XtGem Forum catalog


Hate Shayari

PAGE=9

Khaa Kar Zakhm Dua Dii Hum Ne
By : Gagan (Views : 337)

Khaa Kar Zakhm Dua Dii Hum Ne
Bas Yunhi Umr Bita Dii Hum Ne

Raat Kuch Aise Dil Dukhati Thi
Jaise Aas Bhuja Dii Humne

Sanaate Ke Shehar Mein Tujhko
Beawaaz Sada Dii Hum Ne

Dekh Ke Jis Ko Dil Dukhta Tha
Woh Tasweer Jalaa Dii Humne

Aye "Shehzad" Tujhe Samjhaein
Kyun Umr Gawa Dii Humne |

 

Dard Ki Kahani
By : Gagan (Views : 341)

mohabbat na teri hamei raas aayi
wafa hum ne kee tune kee bewafai

koi kehde yeh mohabbat ke khareed daaron se
pyar woh shai hai jo milti nahi baazaaron se
hum to pehle hi mohabbat mei jale baite hain
kyoon daraate ho dahekte huye aangaaron se

ab to apne tabiyat bhi juda lagti hai
saans leta hoon to zakhmo ko hawa lagti hai
kabhi raazi to kabhi hum se khafa lagti hai
zindagi tu hi bata tu meri kya lagti hai

woh kehke chale itni si musalqaat bahot hai
maine kaha ruk jaao abhi raat bahot hai
aansoo mere tham jaaye to phir shouk se jaana
aise mei kahan jaaoge barsaat bahot hai |

 

Gum
By : Gagan (Views : 414)

Zindagi mein jise chaha woh
Mil nah saki hamein,
Khair koi baat nahi
zindagi rahi to aur sahi
Akhir kaar hum kisi ke gulaam to nahi
azaad panchi hain
phir naya ashiyaan banayenge
phir khusiyon ke aasoon bahayenge
ud chalenge un phizaaon mein
jahan dur dur tak
koin nah ho hamein pukarne wala
Zindagi ke har gam ko chod jayenge
khusiyon ke neer bahayenge |

 

Ek Jaam
By : Gagan (Views : 325)

ek jaam dost k naam
ek jaam pyar k naam
ek jaam wafa k naam
aur puri botal bewafa k naam

gham mila tow rona saki
khushi mili tow hans na saki
yai kesa raaz hai zindagi ka
jise chaha usse apna bana na saki |

 

Isseliye Toh
By : Gagan (Views : 325)

Isseliye toh nagar-nagar badnaam ho gaye mere aansoo,
mai unka ho gaya ki jinka koi pahredaar nahi tha.

Jinka dukh likhne ki khaatir
mili naa ithaason ko syaahi(ink)
kaanoono ko naa-khush karke
maine unko bhari gawaahi
jale umra bhar phir bhi jinki
arthi uthhi andhere hi mein
khushiyon ki naukari chhod kar
mai unka ban gaya siphahi

pad-lobhi(status greedy) aalochak(criticizer) kaise,
karta dard puraskrat(reward) mera,
maine jo kuchh gaaya usme karuna(compassion) thi
shringaar nahi tha
isseliye toh

maine chaha nahi ki koi,
aa kar mera dard bataye,
bas yeh khwahish rahi ki meri
umra jamaane ko lag jaaye.
cham-cham choli-choonar par toh
likhne waale lakhon hi the,
meri magar dhithayee(rigidity) maine
fati kameezon ke gun gaaye.

iska hi yeh fal hai shaayad
kal jab mai nikla duniya mein
til bhar thaur(space) mujhe dene ko
marghat tak taiyaar nahi tha.

isseliye toh

Machalti Tamannyen
By : Gagan (Views : 287)

aaj phir tamannayen machal gayeen
tere khayalon mein aise dooba raha
jane shaam kab kali raat mein dhal gayi
aaj phir hum mehkhane mein peene gaye
aur kayee gamtalbon ke saath phir jeene gaye
dil ne jo zakhm khaye hain
unhen gham ke dhagon se see aaya
jab bhi koi paimana uthaya
usmein tera hi chehra nazar aaya
is liye aaj phir main botal se pee aaya |

 

Tum Bhool Gayey
By : Gagan (Views : 381)

Woh khel jo tum ney khela tha
Kya yaad nahin,kya bhool gayey

Uss khel mein ek khilona tha
Kya yaad nahin, kya bhool gayey

Hum log ussay dil kehtay hein
Jab khel liya to tod diya

Aur tod k tanha chore diya
k muddat sey yeh tanha hai

Yeh bhatak gaya andheroun mein
Aur tum khush hoo ujaloun mein

Yeh pagal tah bechara
Abb hansta hai aur kehta hai

Haan yaad nahin
Tum bhool gayey
Tum bhool gayey
Tum bhool gayey |

 

To Mera Naam Bhi Ashiq Nahin
By : Gagan (Views : 324)

Baar baar mohobbat karney ka Ehsaan jataate hai
Gunahon ka merey lambaa Pharmaan nikaalte hai
Merey rehamaton ka chiththa mai bhi na khol doo
To mera naam bhi ashiq nahin? ashiq nahin

Mere aankhon ke katrey mohobbat ki nishani hai
Jo who samjhe to moti na samjhe to pani hai
Yeh dard-o-gam ka mausam hi badal na daloo
To mera naam bhi ashiq nahin? ashiq nahin

Baraabar ki aag dono taraf to lagi hi hai
Baat to ab sirf maanane-manaane ki hai
Gulshan gulshan Phul na khilaa doo
To mera naam bhi ashiq nahin?.ashiq nahin

Hamare jaise kitne aazim duniya me miltey hai
Jinke zakhmon ki dhar khanjaron se behtar hai
Majnuon ka parcham sabse ooncha na uthaaoo
To mera naam bhi ashiq nahin? ashiq nahin |

 

Kuch Sheyar Jo Meri Kalam Ne Likhe
By : Gagan (Views : 392)

Agar tum Insaan ki jagah pathar hote
Tumhen Pathar Samajh Tarash to lete

Tumhen Bhulana Hum Chahte Hain
Teri Yaadon ko dil se Nikalna Hum Chahte Hain
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte
Mohabbat Cheez hi aisee hai

Woh Aaye Kareeb Mere to
Mere Hosh Udd Gaye
Baat to thi dil main bahut par honth sil gaye

Hamari jindgi tab tak chale
jab tak
mere sheyar dava ka asar karte rahen

Aai Khuda Mujhe tum yeh batado ke meri khata kya hai
jiske liye woh mujhe de rahen hai saza woh waja kya hai

Yeh aasoon yun bahakar barbad na kar
mere marne ke baad tumhen inki jarrorat hogi |

 

Kya Se Kya Hua
By : Gagan (Views : 368)

Chal to padey the ham rahey vafaa par, shoukey mohobbat mey,
Shuru huey koocha-e-katil se, pahunchey gardishey sagar tak.

Bahut garoor tha apney ishq key toofan pasandiyon par,
Agaas hua seherey mohobbat se, iktedaam shamey zindagi par.

Dagmagaye to pav hamaarey beshaq dono bhi sadaaon mey,
Peheley unkey deeda-e-tar se, ab shiddatey gam mey.

Nikley to the ham dil khareedney walon ki talaash mey,
Waapis paaya khud ko bikey huey sastey mey.

Iraada tha deney ka jawaab unkey har nakshey kadam par,
Magar zindagi hi khadi ho gayee khud sawaal bankar.

Chalo! Acchchaa hai who baddua detey hai hamey,
Is bahaaney yaad to farmaatey hai hamey.

Kya mushkil hai sahar-o-shaam guzaarnaa unki yaad mey,
Tamaam umr hi "Satish" guzaari tadapney me, sisakney mey.

Hikmat Aur Insaaf
By : Gagan (Views : 286)

Etbaar tum par karkey dil to hamney tumsey lagaayaa tha,
Jawaab mey takmeel-e-tamannaa ka vaadaa bhi aapka tha,
Apney haal par chodtey ho hamey, jab dil tumharey paas hai,
Yeh kahanki hikmat hai, yeh kahan ka insaaf hai?

