XtGem Forum catalog


Hate Shayari

Hate Shayari

PAGE=7

Ab Achha Lagta Hai.....
By : Gagan (Views : 428)

Ajeem hai ye kurbatoo ki duriyaan bhi
Sath reh kar bhi usko na pana ab achha lagta hai
Kismat mein nahi phir bhi usse chahte hain
Phool samaj kar kantoo par chalna ab achha lagta hai
Ab to mehfilo mein bhi hamare liye tanhayee hai
Gum chupakar mehfil ko sajana ab achha lagta hai
Mehfil mein doosro se ab hans hans kar milte hain
Tanhayee mein gum kai aansoo bahana ab achha lagta hai
Samjhaane par bhi samajta nahi hai ye dil
Uski yaad mein raaton ko tarapna ab achha lagta hai
Uski bairukhi ne itne diye hain zakhm ke
Zakhm khakar bhi muskrana ab achha lagta hai
Us Sangdil ne tor diya mere armaano ka Taj Mahal
Dil ke Kabristan mein armaano ko dafnana ab achha lagta hai
Jab wo hans hans kar baat kare doosro se
Apne ansuoo ko chupana tab achha lagta hai
Usse khokar to mere pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batlana ab achha lagta hai
Khud ko anmol samajne ka tha bara gurur mujhe
Baimol bikjana ab achha lagta hai
Khaye hain dhoke mohabbat mein itne
Phir bhi usko chahna achha lagta hai
Maloom hai is safar ki manzil nahi hai koi
Phir bhi safar karte rehna ab achha lagta hai
Wo to aakar bhi kab ki jaa chuki hai
Phir bhi uska intezaar karna ab achha lagta hai.... |

 

Main Bekhabar Acchi Thi...
By : Gagan (Views : 414)

woh kab meri zindagi main aaya
mujhhi na hui
kuch aisa kiya hai ajnabi khud se
ab lagta hai
main bekhabar hi acchi thi

kitabon main uska chehra
shabdon main uski baatein
kuch aisa kiya hai jaadoo mukjpe
ab lagta hai
main anjaan hi acchi thi

nigahon main uska aana
sapnon main aakar sataana
kuch aisa kiya hai bekaaboo mujhe
ab lagta hai ki
main tanha hi acchi thi |

 

Kahani Ek Diwaane Ki......
By : Gagan (Views : 403)

Apne aap se baatein karne ki aadat si ho gayi...
Humein to ab apna dil jalane ki aadat si ho gayi...
Karte the jise pyaar hum jaan se bhi jyada
Aaj usse bichar kar tarapne ki aadat si ho gayi...
Ye duniya hi chor doon gar keh de wo
Humein to Zindagi se apni nafrat si ho gayi....
Zindagi ke jue mein hum muhobbat hi haar baithe
Is haar ke baad to jaise haarne ki aadat si ho gayi...
Ab kya bataein kitne toofan guzre is dil par
Ab to jaise Zindagi hamari khatam si ho gayi.... . |

 

Mere Yaaron ....
By : Gagan (Views : 392)

Mohabbat aag ka dariya hai meri maano mere yaaron
ishq bas dard deta hai yaqeen jaano mere yaaron.
mehboob bhi isi duniya ka bewafa insaan hota hai
mein ne bhi ishq kiya hai qadardaanon mere yaaron.
bade dhoke mile is ishq ke eiwaz dard bhi mila
yaad aata hai woh jo hua guzre zamaanon mein yaaron.
beqaraari, bewafai , tanhayi is ki nishaaniyaan
na banna aashiq , na kehlaana deewanon mere yaaron.
dil jab toot ke bikhar jaata hai to dawa nahin milti
na uddna tum kabhi aisi udaanon mere yaaron... |

 

Unhe Maaf Karna Laazmi Tha.......
By : Gagan (Views : 446)

Gustakhiya wo yoon karte rahe par
hamara unhe maaf karna laazmi tha

Pyar tha unse,
Har tarah unhe apnana laazmi tha
Wo jo na samjhe is baat ko...
Unka hame thukrana laazmi tha

Dil ki baat dimaag jo na samjha
Raasto ka alag hona laazmi tha

Par har baat har rishte se...
Upar chaha tha unhe,
Dilka hamara tut jaana laazmi tha

Yeh dard ab jo had se par hua...
To hamne unhe bhul jaana chaha...

Par hamara dilke hatho yu bebas hona
Unhe na bhula pana laazmi tha

Gustakhiya wo yoon karte rahe par
hamara unhe maaf karna laazmi tha....

Muhabbat Na Karna , Dosto....
By : Gagan (Views : 392)

ZINDAGI SAI MAYUS HUN SIRF TERI HI KHUWAISH HAI,
MAR BHI NAHI SAKTA AYE KHUDA KAISI YEH AAZMAISH HAI,

BOHAT ROYA HUN HAR PAL TARPA HUN, SAB KUCH BATA NAHI SAKTA...
MERI MUHABBAT KI KIA BAAT BATAUN BUS SAMJH LO KABIL SATAISH HAI

ZINDA RAHA TO JEE NA PAUNGA APNI MUJABBAT KO OR DABAUNGA...
TU BHI DUA KAR MERI MAUT KI, YEH IS BADNASEEB KI FARMAISH HAI...

SAMJH GAYA HUN ZINDAGI KA FALSAFA, HAR KOI APNE MAIN PHANSA HAI...
KISI KO YAHAN KOI FARAK NAHI PARTA, MERI MUHABBAT KI KIA PAIMAAISH HAI....

