Old school Easter eggs.


Hate Shayari

Hate Shayari

PAGE=8

Garmi Hasratein Nakam Se Jal Jate Hain,
By : Gagan (Views : 338)

garmi hasratein nakam se jal jate hain,
hum chiragoon ki tarha shaan se jal jate hain,
jis aag mein jalti hai shama numaish ke liye ,
hum usi aag mein gumnaam se jal jate hain,
jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath,
jaane kyon log mere naam se jal jate hain. |

 

Muskurahat!
By : Gagan (Views : 330)

Aye Deknewaloo...
Tum mehri Muskurahat,
Pe na jahou.
Yeh tho Ek parda hai...
Ghamaen Dil kho,
Chupane kaa. |

 

Mathlabi Duniya
By : Gagan (Views : 358)

Mathlabi Hai Duniya!
Yahaen koun kisi ka hota hai...
Dhoka bhi wohi detha hai!
Jis pe barosa hota hai |

 

Khanjar
By : Gagan (Views : 302)

kahin kanchan nikalte hai
kahin pathar nikalte hai
bharosa jispe hum karte hai
woh hi khanjar nikalte hai |

 

Tere Naam
By : Gagan (Views : 390)

Kuch dard mein kami thi tum yaad aa gaye
Main sher keh rahi thi tum yaad aa gaye
Phaila hua hai raat ka sannata
Aahat kahin hui thi tum yaad aa gaye.

Mil jaaega woh mujhko aisa bhi nahi lagta
Lekin us khuda se bharosa bhi nahi uthta
Chahu ki use bhulun bhulun to bhala kaise
Us jaisa koi mujhko duja bhi nahi lagta.

Meri qurbat ko bhi judaai ka sila diya
Kuch is tarah se aaj usne mera dil dukha diya
Pucha jo sabab furqat ka maine us harjai se
Apni majburiyon ko usne mere aage dohra diya.

Tute Hue Paymane Me Jaam Nahi Aata...
By : Gagan (Views : 314)

Tute hue paymane me jaam nahi aata
Ishq ke mariz ko aaram nahi aata
aye dil todne wale tune ye to socha hota
ki tuta hua dil kisi aur par nahi aata
|

 

Khayaal
By : Gagan (Views : 321)

Shoola hoon bhadakne ki guzaarish nahin karta
Sach muh se nikal jaata hai koshish nahin karta

Girti huye dewaar ka hamdard hoon lekin
Chadte huye suraj ki paristish nahin karta

Maathe ke paseenay se mahek aati hai lekin
Woh khoon mere jism main gardish nahin karta

Hamdard yeh ahbab bi main rakhta hoon fahim
Main zakhm to rakhta hoon numaaish nahin karta

Shoola hoon bhadakne ki guzaarish nahin karta
Sach muh se nikal jaata hai koshish nahin karta |

 

Kya Kya Nahi Kiya
By : Gagan (Views : 363)

Kya kya nahi kiya unke liye
Sab kuch loot gaya unhe paane ke liye
Ghar chhoda unse milne ke liye
Duniya se lada unko hasil karne ke liye
Gali gali ghuma unhe dekhne ke liye

Unhe yaad karta tha muskurane ke liye
Logo ne kaha tu pagal ho gaya hai uske liye
Magar unhe kya pata woh kya hai mere liye
Kuch bhi kar sakta hu unhe paane ke liye

Yaad aate hai woh din ab
Jab woh kehti thi ki woh bani hai mere liye
Vada kiya tha ki saath rahenge janam janam ke liye
Abhi bhi yaad hai woh din jab milne gaya tha unse mein
Unhone kaha ki bhool jaavo hume ab zindagi bhar ke liye
Unse pyaar itna karta tha ki pooch bhi na paaya wajah uski |

 

Ek Mashwaraa
By : Gagan (Views : 330)

Achchaa Hai ke tum bhi mohobbat karne lage magar,
Sunaane ki nahi janaab! Sunane ki aadat daalo

So sako to beshaq dekho har rang ke khwaab magar,
Unmey khaalis haqeeqat ko aazamaane ki aadat daalo

Apni-apni bulandi ka guroor to laazmi hai magar,
Kisi ki nazaron se kabhi girne ki aadat daalo

Haisiyat ka apni numaaish zaroor karte raho magar,
Tamaasha ban jao to taali bajaane ki aadat daalo

Dushmano ke tevar to dekhe hai sabne magar,
Apnon ke bhi fhareb ko jhelne ki aadat daalo

Ji-Ji ke yahan marne vaale beshumar log hai magar,
Mar-Mar ke zindagi jeene ki aadat daalo |

 

Pyaar Se Pyaar
By : Gagan (Views : 308)

Pyaar Se Pyaar Kar ke Jeetey Hai
Dil Ko Behla Ke Hum Tumse Duur Rehtey Hai
Wafa Ki Adh Mein Hum Teri Bewfai ko Pyaar Samajh Baithi
Dekh Kar Bhi Naa Dekha Aur Aitbaar Kar Baithi....
Chah Ker Bhi Tumhe Paa Naa Saki
Dil Luta Kar Bhi Tujhe Apna Naa Bana Saki