Mulaakatey hamney jataai, vaadaa-e-milnaa to aap ka tha,
Himmat-e-ishq to hamari thi, houslaa to aapney diyaa tha,
Targeeb-e-mafar ab hamey tum se miltaa hai,
Yeh kahanki hikmat hai, yeh kahan ka insaaf hai?

Shikaar to ham baney, nazaara-e-husn to aapka tha,
Gazal-e-mohobbat hamaari thi, par mouzoo to aapka tha,
Bhool gaye ab ham key dil-o-jigar kya hai,
Yeh kahanki hikmat hai, yeh kahan ka insaaf hai?

Behosh huey ham magar hosh to aapko tha,
Kayaamat hamney dekhi magar karishmaa to aapka tha,
Ab yeh aalam hai, na dil lagtaa hai na unhe paata hai,
Yeh kahanki hikmat hai, yeh kahan ka insaaf hai?

Eh khudaa! Tujhsey zindagi mainey to nahi maangi thi,
Ley ja wapas yeh teri udhaari jo mujh par thi,
Kaamiyaabi na ibaadat mey hai na mohobbat mey "Satish",
Yeh kahanki hikmat hai, yeh kahan ka insaaf hai? |

 

Khawaish!
By : Gagan (Views : 307)

khawaish karta hai insaan khuda sey
apna pehla haq samjhtey huye
kismat khuda banata hai
insaan ki fitrat parakhtey huye
anjaan hai nadaan hai..

khawabon aur khayalon ki duniya mein
chalta hai chand sitarey samait-tey huye
kehlataa hai khuda mujrim
jab toot jayeN sundar siloney sapney sheeshey sey

kash kabhi samjh sakey yeh masoom chahrey
nahin milta kisi ko mukammil jahaan yahaN pey
mili hai kabhi dharteee asmaan sey |

 

Shayadh.....
By : Gagan (Views : 283)

Shayadh

Shayadh app hume rokenge bhi to hum na Ruken,
Shayadh app hume tokenge bhi to hum na Theren,
Ajj hum Ek aise modh pe khade ho gaye hain ki agar
app hume awaaz bhi de to hum phir kabhi peeche na Murren |

 

Dil Ko Mana Agar...
By : Gagan (Views : 272)

Dil ko mana agar

Dil ko mana agar hota aasan
na kerta yeh her kisi ko yoon pareshan
tanha na rehta bhari mehfil mein main
na hoti woh halat jo ho na bayan
sukh jate hain lab lafz miltey nahin
hota nahin hum se ishq bayan
unhe kaise bataein dil ki lagi
kaise sikhaon ankhoon ki zuban |

 

Choro Udhas Rehney Do
By : Gagan (Views : 336)

Choro humain udhaas rehney do

aansoan main muskurana parh raha hai
kiya kiya baar uthaana parh raha hai
laog hanstey hain dekh kar yeah haalat
ruki saansoan ko chalana parh raha hai

aankhoan main kuch piyaas rehney do
Choro humain udhaas rehney do

dharkanain dil kee mangti hain mohabbat
nazrain bhi har pal chahti hain mohabbat
mera yaar lakin mujhko milta nahi hai
yeah furqatain bhi ab sochti hain mohabbat

millan kee dil main aass rehney do
Choro humain udhaas rehney do

kissi kee humain ab zaroorat nahi hai
ab chahney waloan se bhi ulfat nahi hai
ishq ke dukhoan ne hum ko pagal kiya hai
haan keah diya RAZA ab mohabbat nahi hai

kuch yaadain magar hamarey pass rehney do
Choro humain udhaas rehney do

Inkar Tera
By : Gagan (Views : 310)

uthe jo najar kisi ke liye to wo tum ho
bhul jaun gar zindgee mein tujhe wo mera aakhree din ho

tune jo diya humein inkar ka zahar kaise piye
aag lag rahi hai dil mein tere pyar ki kaise jiye

zindgee ke is safar mein banne aaye the humsafar
per us inkaar se ban kar rah gaye Bekhabar.

socha tha rahange tumhare dil mein pyar ki tarah
per tumhare inkaar ki saja kat rahein hein gunhgaar ki tarah |

 

Mujhe Bhool Jaana
By : Gagan (Views : 402)

Tum ne yeh kaise kah diya
Mujhe bhool jaana
Kitni aasaani se kah diya
Mujhe bhool jaana
Gar tumhe yaad ho
Woh pyaar bhari baatein
Woh pahroon lambi mulakatein
Ek dosaare ka ghum baatna
Ek dosaare ke liya woh kasamein khaana
Kya sab yun hi koi
Parihaas kiya tha tum ne
Kahte the pyaar kiya tha tum ne
Kab aur kaise bhool gaye
Ki main ke insaan hoon
Gudiya nahin ke baas
Thokar mari aur chal diye
Soacha bhi nahin kya hoga mera
Kaise jeeongi, kya haal hoga mera
Tum ne apna kaam khatam kar diya
Kah ke woh teen shabd
Mujhe Bhool Jaana |

 

Chand Safar
By : Gagan (Views : 281)

Chand Safar Ka Saath Dekar
Saathi Ne chor diya
Apnon Ka Daaman Chorkar
Gairo ka Daaman Tham Liya
Tumne Diya Hain Zakhm, Hans ke Dard Le Liya
Kisse Karon Shikayat, Humne Zakhm Le Liya
Karke Vaada Laut Aaongi Daaman Mera Chor Diya
Par Karege Yaad Tumko Faisla Humne Kar Liya
Aankhon mein Meri Tasveer, Dil Mein Gair Ka Sauda Karte Ho
Chahat ka Ahsaas Dekar, Ansoon Ka Sauda Karte Ho
Zindagi Ke Safar Mein Tanha, Khud ko Paaoge
Har Taraf Tum Meri Hi Soorat Paaoge |

 

Gham-e-Ishq
By : Gagan (Views : 316)

tumnay na kiya yaad humain bhool ker..
humnay tumhari yaad main sub kuch bhola diya

zindagii kat gaye manaate huye
ab iraadaa hai ruuthe jaane kaa

un ke dekhe se jo aa jaatii hai muuNh pe raunaq
vo samajhate hain ki biimaar kaa haal achchhaa hai

kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahi
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhokaa

hamako un se vafaa kii hai ummiid
jo nahin jaanate vafaa kyaa hai

kahate hain jiite hain ummiid pe log
ham ko jiine kii bhii ummiid nahii.

jiss dil mein basa tha pyar tera
uus dilko kabhi ka tod diya
badnaam na hone denge tujhai
tera naam hi lena chod diya

ciagrette jalaya tha teri yaad bholne ke liye
par khambakhat duwein ne bhe teri tasveer bana dale

ujaale apanii yaadon ke hamaare saath rahane do
na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye

tere ishq mein kahen mar na jawon
mujhe azmane ke khoshish mat kar |

 

Pyaar Ka Maara...
By : Gagan (Views : 318)

Rahenn duvaa duvaa, jaayenge tho hum kahaan,
adhoore hi rahegaye, jo sajaayethe pyaar ki daastaan,
his jindgi ki her raah mhe, huski nazer aane lagha,
huske bina yeh zindgi adhoora sapna lagne lagha...

Saathi mere, humse hi mhon modlee,
Saath rang dikhlakher, akhele hame chod gayee...
Hi kya majboori thi huski, ki-se hai kya kaber,
Per meri jahaa.panaah se meri tabaah vo bangayi,

vo aaj bach ke nikalthi hai mere saaye se,
Per judaa na ho paayegi meri yaado se,
Mohabbath ki kisso mhe, hisi kahaani nahi,
ISHQ ke kitaabonn mhe, ik alag si nishaani chod gayi,

"JAB PYAAR KIYA THO DARNA KIYA", meri kahaani mhe ik kahavath hi bani,
Per hisi kvaab diklakhe, muje tho vo berbaadh kergayi...
zindagi ber saath denaa tha jinhe,
do kadam humraah chal kar rukh gayi,

Jaate jaate vo kudko achhi nishaani de gayi,
Umer ber ko, saath mhe bewafaii ka naam le gayi,
Jaate jaate vo meri dil ki pyaas bujaagayi,
per meri palko ko husne ashkonn ki paanii de gayi...

