Relationships
Shayari
PAGE=2
Nazren Jhukate Raho
By : Gagan.. (Views : 771)
Dekh kar mujhko nazren jhukate raho,
is tarah mere dil ko gudgudate
raho.
Ab jo mere nhi to kya hogya,
jis tarah aate the waise aate
raho.
Dor rishton ki aise nhi todna,
aaina hasraton ka dikhate
raho.
Jaagne me bhi aata hai behad maza,
neend aankhon ki meri yunhi
churate raho
AASAN NAHI HOTA
By : Gagan.. (Views : 524)
MANN ME SABKO PAANE KA ARMAAN NAHI HOTA
HAR KOI DIL KA MEHMAAN NAHI
HOTA
PAR JO EK BAAR BAN JAATE HAIN APNE
PHIR UNHE BHULAANA AASAN NAHI
HOTA
THODA SA SAATH
By : Gagan.. (Views : 675)
WAQT BAHUT KAM HAI SAATH BITANE ME
ISE NA GAWANA KABHI RUTHNE MANANE
ME
'RISHTA' TO HUMNE BANDH HI LIYA HAI AAPSE
BAS THODA SA SAATH DE DENA
ISE NIBHANE ME
Apne Ehsaas Ke Sab Rang Utar Jane Do
By : Gagan..(Views
: 512)
Apne ehsaas ke sab rang utar jane do
meri umeed mere khawaab bikhar jane
do
Apne aangan me charaghon ko jalao na abhi
mere aangan me siah raat
uttar jane do
badi mushkil se mila hai mujhe mere ghar ka pata
rasto ab or
na uljhao mujhe ghar jane do
jin ke ane ka bahut shor barpa tha harsu
unhi
lamhon ko chup chap guzar jane do
meri barbadi ka ilzaam naa aye tum
par
mere haalat ko kuch or bigad jane do
BAHANA BANAKAR
By : Gagan.. (Views : 585)
NAZREN MILAKAR NAZREN CHURA MAT LENA
DOST BANAKAR DUSHMAN BANA MAT
LENA
MANA TUMSE BAHUT DOOR REHTE HAIN
YE BAHANA BANAKAR HAME BHULA MAT
DENA
Qabil Banaya Hai Maa Ne
By : Gagan.. (Views : 937)
arse se mujhko dekha nahi maa ne
godi mein mujhko sulaya hai maa
ne
bade pyar se apni meethi zuban se
mera naam le kar bulaya hai maa
ne
mujhe leke apne narm bazuon mein
mohabbat se jhula jhulaya hai maa
ne
kabhi mere mathe pe teeka laga ke
yoon bachpan mein mujhko sajaya hai
maa ne
jo atwar achche aaye mujh mein
tareeka mujhe yeh sikhaya hai maa
ne
yoon chehra dikha ke mujhe roz apna
mujhe mere rab se milaya hai maa
ne
aur jo tu aaj itra ke chalti hai
qabil tujhe iske banaya hai maa ne
Rishtey
By : Gagan..(Views : 501)
Wo ladai hi kya jis mein gaaliyan na ho
Aur woh sasuraal hi kya jahan
saaliyan na ho
SAAF LAFZON ME
By : Gagan.. (Views : 1666)
USNE DOOR REHNE KA MASHWARA BHI LIKHA HAI
SAATH HI DOSTI KA WASTA BHI
LIKHA HAI
USNE YE BHI LIKHA HAI MERE GHAR NA AANA
AUR SAAF LAFZON ME RASTA
BHI LIKHA HAI
IZHAAR KAUN KARE
By : Gagan.. (Views : 1775)
Mila Woh bhi nahi karte, Mila Hum bhi nahi karte
Wafa Woh bhi nahi karte,
Wafa Hum bhi nahi karte
Unhein Ruswayi ka Dukh, Hamein Tanhayi ka Darr
Gila Woh bhi nahi karte,
Shikwa Hum bhi nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Woh bhi nahi karte, Thera Hum
bhi nahi karte
Jab bhi dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Woh bhi nahi
karte, Kaha Hum bhi nahi karte
Lekin yeh bhi Sach hai ke Mohabbat Unhain bhi hai
Izhaar Woh bhi nahi
karte, Kaha Hum bhi nahi karte Gagan..