KUCH NA PUCHO, KUCH NA BOLO
By : Gagan (Views : 354)

KUCH NA PUCHO, KUCH NA BOLO,
MUJ KO AKAILA REHNAI DO,
MAI AKAILEA SAHAI MAI ACHI,
MUJAI DUNIYA SAI NAFRATH HONAO DO |

 

Chordena Chahathai Hai Vo Benaam Yadea Un Ki
By : Gagan (Views : 305)

Chordena chahathai hai vo benaam yadea un ki,
Kisi kaam ki nehi faryaadai dil ki,
Eik anjaam rogi bana diya hai mujai zamanea kai samanai,
Zindagi hai kya jab milai na mohobath yaar ki. |

 

Kisi Ka Dil Dukhane Sai Pehle
By : Gagan (Views : 347)

Kisi ka dil dukhane sai pehle
Apni kahani yaad kar liya karo
Kai tum bhi eik shaqz ki nazar ka shikaar the
Yea baath soch kar samaj liya karo |

 

Gham Ki Yado Nai Aisa Gheir Rakha Hai
By : Gagan (Views : 296)

Gham ki yado nai aisa gheir rakha hai
Kai, khushi ka moka yaad hi nehi

Yaad hai tho tumhara chehra
Magar vo bhi ghamo mai shamil honea laga |

 

Yakeen Kui Nehi Atha , Kai Tu Kisi Aur Ka Hai
By : Gagan (Views : 322)

Yakeen kui nehi atha , kai tu kisi aur ka hai,
Jab tumhai dekhthi hu tho humara pal yaad atha hai,
Toot kai beta hai, yea dil khoya hai khayalo mai,
Lagtha hai kai tu ayea ga,
Ab nehi, tho chand salo mai,
Do saal guzar gayea,
Magar yaad taza hai,
Ab na dil lagaoo ghi, teri kya rab ki kasam ,
yea mera vada hai......

Terea Siva Koi Aur Gham Nehi
By : Gagan (Views : 319)

Terea siva koi aur gham nehi,
yehi bathanea ayea hai hum,
Is bari mehfil mai
Yea na socho kai tumhai bezath karanea ayea hum,
Sabar ka teer, had sai paar ho chuka,
Ab tho ronea sai dil dukhtha hai,
Yea sab bass kar, yehi bathanea ayea hai hum........ |

 

Yaad Meri Kaha Ayea Ghi
By : Gagan (Views : 337)

Yaad meri kaha ayea ghi
jab tum dusro sai musroof ho
Pyaar tho tumhai khail soojtha hai
Kaha tum mere pyaar ki tarha mazbooth ho |

 

Teri Yaad Dil Mein Chupaye Soya Karte Hain Ratoon Ko
By : Gagan (Views : 322)

Teri yaad dil mein chupaye soya karte hain ratoon ko
jab yaad jyada aajaye tab roya karte hain ratoon ko

yun tadpa kar hamein tum bhi jee nahin paogi
aansuon ke sagar me tum bhi doob jaogi

gar yaad aayeen kabhi too yaad hi kar lena
ya hamari yaad mein do aansson hi baha dena |

 

Apne Kirdar Ko Mosam Se Bacha Kar Rakhna
By : Gagan (Views : 318)

apne kirdar ko mosam se bacha kar rakhna

ke khushbu aati nahi phool me sukh jane ke baad

dhoop nikli hai to badal ki rida mangte ho
apne saye me raho, gair se kiya mangte ho
khud hi viran kiya tum ne dayare dil ko
ab yahan koi nahi, kis ka pata mangte ho

dil me tumhari yado ke chirag jal rahe hai
reh reh ke bebasi se hum haath mal rahe hai

rooh me girhe padhi hai kholtha koi nahi
hoonth hilte hai sabhi ke bolta koi nahi
dil to hai par dil ka phailao bahut mehdood hai

rang hai par paniyo mean ghulta koi nahi

sanso ke silsile ko na do zindagi ka nam
jine ke bavajood bhi kuch log mar gaye

kee nazar chaand pe to dil me muskuraye tum
duaa ke liye haat uthaye to yaad aaye tum

ashke paigham se bhi aag lagti hai
chashme purnam se bhi aag lagti hai
pehle aag lagti sholo se aur
ab to shabnam se bhi aag lagti hai

kal chavdhavi ki rat thi shab bhar raha charcha tera,

kuch ne kaha chand hai yhe kuch ne kaha chera tera

hadisa bhi hua nahi koi
phir bhi dil me ruka nahi koi
ek to aandhiyon ke zad me hai
aur phir aasra nahi koi

jo aansu dil me girte hai who aankho me nahi rehte
bahut se harf aise hai jo lafzo me nahi rehte
kitabo me likhe jate hai dunya bhar ke afsane
magar jin me hakikat ho kitabo me nahi rehte

musibat me tamannao ke daman chuht jate hai
yakinan chahne walo se rishte toot jate hai

ijazat mai nahi detaa pardes jane ki
hamare desh mein kya kami hai khane kamane ki |