Pyaar Ager Humse Root Aur Ko Jaaye Tho...
By : Gagan (Views : 295)

Aankh dokha hai, Yeh nazrhen dokha hai,
Bewafa honn se, yeh pyaar kartha hai,
Is jamaane mhe, hai bewafa hise,
Jo pyaar ko khel samajthe hai...

Paani mhe jaise, thoote kinaare
bahatha jaaye, kahi manjile,
Pyaar mhe vaisa, thoota dil yeh,
thoota aur ko bi jaaye,
aankh ber-aayetho hum, akshen pijaathe hain,
Dilyeh dukh diya tho, ghum ko sahjaathe hai,
yeh pyaar dokha hai, yeh yaar dokha hai,
Jinme hum chaah dhoonde, vo chaah dokha hai...

Uper se hi achaa, andher se joota,
umer hai yeh paglaa sa, samajna paaye,
dil hai naadani, dil hai boli si,
Kisiko bhi yeh dil, na pahachaan paaye,
aaj ke sanam ka yahi, yahi tho kahaani hi,
jo karthe hi sachaa pyaar, huski kerdethi berbaadhi,
Yeh sans dokha hi, ishq ki khsuboo dokha hi,
jo taaz hunme paayi, vo taaz dokha hi... |

 

Kya Mohabbat Ke Vaade Hi...
By : Gagan (Views : 384)

Kya mohabbat ke vaade hi, kya vafaa ke hiraadhe hi,
wafaa ko daal banaker, bewaafa kuch log ban jathe hi,
Kya Ishq mhe kasme hi, Kya pyaar ki baathein hi,
Ager ho judaai, vo mulaakaathein yaadein ban jaathe hi

Hunki yaad phir aathi hi, bekudi tadpaathi hi,
Tanhaai duslethi hi, duniya ujad jaathi hi,
sapne tootjaathe hi, kaabh bikher jaathe hi,
Joote ummedhon mhe, hum doob jaathe hi.

Ab kohi zanjeer nahi, dil mhe kisi ka tasveer nahi,
Ab kohi manjil nahi, mera kohi taqdeer nahi,
kisi ko apna kareeb samajloon, yeh meri naseeb mhe nahi,
Thoota taara hoon, ab meri kohi tikaana nahi,

Kisi yaar ka ab intzaar nahi,
dil mhe kisi ka qaraar nahi,
Meri chaandini doob gaya,
tho chandni raathon ki intzaar nahi,
Jin aankon mhe khushiyohn ki toli thi,
ab humne kisi ka noor nahi,
Jis dil mhe yaadonn ki doli thi,
huse hutaane ki muje ab jaroorath nahi,

Dekho yaaro, pyaar mhe humne kya paaye,
hus na bhi chaahoon tho, hum rho pade,
Dekho meri jindgi ka roop rang dal gayi,
rona bhi chaahoon tho, akiyan mhe aansu kam pade...
Jindgi mhe mere kya kya badal aayi,
Ghum meri saari, apni saathi bani,

Na my kisi ka hua, na kohi mera hua,
Jindgi bani ek badh-duvaa,
Na my kisi ka hua, na kohi mera hua |

 

Naa Socha Tha Kabhi Zindagi Me
By : Gagan (Views : 530)

Naa Socha tha Kabhi Zindagi me Aayega Ek Aaisa Mukaam jab Dil k Rishte ho Jayenge yuh Beenam,
Na Socha tha Kabhi Rishto, Mohabbat ka Hoga Yeh Anjaam, Meri Waffaon ko Milega Yun Nafraton ka Inaam

 

Kunwara
By : Gagan (Views : 575)

Khud ko sharif batati hai
Awara main bhi nahin
Matlab bhari is duniya mein
Besahara main bhi nahin
Pyaar ke is mod pe aake kehti hai
ke shadi shuda hoon
Toh sun E khudgarz
Kunwara main bhi nahin


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter