XtGem Forum catalog


Motivational Shayari

PAGE=3

Apni Zameen
By : Gagan (Views : 957)

Apni zameen, apna naya aasman paida kar,
Mangane se zindagi kab milti hai E dost,
Khud hi apna naya itihaas paida kar.

 

KISI SE TU DARNA NAHIN
By : Gagan (Views : 1731)

DAAWAA TU KISI SE KARNA NAHIN KABHI,
BAKHUDA KISI SE TU DARNA NAHIN KABHI,
JINE KE BAAD PAYEGA PAIGAM-E-MAUT KO TU,
JITE JI IS JAHAN MEIN MARNA NAHIN KABHI,
TERI ZAMEEN JAHAN SE TUJHKO HI NA DIKHE,
UNCHAYI PAR AISE TU CHADHNA NAHIN KABHI,
JIS BHI MUKAAM PE AB AA GAYE HO TUM,
BHOOL KAR BHI AB PICHHE MUDNA NAHIN KABHI,

MUKAAM SE UTARNA BHI THIK HAI,
TU NAZAR SE KISI KE UTARNA NAHIN KABHI.

 

Ilhaam........
By : Gagan (Views : 1106)

Aa jaao ki tod daalen yeh mazhub tamaam,
Ji uthen phir se Nanak,Muhammad,Isa,Ram,
Ho ayaan phir se paigham-e-muhabbat,
Jalwa-e-pinha ka phir ho ilhaam.

Jalwa-e-pinha = Nihitdarshya,that which is concealed.

Ilhaam = Gyan,divine truth.

 

Himmat Karne Vaalon Ki Haar Nahi Hoti
By : Gagan(Views : 2437)

Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,
Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,
Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,
Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,
Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!

Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai,
Ja-ja kar khaali haath laut aata hai,
Milte na sehej se moti paani mein,
Behta duguna utsah isi hairani mein,
Mutthi uski khaali har baar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti!

A-safalta ek chunauti hai swikaar karo,
Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo,
Kuch kiye bina hi jai-jai kaar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki kabhi haar nahi hoti!!

 

Hum Kyun Gam Karein
By : Gagan(Views : 1501)

Hum kyun gam karein,
Agar woh hume na mile,
Arre! Gam to woh kare jise hum na mile.

BE PAR HI PARWAAZ
By : Gagan (Views : 1011)

BE PAR HI PARWAAZ KARO TO JAANE HUM,
HUMKO NAZARANDAAZ KARO TO JAANE HUM,
HUSN-E-GULSHAN PAR EHSAAN HAMARA HAI,
APNE KIYE PAR EHSAAN KARO TO JAANE HUM.

 

Taqdeer Ka Suraj
By : Gagan (Views : 1263)

Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.

 

Mayoos Mat Hona Yeh Aik Gunaah Hota Hai
By : Gagan (Views : 1227)

Mayoos mat hona yeh aik gunaah hota hai,
Milta wahi hai jo kismat mein likha hota hai.

Har cheez miley humain yeh zaroori to nahi,
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai.

Jo khud ko kostey hain wo shayad bekhabar hain,
Kuch paa lene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai.

Har aik ko barsar-e-ilzam kyun thehrayein hum,
Apne saamne bhi to aik aayena hota hai.

Hum apni zindagi se kyun haar jaayein,
Gar doobta hai sooraj to kal bhi ujala hota hai.

 

Guzaarish
By : Gagan (Views : 1486)

Dil tutne ko zindagi ka sabab mat banao yaaro,
Abhi bhi wakt hai tum kuchh sambhal jao yaaro.

Suna hai kar chuka vigyaan kai kartab naye,
Guzarish hai yeh dil hi badal dalo yaaro.

Ari O shaukh kaliyon yaad rakhna tum sada yeh,
Kahin phir se naye dil ko na kuchal dalo yaaro.

Chaman hai paas tere to tujh ko phir milenge gul,
Samajh kar bewafa tum har kali to mat masal dalo yaaro.

Tu dar chhod maikhane ka mere paas aa kar rah,
Kabhi jo yaad vo aaye to meri yeh ghazal gao yaaro.

Har tute hui dil ki dawa mein hoti hai HUMRAAH,
Zamane ke purane is kathan ko badal dalo yaaro.

