Motivational
Shayari
PAGE=1
Pyar Ki Kashti
By : Gagan (Views : 517)
Pyar ki kashti mein sawar do guldaste
Saath khelte hai saath
haste
Khuda chahe bhi to inhe alag nahi kar sakta
Kyuki manzil payenge
zaroor ye ek din
Chahe ho hazar raste
Jeene Ka Sach
By : Gagan (Views : 914)
thokar khakar gungunana zindagi hai
gum paakar muskurana zindagi
hai
sukh ke saath jiye to kya jiye
gum bhulakar jashn manana zindagi
hai
ISHQ KARNE WALE
By : Gagan (Views : 655)
ISHQ KARNE WALE KO DEEWANA KEH DIYA
SHAMA PAR JALNE WALE KO PARWANA KEH
DIYA
MOHABBBAT KO PATTHAR KE NEECHE DAFNAYA AUR
USE TAJ MAHAL KEH
DIYA
Mauka Hai To
By : Gagan (Views : 662)
Mauka hai to machal jayiye
mauka hai to machal jayiye
thoda sambhaliye
thoda fisal jayiye
moti gali na mile to patli gali se nikal jayiye
mere
sher aapke roobaroo thoda to behal jayiye
ek halki si hasi mein pighal
jayiye
Mombatti
By : Gagan (Views : 692)
Mombatti bhi admi ki tarah hoti hai
Mombatti bhi admi ki tarah hoti
hai
wah bhi apna chmakta hua chehra dikha kar kinare se roti hai!
dekho is
mombatti ko aur maan lo mera kehna
kabhi bhi is dukh ke andar maat
rehna
nahi to sab jal jayega
sab gal jayega
bina teri anumati ke
Sab
badal jayega
IBADAT
By : Gagan (Views : 617)
YE DAULAT KISI KI AMANAT NAHI HOTI
YE CHAHAT DILON KI MUHABBAT NAHI
HOTI
YE HAQEEQAT KHUDKO TANHAI ME RAKH KE SOCHO
SIRF SIR JHUKA DENE SE
"IBADAT" NAHI HOTI
KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
By : Gagan (Views : 1204)
AJEEB SI DASTAN HAI, YAHA HAR KOI ANJAAN HAI
RAJ THAKRE NE LAGA DI AAG PAR
JALA TO INSAN HAI
UTHAYI UNGLI SARDAR PE TO KISI NE BAPU KO KHICHA
UNKA
KYA KAROGE JIS KE GHAR SE GAYI JAAN HAI
KISI NE KAHA JAWAB DEGE GOLI SE GOLI KA
KYA YAHI HUMARE "RASHTRA" KA
SAMMAN HAI
KOI DIYA AAHUTI JIWAN KA AUR BANA MAHAN HAI
LALOO NE KAHA
ISTIFA DO AUR NITISH KA BHI YAHI BAYAN HAI
KOI KAHTA HAI KI KARTE HUM DESH KA NIRMAN HAI
KOI KURSI KE KHATIR BADALTA
APNA BAYAN HAI
KOI KAHTA YE HINDU HAI TO KOI YE MUSALMAN HAI
KYA YAHI DESH
HAI JISEY KAHTE HUM MAHAN HAIN?
KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
JIS PAR GARV HAR KISI KA
AUR HUMARA SAMMAN HAI
KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
Parwaaz Karke Dekh
By : Gagan(Views : 520)
Anjaam Se Kya Darta Hai Aagaaz karke dekh
Bheege huye paron se Parwaaz
karke dekh
KASHISH DIL KI
By : Gagan (Views : 824)
KASHISH DIL KI HAR CHEEZ BHULA DETI HAI
BANDH ANKHO MAIN BHI SAPNAY SAJA
DETI HAI
SAPNO KI DUNIYA ZAROOR RAKHNA AYE DOST
KYUNKI HAQEEQAT TO AKSAR
RULA DETI HAI
Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi
By :
Gagan(Views : 809)
Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi
Naye Aflak Pe Pehra Bitha Kar
Kuch Nahi Milta
Koi ik Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron
Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta
Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke
Khwab Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta
Ye Acha
Hai ke Aapas Ke Bharam Naa Totne Payein
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch
Nahi Milta
Faqat Tumse Hi Karta Hoon Main Sari Raaz Ki Batein
Har Ik Ko
Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta
Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara Sa Khoon
Shamil Kar
Mere Humdam Faqat Batein Banakar Kuch Nahi Milta
Apne Sapno Ko
By : Gagan (Views : 4175)
Apne sapano ko hakikat ki jamee dena
in pathrai aanko ko thodi si nami
dena
dena karm ko dhan se adhik pradhaanta
dushto ko dena dand aur apno ki
mitana agyaanta
Rahguzar
By : Gagan (Views : 2448)
Kaante milte hain phoolon ki tlaash mein
gham milte hain khushiyon ki
talaash mein
intezaar milta hai chahat ki aas mein
Par ye rah-e-guzar to
bas chalta hi jaata hai
Kaarawaan mil nahi jaata apni manzil se
Toofaan Kiye Hue
By : Gagan (Views : 2871)
Muddat huye nazara-e-toofaan kiye huye
Sahil supurd-e-khatra-e-toofaan
kiye huye
Bawar nahin tu dekh ke zinda hai kis tarah
Basti
ghariq-e-moja-e-toofaan kiye huye
Tinke se beh gaye yahan jitne the
zorwar
Khud ko harif-e-ghamzae toofaan kiye huye
Ashk-e-rawaa ke josh se
basti ke deedawar
Baithe hai khud se wada-e-toofaan kiye huye
Jo bach gaye
the dhoop mein jalne ke bawajood
Baithe hai sir pe say-e-toofaan kiye
huye
Arsa guzar gaya mujhe apne shor ko
Mehv-e-sada-e-naghma-e-toofaan
kiye huye
Darkaar
By : Gagan (Views : 2770)
Uthati Lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti
hauslon ke aage koi deewar
nahin hoti
jalte huye ik chiraag ne aandhiyon se kaha
himmat hai to bujha
ke dikha
jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti
Jeevan Ki Jung
By : Gagan (Views : 1691)
Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai
har pehlu zindagi ka imtihan hota
hai
darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein
aur ladne walon ke kadmon
mein jahan hota hai
Zaroori Hai
By : Gagan (Views : 2145)
mohabbat na samajh hoti hai, samjhana zaroori hai
jo dil mein hai use
aankhon se kehalwana zaroori hai
usoolon par jo aanch aaye to takrana zaroori
hai
jo zinda hai to fir zinda nazar aana bhi zaroori hai
mohabbat mein
kashish rakhne ko sharmana zaroori hai
bohot bebaak aankhon mein talluq tik
nahin sakta
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai
saleeqa
hi nahi shayad use mehsoos karne ka
jo kehte hai gar khuda hai to nazar aana
bhi zaroori hai
SAPNE NAHI TOOTA KARTE
By : Gagan.. (Views : 2257)
SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI
TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI
TUTA KARTE
KHWABON KO
By : Gagan.. (Views : 1825)
KHWABON KO HAKIKAT ME BADAL KAR TO DEKH
PINJRE KI SALAAKHON ME HAI UDNE KI
RAH BHI
GULAAMI KO BAGAAWAT ME BADAL KAR TO DEKH
KHUD-B-KHUD HAL HONGI
ZINDGI KI MUSHKILEN
BAS KHAMOSHI KO SAWALON ME BADAL KAR TO DEKH
CHATTAANE
BHI TUTENGI INHI HATHON KE BHAROSE
APNI AARZOO KO IBAADAT ME BADAL KAR TO
DEKH
ANDHERI RAAHON ME CHAMKEGI SURAJ KI ROSHNI
ANGOOTHE KO DASTAKHAT ME
BADAL KAR TO DEKH
HONSLA KAM NAA HOGAA TERAA TUFAAN KE SAMNE
MEHNAT KO
IBAADAT ME BADAL KAR TO DEKH
KADMON KE TALE KHUD HONGI MANJILEN TERI
MERI
BAATON KO NASIHAT ME BADAL KAR TO DEKH
BASS EK BAAR ZINDAGI ME PYAAR KARKE
DEKH
PYAAR KI PAKIZGI KO IBAADAT BANA KE DEKH
Hathon Ki
By : Gagan.. (Views : 1886)
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat
hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana insaan ki
jarurat hoti hai.
Usney Kaha
By : Gagan.. (Views : 874)
Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai
Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai?
Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez
Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar
Hai
Usne Kaha Kaunsa Tohfa Hai Pasand?
Maine Kaha Wo Shamaa Jo Ab Tak
Udhaar Hai
Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge?
Maine Kaha Jitni Ye
Saanson Ki Taar Hai
Usne Kaha Mujhko Yaqeen Aaye Kis Tarah?
Maine Kaha
Mera Naam Hi Aitbaar Hai..!
Aaj Aisa Hua Hai
By : Gagan.. (Views : 663)
Mujhe yaad hai woh din
jab main bhaage bhaage tumhaare paas aati thee
tumhe bataane? ke suno aaj aisa hua ke.
Aur tum hanskar
Mere ehsaasaat se bekhabar
Mujhse kehte
"phir
kabhi bataana abhi zara masroof hoon"
mooh latkaaye chalee jaati thee
par intezaar rehta
tumhe bataane
ka
ke aaj aisa hua ke
bewaqoof thee main
aur itnee? yeh kabhi nahi socha
ke tumhe kya? agar
aaj aisa hua ke?
aur jab
aaj aisa hua ke
main tumhaaree taraf mudee
rokk liya maine apne aap ko
samhbal gaee hoon ab main? shaayad?
par phir bhi gham hai
ke aaj aisa hua ke?
Mere Dil
By : Gagan.. (Views : 684)
Mere dil ka dard kisne dekha hai
mujhe bas khuda ne tadpte dekha
hai
hum tanhai mein baithe rote hain
logon ne hamein mehfil me hanste
dekha hai
Iski Ankhon
By : Gagan.. (Views : 508)
Iski ankhon mein mohabbat ka sitara hoga
Ek din aaye ga woh shakhs hamara
hoga
Tum jahan mere liye sippian chunte hoge
Wo kisi or hi duniya ka
kinara hoga
Na Hota Main
By : Gagan.. (Views : 731)
na tha kuchh to khuda tha
na hota kuchh to khuda hota
aur sochta hoon
kabhi-kabhi
naa hota main to kya hota
Zulf
By : Gagan.. (Views : 523)
Phir na sanvaregi aye gar bikhar jaayegi
Zindagi Zulf nahin hai jo sanvar
jaayegi