Motivational
Shayari
PAGE=2
Nigaho Mein Manzil
By : Gagan (Views : 1526)
Nigaho mein manzil thi
gire aur gir kar sambhalte rahe
hawao ne bahut
koshish ki
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe
Sambhal Jate Hai Log
By : Gagan (Views : 951)
har kadam par nit-naye saanchein mein dhal jate hai log
dekhte hi dekhte
badal jate hai log
kis liye kijiye kisi ghum-ghasta jannat ki talaash
jab
ke mitti ke khilone se bahal jate hai log
kitni sada dil hai ab bhi sunke
awaaz-e-jaras
pesh-o-paas se bekhabar se nikal jate hai log
unki dosti ka
ab bhi dam bharte hai aap
thokrein khakar tou suna hai sambhal jate hai
log
Khwaab Zinda Rakh
By : Gagan (Views : 986)
agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon
mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le
jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.
Aapki Muskaan Kabhi
By : Gagan (Views : 882)
Aapki Muskaan Kabhi Hontho Se Na Chhute
Duniya Me Aapse Koi Kabhi Na
Ruthe
Meherban Ho Khuda Itna Aap Par
Ke Aasman Ke Taare Bhi Aapki Marzi Se
Tute
Phool Bankar Muskurana
By : Gagan (Views : 591)
Phool Bankar Muskurana Zindagi Hai
Muskurake Gum Bhulana Zindagi
Hai
Zindagi Aise Matt Jiyo Ke Koi Fariyaad Kar Jaaye
Zindagi Aise Jiyo Ke
Koi Phir Yaad Kar Jaaye
Tujhe Mile Tu Jo Chahe
By : Gagan(Views : 594)
Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
Har Lamha Teri Taqdir
Sawarti nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Dua Khud Tere Hathon Ko
Tarasti Nazar Aye
Seekh
By : Gagan... (Views : 679)
saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to
jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se
Udaan-hausla
By : Gagan (Views : 645)
Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh
nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai
Kuch Batain
By : Gagan (Views : 657)
kuchh batein thi uski aisi
kuchh main bhi thi behki behki
kya janu kya
ishaara ho gaya
ke kuchh palon mein hi dil tumhara ho gaya
Salam Kar
By : Gagan... (Views : 999)
jugnu se andheron ka na yu ahatraam kar
suraj ko bulane ka koi intezaam
kar
thakne laga hain zindagi ki rahghuzar pe tu
kuch der to us ped ke niche
mukaam kar
aayega kinaara bhi kya tufaan se aage
baithe hain sabhi log yahan dil ko
thaam kar
kuchh kar ki jag uthe tera soya hua zameer
awaargi ka bazm mein na
subhe-shaam kar
ugte hue suraj ke kadam choomte hain sab
tu dubte suraj ko kabhi to salam
kar
bach kya gaya hai likh raha hai tu jo vasihat
shero-ghazal ye apne
bachchon ke naam kar
Na Badlo
By : Gagan... (Views : 882)
badla na apne aapko jo tha wahi rahe
milta rahe sabhi se magar darkat
ajnabi rahe
duniya na jeet pao to haaro na khud ko tum
ik safar naya hoga
yeh jaankar khush rahe
apni tarah sabi ko kisi ki talaash hai
fhir bhi hum
jiske bhi kareeb hain dhur hi rahe
gujro jo baag se to dua maangte
chalo
jisme khile hain fool vo daali hari rahe
Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein
By : Gagan
(Views : 1394)
zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron
tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo
zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi
aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.
Raah
By : Gagan... (Views : 1086)
raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil
us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi
chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula
kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton
pe hi chalkar manzil ko paate hain.
Tufaan
By : Gagan... (Views : 1003)
tufaan ki kami nahi jeevan mein
ladte hue safar karna hoga
jo milenge
zakhm safar-e-rahon mein
unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga
laakh zakhm
khaane par bhi
har zakhm naya hoga
tajurba kitna hi kyu na ho
har safar
naya hoga
Maahol
By : Gagan... (Views : 674)
maahol na udaas ho ye dhyaan mein rakho
murjhaye hue fool na guldaan mein
rakho
ghar aapke aaye jo koi bhul jaye ghum
fool ka ek poudha dhalaan mein
rakho
khushamdeed kehne se kuchh bhi nahi hoga
khuli muhabbat zara muskaan
mein rakho
tum apne rakeebon ko bhul jao to accha
kuch apne rafheekon ko
pehchaan mein rakho
kho jaaye na chehra kahi duniya ki bheed mein
chehre
ki aaiyne...mein ek pehchaan si rakho
apni hi zindagi ke armaan na
nikalo
auron ki bhalayi bhi zara dhyaan mein rakho
Har Kadam Par....
By : Gagan... (Views : 1410)
zindagi se na koi bhi shikayat rakho...
duniya se na koi bhi adawat
rakho...
guzaarne ke liye hai sukoon se ye zindagi...
chhupakar aulaad se
tum apni vasiyat rakho....
tehzeeb na khatm hopaye apni...
zamane mein
zinda apni siyasat rakho...
in khazano ko har roz lutate ho tum...
garibon
ke liye baaki riyayat rakho...
achhe logo ki kadr na rahi ye
mana...
saleeke mein phir bhi insaaniyat rakho...
zindagi de deti hai
bahut kuch "Gagan"...
har kadam pe saaf apni niyat rakho....
Hunar Bolte Hai......
By : Gagan (Views : 1120)
parindon ko manzil milengi yakeenan
yeh faile hue unke par bolte hai
wohi log rehte hai khaamosh aksar
zamaane mein jinke hunar bolte
hai......
TU KAI DILON KA
By : Gagan (Views : 1034)
Tere Liye Jo Rab Ne Sajaya Hai
Gulsitaan Nahi Sari Bahaar Hai
Tujhe Ek
Gul Ki Talaash Hai Aur
Gulshan Ko Tera Intezaar Hai
Na Ho Tu Udaas Yaqeen
Rakh
Zara Apne Sapne Sanwaar Le
Na Tu Dil Ko Apne BeQaraar Kar
Tu Kai
Diloon Ka Qaraar Hai.
Manzil....
By : Gagan... (Views : 1721)
koshishon ke bawajood....
ho jaati hai kabhi haar...
hoke niraash mat
baithna...
mann ko apne maar...
badte rahna aage sada...
ho jaisa bhi
mousam...
paa leti manzil chinti bhi...
gir gir ke har baar...
Ahmiyat Aapki Kitni Hai..
By : Gagan(Views : 1901)
Na kabhi yeh chupaya ki pyaar kitna hai..
Na kabhi yeh jataya ki Dard
kitna hai..
Bas hamare uss Ek khuda ko malum hai..
Hamari zindagi me
ahmiyat aapki kitni hai..
Jag Ko Jaagao Jhoom Ke..
By : Gagan(Views : 1649)
Composed especially for VoiceFM...
Juhiji aur Jijuji Jiyo aur Jeete raho Jindaagi Jindaadilli se..
Jag ko
Jaagao Jhoomke Jhoom Jhoom Jeevit Jhankaaro se..
Jabtak Jag Jaag na Jaye
sare..
Jadoo bhari baato se Jeeto Joshile Jeevan sare..
Jinki khushiya hai
Jagmaagati Jugnu ki roshni mein..
Jyot Jalao Jaan bhardo Jalwe bhare
Jhaankaro se..
Joh Jodd ti hai dillo ki duriya de kay Jadoo ki
Japiya..
Jam ke Jamao Jadoo itna ki VoiceFM104.2 ko Jaan Jaye Jagme
sare..
MITTI HAI TO
By : Gagan (Views : 1691)
Mitti hai pal bhar mein bikhar jayeange hum log,
Khushbu hai to har dor ko
mahaka jayeange hum log,
Hum roohe safar hain hame naamo se na pahchano,
Kal kisi aur naamo se aa jayeange hum log.
Hosley Buland Kar
By : Gagan (Views : 1660)
Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil
jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos ho kar na
umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu
ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund
se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.
Honsle 1
By : Gagan (Views : 1298)
Chaand se hassen hai chandni,
Chandni se hassen hai raat,
Raat se
hassen hai zindagi,
Aur woh zindagi hain aap.
Honsle
By : Gagan (Views : 1347)
jinke honslo mein udaan hoti hai wo aasmaan ki uchayion se nahi darte