 

HEERE KI SHAFAK
By : Gagan (Views : 1341)

HEERE KI SHAFAK HAI TO ANDHERE MEIN CHAMAK,
DHOOP MEIN AAKE TO SHISHE BHI CHAMAK JATE HAIN.

CHALTE RAHIYE
By : Gagan (Views : 1684)

HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.

 

YEH WADA RAHA
By : Gagan (Views : 1547)

JO MAINE KEH DIYA HAI WO TUJHE KAR KE DIKHAYENGE,
BEWAFAI NA KARNA WAFA KARNA TUJHE HUM SIKHAYENGE,
NAHIN HAI TUJHE JEET SAKA ISS JAHAN MEIN KOI,
YEH WADA RAHA TUJHE HUM HI HARAYENGE.

 

GAM SE KABHI DARNA NAHIN
By : Gagan (Views : 1261)

DUNIYA MEIN AAYE HO TO GAM SE KABHI DARNA NAHIN,
JO DAR GAYA UNME JINE KA DUM NAHIN,
ZINDAGI KI REL MEIN MILTE RAHENGE HUMSAFAR,
KAL KOI AUR HOGA AAJ BHALE HI HUM SAHI.

 

Guzri Hui Zindagi
By : Gagan (Views : 1322)

Guzri Hui Zindagi Ko Kabhi Yaad Na Kar,
Taqdir Mein Jo Likha Hai Uss Ki Fariyad Na Kar,
Jo Hoga Wo Ho Kar Rahega,
Tu Fikr Mein Apni Hasi Barbad Na Kar.

 

Sapna To Bas Sapna...
By : Gagan(Views : 1557)

Sapna to bas sapna hai,
Sapno mein kya jeena,
Subha ki pheli kiran say seekho,
Is jeevan ko jeena.

Udasi
By : Gagan (Views : 1786)

Udasiyon se apni nikal kar to dekho,
Zinda ho to,zinda reh kar to dekho.
Apne liye bahut jee liye, aye aazad panchhi,
Thodi der pinjre mein reh kar to dekho.

 

Dhundhte Phirte Ho Kise
By : Gagan (Views : 1549)

Dhundhte phirte ho kise,iss virane mein,

Ghar ko chod,shehar anjaane mein,

Chalo main tumhe tum se milata hoon,

Tumhe tumhare ghar ka pata batata hoon.

 

Aasman Ka Aasra
By : Gagan (Views : 1315)

Aasman ka aasra chod,Ulat kar dekh mann apna !

Apne hi mann mein khud ko dekh, chodo mann ki Kalpana !!

 

Kitnon Ki Takdeer Badlni Hai Tumhe
By : Gagan (Views : 1433)

Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
Kitnon ko raste pe lana hai tumhe,
Apne haath ki lakiron ko mat dekho,
In lakiron se aage jana hai tumhe.

 

Wah Kya Ghazal
By : Gagan (Views : 3127)

Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzon pe,
Logon ne kaha wah kya ghazal likh di.

Jo Beet Gayi
By : Gagan(Views : 3830)

Jo beet gayi so beet gayi,
Jo beet gayi so beet gayi,
Jo chal rahi hai wo batate hain,
Ab to jahan bhi chale jate hain
Wahan jaa kar chaa jate hain.

 

Jarro Se Sikhna
By : Gagan (Views : 1713)

Yoon hi kamjor ho kar toot na jana,
Sharm karna agar yu hi bikhar jana,
Yeh tum jara un jarro se sikhna,
Simat kar kis tarah registaan ho jana.

Word meaning:
Jarro: small particals, or Katre(In hindi)
Registaan: Desert (In English).

 

Kabhi Zameen Mat Chodna
By : Gagan (Views : 4230)

Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.

 

Mere Marne Ke Baad
By : Gagan (Views : 1536)

Mere marne ke baad mere liye tum ashq na bahana,
Main har waqt sab ko hasata rehta tha,
Mujhe accha nahi lagta kisi ko rulana,
Agar kabhi meri yaad aa jaaye to,
Aa kar meri mazar par do phool chadana,
Meri bas itni hi dua hai rab se,
Ke aanewaale kal ko na sataye guzra zamana.

 

Bujhi Shamaa Bhi Jal Sakti Hai
By : Gagan (Views : 1793)

Bhujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toophaan se kashti bhi nikal sakti hai,
Hoke maayus yoon na apne iraade badal,
Teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter