Ring ring


Relationships Shayari

Relationships Shayari

PAGE=3

Kya Karein?
By : Gagan.. (Views : 655)

kaam aa sakeen na apni wafayein toh kya karein
ek bewafa ko bhul na jaayen toh kya karein

mujhko yeh etaraaf duwaon mein hai asar
jaaye na arsh par duwayein toh kya karein

ek din ki baat ho toh usse bhool jaye hum
naazil ho roz dil pe balaayein toh kya karein

shab bhar toh unki yaad mein taare gina kiye
taare-se din ko bhi nazar aaye toh kya karein

ahed-e-tarab ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskurake bhul na jaane toh kya karein

ab jee mein hai ke unko bhula kar hi dekh lein
woh baar baar yaad jo aaye toh kya karein

tarq-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi
milne lage wafa ki sazayein toh koi kya karein.

 

Ghar Mein Daraar...
By : Gagan.. (Views : 472)

nafrat ke jaljale se ghar mein daraar hui...
zindagi ko ghiraft se khushiyaan faraar hui....
mohalle ka har ik mashwara bhecne laga....
jab ghar ki andruni batein bazaar hui....

 

MAA KI GOD
By : Gagan.. (Views : 451)

Doobe Doobe dil ki jab, dhadkan badh jati hai
Aise mein phir maa ki god, yaad aati hai

Tamam mushkilon se joojh kar, jab lautate hain hum
[aur] Gujarte vaqt ki aahat, hamara munh - chidhati hai
Aise mein phir maa ki god, yaad aati hai

Baanhon mein jhulati thi kabhi, humko hamari maa
Jhatke de de kar humko ab duniya - jhulati hai
Aise mein phir maa ki god, yaad aati hai

Kisi ne daant kya diya, chhupa leti maa aanchal mein
Ye duniya to baat baat par, daaman chhudati hai
Aise mein phir maa ki god, yaad aati hai

Agar yun dekhein to, khudgarz - kuchh kam nahin hum bhi
Humen bhi to, museebat mein hi, maa ki yaad aati hai

Doobe Doobe dil ki jab, dhadkan badh jati hai
Aise mein phir maa ki god, yaad aati hai

 

Na Jaaye Kahi
By : Gagan.. (Views : 606)

Apna ehsaas mar na jaaye kahi
Dard hadh se guzar na jaaye kahi
Unn ko dekhe huye ho gaye sadiyan
Unn ka chehra bekhar na jaaye kahi
Ab ke awaz du tho aa jana
Dil diwana sudhar na jaaye kahi
Unn ka wada tho hai magar dil ko
Darr hai ke kafir mukar na jaaye kahi
Dard, jugnoo, hawa, gilley shikwey
Yeh mukadar sawar na jaaye kahi
Meri duniya hai dard ki surat
Gull ki surat nikhar na jaaye kabhi
Khak se ab tak tho aa pahunchey
Ab yeh dariya uthar na jaaye kahi
Yeh muhabbat bhi ek bala teri
Ham ko darr hai woh darr na jaaye kahi
Iss liye muskuraye firta hu
Unn ki aankh bhi na bhar jaaye kahi
Dil se guzra tho hai magar
Apni jaan se guzar na jaye kahi Gagan..

 

Sukoon De De
By : Gagan.. (Views : 732)

tere usoolon se hat jaoon to saza de de
agar meharbaan hain...to darr par muje jagha de
jab talak saans rahe har kisi ke kaam aaoon
zar..zameen kuch nahi...dena hain bas dua de de
batak raha hain pareshan aaj ka insaan
har ek dil ko zara sa sukoon de de
abhi bhi baaki hain duniya mein teri hishaidayi
nekhiyon ka mera maalik unhe silha de de
rishte naaton mein mohabbat ki is kadar hain kami
har ek dil pe tadap...daya de de
aaj tehzeeb jamane se mit rahi hain
sharm ehsaas ho aankhon mein kuch haya de de

Jab Kabhi
By : Gagan.. (Views : 1041)

Jab kabhi koi gham sataye
Koi baat dill ko na bhaye
Aankhein sagar chhalkayein
Baat karke dekhana hamse
Kya pata
Ek aansu kam ho jaaye Gagan..

 

Karte
By : Gagan.. (Views : 586)

Chup rehke bhi dil ki baat tho kahi thi par
Woh meri mohabbat pe aitbar nahi karte
Jiski rusvaiyon ke darr se chup hu aaj tak
Kyu woh hee sare-aam mujhe badnaam hain karte

Vaade pe aap aitbaar nahi karte
Ham zikre mohabbat sare baazaar nahi karte
Darta hai dil aapki rusvai se
Aur aap sochte hai ham aapse pyar nahi karteGagan..

 

Kya Kam Hai
By : Gagan.. (Views : 576)

Koi dur ho kitna hi, kya gham hai
Magar wo apna hai, yeh kya kam hai
Chahe na ho koi baat, na ho koi mulakat
Yaad woh karle ek baar, yeh kya kam haiGagan..

 

Aaj Bhi Hai
By : Gagan.. (Views : 579)

Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile tho kya
Raahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hainGagan..