 

Badalte Log
By : Gagan (Views : 379)

log yahan kapdon ki tarah, humsafar badalte hain
khuda bhi dang reh jaye , aise rang badalte hain
kiske dil mein kya hai,kise pata hai
dil lagaya jo kisi se ,to yeh tumhari hi khata hai
saraye ki tarah inke dil ke mehmaan badalte hain
mausam se pehle inke dil ke armaan badalte hain
insaanon ki yahan kya ahmiyat hai
jazbaton ki yahan kya aukat hai
kapat se bhari inki niyat hai
chchal se bhari inki har baat hai
bhatakte musafir ki tarah inke thikane badalte hain
yeh to har pal yahan apne jeene ke man badalte hain

Kabr Ka Samaan
By : Gagan (Views : 321)

Aaj phir tum mujhe yaad aa gaye ho
meri aur ek shaam sharaab mein duba gaye ho
mujhe yaad hai jab tum mujhe mile the
apni aankhon mein kayee manjar liye hue
teri tadbeer main samajh na saka,pata na tha
tum ho daman mein kayee khanjar liye hue
tumhare chehre par jo muskaan thi
uske peeche chchipe kayee raaz the
kise pata tha tumhari un meethi baton mein
mera katl karne wale zahar se bhare saaz the
main bawra tum par dilon jaan luta raha tha
tujhse pyaar kar ke apni kabr ka samaan juta raha tha |

 

MeRi NeenD ChuRa Ke
By : Gagan (Views : 323)

Tum Ko Mila Kia Dil Dhadka Ke Phir Dil Ko Tadpakey
Hum Ko Laga Kyun Tum Ho Apne Tuuta Hai Dil Aur Tuutey Hain Sapney
Itne Diye Hain Mohabbat Mein Gham Ab Umra Bhar Bas Tadpengey Hum
Aise Khwaab Dikha ke Aisi Aag Laga Ke
Tum Ko Mila Kia Dil Dhadka Ke Phir Dil Ko Tadpakey
Bechaniyaan Hain, Betaabiyan Hain, Tanhayan Hain aur ruswaiyan Hain
Ab Har Ghadi Hai Yeh Silsila
Tum Bhi Suno Kuch Dil Ne Kaha
Aise Jaan Jalake Yun Din Raat Rula Ke
Tum Ko Mila Kia Dil Dhadka Ke Phir Dil Ko Tadpakey |

 

Woh Jaane Ke Baad
By : Gagan (Views : 321)

Aaj wo aaye hai bade intezaar ke baad
Mohobbat rang layee hai badi takheer ke baad

Apnii hi sunaaoge ya ham bhi kuch bayaan kare
Kya hota hai haal idhar terey jaane ke baad

Khol do darwaaze, karo roshan har chiraag
Sarokaar nahi vaise bhi inse terey jaane ke baad

So jaao sitaare tum aaj geharii niind so jaao
Saath hamaaraa denaa kal se unkey jaane ke baad

Kehaney do diwaana hamey magar ye kya kam hai
Charchaa hogi hamaare naam ki unkey jaane ke baad

Zindagi, ji lene do tumhe jab tak wo meherbaan
Ji lenaa hamey tum phir unkey jaane ke baad |

 

Dard-e-Mohabbat
By : Gagan (Views : 354)

Bakhsha hai tum ney dard-e-mohabbat woh jaan-e-mann
Jis ka ilaaj ker naa sakey chara ger koi

Manzil per hum bhataktey na Ulfaat ki raah mein
Mil jaata kaash hum ko bhi jo rehbar koi

Tashreef aap laein gey yaa hazri dun mein
Dey dijiay jawab humein mukhtasir koi

Meray yun hoosh uraney k waastey
Jalwa dikhaney aaey na abb bam per koi

Mernay key baad bhi aankhen raheen khuli
Yun mujhe intizar raha umer bher koi |

 

Bewafa Sanam
By : Gagan (Views : 447)

Socha the ke teri Bahoen Main
Dham Nicklaen
Socha the ke teri Bahoen Main
Dham Nicklaen
Bewafa tu Nahi
BaadNaseeb Hum Nicklaen

Gila Karoun bhi tho kiske
Karoun
Batayeh kohi
Gila Karoun bhi tho kiske
Karoun
Batayeh kohi
Woh Bewafa hi Sahi
Intekhab (Pasand) Mera tha

Jane Kya Soch Kar Hum Wafa Kargaye
Zindagi main yahi Ek khata Kargaye.

Dil Kisiki Chaahat main Bekharar Math Karna.
Woh tho hamare pardesi hain Use pyar math karna


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter