
Saath De Jaye
By : Gagan (Views : 1855)
Saathi sirf wo nahi hota jo jeevan bhar saath nibhaye,
Saathi to wo bhi
hai jo jivan ke kuch palon mein bhi jeevan bhar ka saath de jaaye.
Dariya Banke Behte
By : Gagan (Views : 1322)
Tumne chaha nahin warna haalaat badal sakte thay,
Mere aansoo tumhaari
aankhon se nikal sakte thay,
Tum to thahre rahe jheel ke paani ki
tarah,
Dariya banke bahte to bahut door nikal sakte thay.
Agar Judai Na Hoti
By : Gagan (Views : 1610)
Agar zindagi me judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na
hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to,
Shayad rishton me yeh gehrai na
hoti.
Aisa Dost Chahiye
By : Gagan (Views : 1649)
Aisa dost chahiye,
Jo hume apna maan sake,
Humare har dukh ko jaan
sake,
Chal rahe hai hum tej barish mein,
Phir bhi pani mein se aansuon ko
pehchan sake.
Fariaad
By : Gagan (Views : 1445)
Eh Dil Mera Kamla,Jhalla Mera Kite Vi Chain Na Paave,
Jad Aawe Sajjna Da
Supna Jhat Akh Vi khul Jaave,
Haye Rabba Na Pyaar Paavi Jo Moti Jind
Rulawe,
Ja Fir Sajjan Devin Aisa Jo Sira De Naal Nibhave.
Tum Mere Liye Kya Ho
By : Gagan (Views : 4119)
Tum Meri Zindagi ka mehaz ek Safa hi nahin,
Unpe Likhe Hurf aur unse bani
Dastaan bhi ho,
Mere HumSafar Tum sirf ek Gumaan hi nahin,
Usse lagi
Ummeed aur Uspe thehri Khwaaish bhi ho.
Anmol Rishta
By : Gagan (Views : 3858)
Zindagi mein aapki ehmiyat bata nahi sakte,
Dil mein aapki jagah dikha
nahi sakte,
Kuchh rishte anmol hote hain,
Is se zyada hum aapko samjha
nahi sakte.Gagan..
Apnon Ke Liye
By : Gagan (Views : 2003)
Dil ki mehfil mein ujala kiya kijiye,
Roz pyar bhare geet gungunaya
kijiye,
Zindagi khubsurat ban jayegi huzur,
Apnon ke liye zara waqt nikala
kijiye.
Duaa
By : Gagan (Views : 3481)
Duaa hai ki teri duniya mein koi gam na ho,
Duaa hai ki teri muskaan mein
kabhi kam na ho.
Agar kabhi tere palakon mein aansu aaye to,
Duaa hai ki
uski wajah ham na ho.
Anjaan !
By : Gagan (Views : 1745)
Khoobsurat hai zindagi khwaab ki tarah,
Jaane kab tut jaaye kaanch ki
tarah,
Kisi mod pe mulaqat ho gayi hamari to,
Aankhein mat mod na anjaan
ki tarah.