 

Jis Din
By : Gagan.. (Views : 678)

Jis din se juda wo hamse huye
Iss dil ne dhadakna chhod diya
Hai chand ka mooh utra utra
Taaron ne chamakna chhod diya

Woh saath hamarey hote the
Berut hee bahar aa jaati thi
Ab laakh baharein aayi magar
Phoolon ne mehakna chhod diya

Ik din yeh dua maangi ham ne
Taqadeer badal de e-malik
Awaaz yeh ayee ki ham ne
?Taqdeer badalna chhod diya

Ham Tho Mashroof . . .
By : Gagan.. (Views : 607)

Ham tho mashroof thhe apni tanhaiyo meh,
Muddathon baad kissi ne pukara hai,
Ek pal tho ham ruk kar sochne lage,
Kya yehi naam hamara hai !Gagan..

 

Value Your Relations
By : Gagan (Views : 457)

?Rishton Ko Mat Bana Ya Mita Khel Samajh Kar,
Rishte bana Toh Aakhri Dum Tak Unhe Nibha.?Gagan..

 

Na Samjho Par Ye Haqiqat He
By : Gagan (Views : 639)

Na samjho par ye haqiqat hai

dil ke dariya me dubna hi padta hai

is qaid ki zamanat nahi hai

yahan par nishan bhi chodna padte hai

apne ko barbad bhi karna padta hai

ruswai bhi hoti he fir sare shaam

harzana bhi mohabbat ka bharna padta Gagan..

 

Main Saahil Pey
By : Gagan (Views : 453)

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal naheeGagan..

 

Khamiyon Se Bhi Pyaar Ho Jata Hai
By : Gagan (Views : 497)

Kisi na kisi pe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks apna ho jata hai,
Khoobiyon se nahi hoti mohabbat bhi sada,
Khamiyon se bhi kabhi pyaar ho jata hai...

Hamein Yaad Kar Lena...
By : Gagan (Views : 577)

Hamein apne dil se kabhi rihae na dena,
Kabhi apni saanson se nikalne na dena,
agar nikal gaye hum aapki saanson se,
Hamari khatir zindagi mein kabhi hamein yaad kar lena.

 

Kuch Iss Tarah..
By : Gagan (Views : 523)

Kuchh is tarha se, meri zindagi me ayie ho tum...
Kabhi dekha tha sayad mein ne woh khwaab ho tum...
Banke tasveer ankhon me samayie ho tum...
kuchh is tarha se...
Aramano ka saya banke thaheri ho tum?
Ke aaj khwaab nahi haqiqat ban gayie ho tum...
kuchh is tarha se...
Meri zindagi mein ayie ho tum...

 

Meri Mummy Se Mila De Koi........
By : Gagan.. (Views : 706)

meri mummy ko bulaa de koi,
warna mujhko hi sulaa de koi,

mujhko ko bistar ki adat hi nahi,
apni godi mein jhulaa de koi,

shayad aa jayen woh rona sunkar,
mujhko bewajah rulaa de koi,

maine kayi roz se nahi khaya,
uss mohabbat se khila de koi,

mujhko khwaahish nahi mile duniya,
mujhko mummy se mila de koi..........

 

Her Ik Buraai
By : Gagan (Views : 785)

her ik buraai per nazer rakhte hai duniya wale
aur achaai ka charcha honay nahi dete
kuch to ghairon ko milalete hain apnon ki terha
aur kuch apnon ko bhi apna honay nahi dete

 

Alvidaa Mere Bhaiya....
By : Gagan (Views : 676)

Zuban khamosh, ankhen nam hogi,
Phir bahen ko mahsoos teri kami hogi,
Har zakham bhar gaya, per ab kaise,
bharungi woh jagah jaha teri kami hogi,
Alvidaa mere bhaiya...

Bhaiya Aankhe Tak Rahi Thi
By : Gagan (Views : 644)

Tere intezaar mein bhaiya aankhein tak rahi thi rasta,
Tujhe gale laga ke aaj dil ko mila hai chain,
Bhar aaye mere nain, kyunki aaj mile hai hum muddat ke baad.

 

Betiya Toh Parayie
By : Gagan(Views : 989)

Betiya toh parayie, Kyu har kisine yeh baat dohrayie
Jiss Ma'a ki laadli uss ki aankhe bhar ayie
Jiss aangan mein pali uss mein apni yaade chord ayie
Ma'a ne rote huway kaha, Beti aaj se Ek naya rishta nibha
Ek naya ghar bana'na, Babul teri bhi aankhe bhar ayie
Tu ne bhi yehi kaha, Betiya toh parayie
Joh har kisine yeh baat dohrayie

 

Dewana Roop Ka
By : Gagan (Views : 631)

Phool se pehle khusboo ko to dekho
karne se pehle kaam ko to dekho
kisike roop mein diwana naa bano
surat se pehle uske dil ko to dekhoGagan..

 

Dakhti Rahi
By : Gagan(Views : 495)

Mere Jaane Ke Baad Mere Jaane ka Gam Na Karna
Par Apne Dil Mein Tum Pyaar Kam Na Karna
Zindagi To Ruk Gayi Maut Aane Pe Par Es Dil Ka
Kya Kre Jo Marne K Baad Bhi
Dhadakta RhaGagan..

 

As The Night
By : Gagan(Views : 614)

As nite falls upon the land, it is time 2 Zz again.
With the moon hangin in the starlit sky,
i m here 2 wish U NiteNite! Sweet dreams, cover blanket tight tight
Being happy doesn�t mean that everything is perfect. It means that you have decided to look beyond the imperfections�. So always be happy..


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter