Motivational
Shayari
PAGE=4
Hoke Maayus Yoon Na
By : Gagan (Views : 1941)
Hoke maayus yoon na shaam se dhalte rahie,
Zindagi bhor hai suraj se
nikalte rahie.
Gam Ke Andhere Mein
By : Gagan (Views : 1712)
Gam ke andhere mein dil ko na bekrar kar,
Subah jarur hogi subah ka
intezaar kar.
Zindagi Mein
By : Gagan (Views : 3914)
Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata
hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool
muskurata hai.
Sukh Dukh Mann Ka Afasana Hai!
By : Gagan (Views :
1750)
Waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai,
Kaisa bhi ho bandhan ek
din to toot jana hai,
Koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door,
Sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai.
US PAAR !
By : Gagan (Views : 1724)
KITNI AASAN THI ZINDAGI TERI RAHEIN,
MUSHKILEIN HUM KHUD HI KHARIDETEY
HAIN,
AUR KUCHH MIL JAYE TO ACHHA HOTA,
BAHUT PA LENE PE BHI YEHI SOCHTEY
HAIN.
Katl Karna Hai To NAYAN Se Kar !
By : Gagan (Views :
1247)
Katl karna hai to NAYAN se kar,
Katl karna hai to NAYAN se kar,
TALWAR
mein kya rakha hai,
Ki na ho takleef,
Ki na ho takleef,
Mujhe sar
jhukane ki,
Aur tumhein TALWAR Uthaaney ki.
Ruth Gaya Hai Mujhko Manane Waala
By : Gagan(Topper In
Wc (Views : 1293)
Ruth gaya hai mujhko manane waala,
Ab koi nahi naaz mere uthaane
wala,
Par jaane kya sochta hai,
Yeh khula darwaaza,
Shayad rasta bhool
gaya, aaane waaala.
Mere Honton Ke Mehaktay Hue Naghmon Par Na Ja.
By :
Gagan(Topper In Wc (Views : 1098)
Mere Honton ke mehaktay hue naghmon par na ja,
Mere seenay main kai aur
bhi gam paltey hain,
Mere chehray par dikGagany ka tabassum hai
magar,
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain.
Kagaz Ke Phoolon Se..........
By : Gagan(Topper In Wc
(Views : 1496)
Sachhai Chup Nahi Sakti,
Banawati Usulon Se,
Khushboo Aa Nahi Sakti,
Kagaz Ke Phoolon Se.
Muskura Do...
By : Gagan (Views : 3827)
Yoon to paththar na maro pani me,
Ke isse bhi koi pita hoga.
Yoon to paththar na maro pani me,
Ke isse bhi koi pita hoga.
Zindagi mili hai jeene ke liye,usse haske jeeo,
Ke aapko dekh kar bhi koi
MUSKURATA hoga.....
Hum Bhi Kabhi Insaan Thay...
By : Gagan (Views :
1261)
Nikle thay ghar se ek baar,
Dil me kuch armaan thay.
Ek taraf thi waadiyaan,
Aur ek taraf shamsaan thi.
Pairon ke nich aa gayee asthi,
Usme bhi kuch bayaan thay.
Keh rahe thay mano,
E musafir sambhal kar chal,
Hum bhi kabhi insaan
thay.
Kuch Ker Kay Dikha Diya.....
By : Gagan(Topper In Wc
(Views : 1429)
Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay
muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay,
Roz mar
mitney walay naam bohut hain.
Intezaar
By : Gagan (Views : 3924)
Gum ke andhero me khud ko yuh na bekarar kar...
Gum ke andhero me khud ko
yuh na bekarar kar....
Subhah zarur aayegi
Subhah ka intezaar kar !
Shaheed.
By : Gagan (Views : 1105)
Aao jhuk kar salam kare unhe,
Jinki zindagi me ye mukaam aaya hai.
Kis kadar khushnasib hai wo log,
Jinka lahoo desh ke kaam aaya hai.
Hum Main Bhi Hunar Hai
By : Gagan (Views : 1477)
Sar Jhukaogay to pathar bhi dewtaa ho jayega,
Itna na chaho ussay, woh
bewafa ho jayega.
Hum bhi dariya hain, humein apna hunar maloom hai,
Jis
taraf chal padey raasta ho jayega.
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai
By : Gagan
(Views : 1428)
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal
Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare
Khud-b-Khud badal jate hai.
Ban Sahara Be-saharo Ke Liye
By : Gagan (Views :
1332)
Ban sahara be-saharo ke liye,
Ban kinara be-kinaro ke liye,
Jo jeeye
apne liye to kya jeeye,
Jee sakke to jee hazaro ke liye.
Main Kaun Hu Kya Chahta Hu Me
By : Gagan (Views :
1368)
Main Kaun Hu Kya Chahta Hu Me,
Us Bewafa Ko Dua Dena Chahta Hu Me,
Yeh
Kya Kar Raha Hu Me Nahi Ye Janta,
Ek Baar Aur US Bewafa Se Dil Lagana Chahta
Hu Mein !!
Kaash Bhulane Se Koi Bhul Jaye......
By : Gagan (Views :
1290)
Kaash Bhulane Se Koi Bhul Jaye,
Kaash Ye Maut Bin Maange Mil
Jaye,
Kaash Pyar Me Dhoka Na Milta Mujhe,
Kaash Ye Zindagi Yahi Khatam Ho
Jaye
Bichhad Ke Log Zyaada Jiya Nahi Karte...
By : Gagan
(Views : 1253)
Yunhi to shaakh se patte gira nahi karte,
Bichhad ke log zyaada jiya nahi
karte,
Jo aane waale mousam hain inhein shumaar mein rakh,
Jo din guzar
gaye unko gina nahi karte..
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho...
By : Gagan (Views :
1819)
Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gam na
karo,
Ik sitara bano jagmagatey raho,
Zindagi mein sada muskurate
raho.
Baantni hai agar bant lo har khushi,
Gam na zahir karo tum kisi par
kabhi,
Dil ki gehrai mein gam chhupate raho,
Zindagi mein sada muskurate
raho.
Ashk anmol hain kho na dena kahin,
In ki har boond hai motiyon se
haseen,
Inko har aankh se tum churate raho,
Zindagi mein sada muskurate
raho.
Faasley kam karo dil milate raho
Zindagi mein sada muskurate raho
Har Baat Bataane Ka Ek Andaaz Hota Hai
By : Gagan (Views
: 1485)
Har dhadkan mein ek raaz hota hai,
Har baat bataane ka ek andaaz hota
hai,
Jab tak thokar na lage bewafaai ki,
Har kisiko apne pyar pe naaz hota
hai!
Dil Ki Baat Humse Na Chhupaaya Karo..
By : Gagan (Views
: 1306)
Tere Waade Pe Hum Ne Bharosa Kiya...,
Kuchh To Ulfat Ka Tum Bhi Haq
Nibhaaya Karo...,
Hum Bhi Hamraaz Hain Tum Bhi Hamraaz Ho...,
Dil Ki Baat
Humse Na Chhupaaya Karo..!!!
Jaise Tu Mera Jaan Mangh Raha Hai...
By : Gagan (Views :
998)
Tu nada hai jo mere mehboob se meri pehchan mangh raha hai..
Lagta hai
jaise chandni se koi ,chand ka pata mangh raha hai..
Woh to mere saaye ke
panah me jiti hai...,
Usse mujhe durr na kar,lagega jaise tu meri jaan mangh
raha hai...
Ek Pal Ki Zindagi Hai....
By : Gagan (Views : 1727)
Ek Pal Ki Zindagi Hai,
Ek Pal Ki Ye Khushi Hai,
Chahat ka Ye Safar
Aur,
Yaadon Ki Ek Nadi Hai