Tute Gharaunde Banaa Nahin
By : Gagan..(Views : 950)
Bagair mere tujhe chain aa nahin saktaa
Mera javaab kahin se tu laa nahin
saktaa
Hazaar parde bhi daalo agar banavat ke
Dilon ki baat ko chehraa
chhupaa nahin saktaa
Banaa diyaa hai zamaane ne dil ko patthar kaa
Sataaye koi bhi mujh ko rulaa nahin saktaa
Hasin taj mahal ko banaane
vaalaa bhi
Dilon ke tute gharaunde banaa nahin saktaa
Dooriyan
By : Gagan..(Views : 3304)
Hum kareeb ho ker bhi itne door hain,
Na milney per majboor hain.
Soucha tha kabhi to mil payengay,
Dil ki her baat keh payengay.
Kaise kahun yaad aati hai tumhari,
Zindagi may her qadam per hai kyun
laachari.
Hum chah ker bhi kuch ker nahin saktey,
Is doori ko ab kum ker nahin
saktey.
Khetey hain jo kareeb ho ker bhi door hota hai,
Woh bada badnaseeb hota
hai.
Bas isi may hota hai mera shumar,
Taras gaye hain kerne ko tera
deedaar.
Samajh aa jaye usko mera ishara,
Jis nay dikhaya tha doubti naiya ko
kinara.
Ab her waqt aankh rehti hai num,
Us bin her khushi hai kum.
Hum kareeb ho ker bhi kyun itne door hain?
Chahakti Betiyaan
By : Gagan..(Views : 975)
tumne dekha hai kabhi
beti ke jaane ke baad ka koi ghar
jaise bina
chidiyon ki subah
betiyaan itni ek si hothi hain
ki ek beti mein dikhti
hain dusre ko apni beti ki shakl
Dil Ki Duya
By : Gagan.. (Views : 804)
Ansu diye hai jisne hume,
saathi woh bade khush hai,
Par Dil ki yahi
Dua hai,
saathi woh har pal khush rahe,
Unke diye huye dard to hum sah
gaye,
Par unka dard hum naa sah payenge,
Unke har ek dard ko main le
lu,
Duya hai unki khushi me main khush rahoon.
Toota Dil
By : Gagan.. (Views : 1423)
JAB KABHI ROTA DIL GHBRAYE TO LAUT AANA
GAR TUJE MERI YAAD AAYE TO LAUT
AANA
KUCHH WAQT ACHHA GUZRA HAI SATH TMHRE
WO WQT YAAD AAYE TO LAUT
AANA
EK WAQT KE LIYE DOST BUN JATE HAI SABHI LOG
AGAR KABHI WO WAQT YAAD
AYE TO LAUT AANA
TUM SE DUR NA HOTE AGAR KISMAT SAATH DETI TO
GAR KABHI
DIL KI DHADKAN TEZ HO JAYE TO LAUT AANA LOG TO AKSAR SATH NAHI DETE DIL WALO
KA
PAAS REH KR BHI AGAR KOI SATH NA DE TO LAUT AANA NA JANE TERI ITNI YAAD
KYUN AATI HAI
AGR APP KO PAIGAM POHANCH JAYE TO LAUT AANA.
Betiyaan
By : Gagan..(Views : 958)
maa ke kaleje ka tukda hain
baap ke aangan ki shobha hain
dilon ka
armaan hain
jeevan ka imthihaan hain
bachpan mein khoob hasati hain
betiyaan
lekin doli mein baithkar rualti hain betiyaan
ye paraya dhan
nahi, acche karmon ka fal hai
kismat waale hain wo jinki kismat hain
betiyaan.
RISHTE NIBHANA
By : Gagan.. (Views : 1319)
HUM PHOOL KI TARAH HASNA JANTE HAIN,
HUM HANS KAR GUM CHHUPAANA JAANTE
HAIN,
LOG MILKAR RISHTE NIBHATE HAIN TO KYA HUA,
HUM BINA MILE RISHTE
NIBHANA JAANTE HAIN.
Aanchaal
By : Gagan..(Views : 734)
mamta ke aanchal mein tujhko bithau
palkon ke jhoolon mein tujhko
jhulau
tu hai humhare naino ki jyoti
tere pyaar se apna aangan
mehkau
chalegi tu jis path par
uspar sada fool barsau
gamon ki
parchhayi bhi
tujhko kabhi chhune na paaye
har muskilon se tujhe door kar
jau
aisa tera hum dum ban jau
Maa
By : Gagan..(Views : 563)
mujhe adna sa samjha tha zamane ki nighaon ne
mujhe pagal bana daala tha
anjaani khataon ne
kaha tha jyotishi ne teri kismat mein hai ghum hi
ghum
badal daala unko magar meri maa ki nighaon ne
talwaar se darr hai na
muje khaar se koi
hardum mujhe bacha raha majhdaar hai koi
jab jab bhi
maine MAA ko pukaara to aisa laga
sehla raha hai sir ko mere pyaar se
koi
jhuka hai zindagi bhar pyaar maashuka ke kadmon mein
tu paise ki hawas
mein jhuka raha nadaan ke kadmon mein
jahan ki saari doulat aur khushiyaan
paayega jannat
kabhi to dekh jhukkar yaar apne maa ke kadmon mein
Beta
By : Gagan..(Views : 635)
kis se kya shikayat karein,
jeevan hi kuchh adhura hai,
kehte ek-karte
ek sabhi,
kaise kahe jeevan pura hai,
behan jawan ghar mein
baithi,
bhai prem vivah rachata hai,
kya biti hogi mann par,
kya kabhi
tu sochta hai,
gareeb maa-baap ghar par baithe,
soche beta humhara
samajhdaar hai,
kya hoga unke vishwaas ka,
jab unko tune tukhraya
hai,
aas ki naiyya dol rahi,
vishwaas ka khoon ho raha,
beta to sukh se
rah saka par,
aansoon maa-baap ko pila raha.
Tere Kandhe Par Sir Rakh Kar
By : Gagan.. (Views :
803)
Tere kandhe par sir rakh kar
do ghadi sone ko dil chahta hai ke
Tere
sang ji bhar ke
do ghadi batein karne ko ji chahta hai
Har ek chhoti
khwahish ke liye
U humko na tarsaya karo
ke meri jan se milne ke
liye
U humko na tarsaya karo
Pyar ke badle hum
thodasa pyar hi to
mangte hain
ke zindagi jine ke liye hum sirf
aapka sath hi to mangate
hain
Pal do pal ka sath bhi
kafi hai akele jine ke liye
ke do ghadi
jo saath bitate hai
wo kafi hai tere aane tak
aakele zindagi jine ke
liye.
Aaj Kiya Phir Se Zikr Kisi Ne Tumhara
By : Gagan..
(Views : 581)
Aaj kiya phir se zikr kisi ne tumhara
Halke-halke se phir tum Yaad Aane
lagi
Main phir se purani baaton ke samander mein doobne laga
Dil mein ek baar
phir tum utarne lagi
Palkoon ke darwaaze ko Band kiya maine jab
Aur ansoo ban ke tum aankhoon
se behne lagi
Bebasi itni ke phir se mere haath uth gaye
Dubara khuda se tumko mangne
ke liye
Zikr tumhara sun kar ek baar phir se
Mere jazbaat tumhari tamanna karne
lage
Bana ke tasveer teri mere zehan mein
mere toote armaan rone lage
Paa ke tumhein khwaabon mein hum
Jaag ke phir tumhein khone lage
Waada chahta hoon takdeer se ye
Ya to tujhe mera bana de ya
Mujhe tu
phir na yaad aaye
Bura Lagta Jab
By : Gagan.. (Views : 872)
Mujhse Koi Pyar Nahi Karta
Meri Baton Par Koi Vishwas Nahi Karta,
Bura
Lagta Hai Tab,
Jab Mera Dil Is Baat Ko Sweekar Nahi Karta
Rakhte Hai
By : Gagan.. (Views : 700)
Na to yaadon ko yaad rakhte hai,
Na hee sapno ko saath rakhte hai,
Hum
to bas unko yaad rakhte hai,
Joh hame dil ke paas rakhte hain.
Kareeb
By : Gagan.. (Views : 611)
Kuch gehre rishtey bhi ajeeb hote hain,
Sab apne apne naseeb hote hai.
Rehte hai jo nigahon se dur,
Wahi dil ke kareeb hote hain
SHAQUE NA KARNA
By : Gagan.. (Views : 630)
SHAQUE NA KARNA MUJHPAR MERE DOST KABHI,
VISHVAAS KE DAYRE MEIN RISHTE
AABAD HUA KARTE HAIN.
RISHTE HOTE HAIN NAZUK SABHI,
SHAQUE SE TO SAB
RISHTE BARBAAD HUA KARTE HAIN.
(HUM AAJ BHI TUMSE UTNA HI MUHABBAT KARTE HAIN JITNA KAL KARTE THE AUR KAL BHI KARTE RAHENGE.)