KISMAT NE BHI ACHHA MAZAK KIA US SAI MILAYA OR DOOR KAR DIA...
WOH NAHI HAI ZINDAGI MAIN TO BHALA AB KAISI ASAAISH HAI.... |

 

EK GHAZAL .....
By : Gagan (Views : 385)

Dil pey lagey ghaav zara gehray hi hotey hain
meri takleef per ansoo na bahaya karey koi

yeh dunya merey nazdik maktal se nahi ziada
mujhey zindagi key kissey na sunaya karey koi

main jo bhi kehta hoon faqat sach hi kehta hoon
burey anjaam se mujh ko na daraya karey koi

zakhmoon ki tasheer se dard kam nahi hota
her shaks ko apney zakham na dikhaya karey koi

agar haan kahoon to haan agar naa kahoon to naa
har baat main ek hi baat na dohraya karey koi

har hath mujh ko lahoo rang nazar aata hai
merey liye apna hath na barhaya karey koi

merey shab-o-rooz ki tafseel jis key pass hoti hai
usey merey shehar ka aalam to na sunaya karey koi.... |

 

Dard......
By : Gagan (Views : 534)

Woh bheegi bheegi si palken,
Woh num si aankhen,
Un aankhon mein sapnein,
Tootein aur bikhre,
Jo samete na simte,
Who pyare se sapne,
Jo dekhe the humne
Todey usine ,
Jisne dikhaye.
Ab kuch nahi hai mera,
Bus kuch adhuri si yaadein ,
Jinhe dil mein liye ji rahe hain hum
Un tanhaiyon mein,
Un gehraiyon mein
Kho gaye hain hum.
Jahan se aaye the,
Ab wahi hain hum.
Na koi rulane wala ,
Na hasane wala ,
Na kisi ke hum
Na koi hamara .
Ji li humne yeh zindagi ,
Ab koi aas nahi ,
Koi hamare paas nahi .
Aur koi ehsaas nahi .
Woh khusihiyan kuch hi pal ki thi ,
Aur ab gum zindagi bhar ke ,
Inhi ke saath ji rahe the ,
Inhi ke saath marna hai ,
Ab yahan kya bacha hai hamara
Ab hamein yahan kya karna hai ,
Rote hue aaye the ,
Rote hue hi jaana hai ,
Bas ab ek hi mera thikana hai..
Tere paas , aye bhagwaan ,
Mujhe tere paas jald se jald ab aana hai !!! |

 

Ab Kuch Kaha Jata Nahi....
By : Gagan (Views : 431)

Dur tak is kohre mein kuch bhi nazar aata nahi
Apna sa koi lamha...mujhe kahi lubhata nahi

Logo ka milna..kuch pal muskarakar..bhul jana..
Ab mere mann mein samata nahi...

Ek pal kisi ka hona...ek pal na hona..
Tanhaiya deta hai....
Dil ka yeh dard ab mujhse saha jata nahi..

Tumko auro se alag samjha yeh meri hi bhul thi
Aaye aur aakar yu chal diye jaise kuch hua hi nahi..
Itna kuch keh diya par kuch kaha hi nahi..

Dur tak is kohre mein kuch bhi nazar aata nahi
Apna sa koi lamha...mujhe kahi lubhata nahi

Logo ka milna..kuch pal muskarakar..bhul jana..
Ab mere mann mein samata nahi...

Kohre mein tumhara aana..roshni ki kiran samjhe
tum to andhere mein hame hamse chura gaye..

Tumhare liye na royenge hum, soch liya tha hamne
Par in bundo ko ankho se bhehte humse roka jata nahi..
Tumhari bewafai ko hamari bebasi hamse kaha jata nahi.. |

 

Bhulaaya Nahi Karte......
By : Gagan (Views : 380)

Khawab jhoote kissi ko dikhaya nahi karte
meri jaan !! youn kisi ko sataya nahi karte
aik baar youn kisi ko keh kar apna
daaman phir uss se churaya nahi karte
uske intezaar se bhala kya hoga hassil
anne ka keh kar bhi jo aaya nahi karte
rakhte haun jo dard bhara dil apne seene
doosraun ka dil phir woh dookhaya nahi karte
do kadam sath chaal kar jo juda ho jaaein
aise loggon ko to humsafar banaya nahi karte
kis tarha guzarti hogi zindagi unki
pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte....

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
By : Gagan (Views : 334)

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Teri Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchti Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De |

 

Maykhana
By : Gagan (Views : 327)

Saji thi mehphil, chal rahe thay jaam-e-daur
Jaam mein kya tha yeh kaun kar raha tha gaur
Jaam mein tha khoon meri hasraton ka
Jis pi kay sab keh rahay thay
Ek jaam aur, ek jaam aur...

***

Baki kuch na raha ab is zamane mein,
jawani guzar rahi maikhane mein.
Ab to kar le mere dosti pe yakeen zalim,
varna zindagi beet jayengi azmane mein.

***

hum un ashiqu mein se nahee
jo ashiqee ka ashiqana na samjhe,
vo ashiq- ashiq hee kiya jo
apnee mashuk ki akhon ko mahkana na samjhe... |

 

Qasam Khata Hoon
By : Gagan (Views : 391)

Fareb-e-ishq main apney pey sitam dhata hoon
aahein bharta hoon faqat us ki kasam khata hoon

Bus ek baar mujhey yaad na aaoo to sahi
main tum ko yaad na karney ki kasam khata hoon

Meri wafa ka yaqeen kar ley woh ek baar agar
phir na mur mur k main jenay ki kasam khata hoon

Bus ek baar woh izhar-e-mohabbat to karey
main roz roz na marney ki kasam khata hoon

Be dar-o-khauf mera hath woh thamey to sahi
main hur kisi se na darney ki kasam khata hoon

Main to be baaq hoon tariq is liye shayed
hur ek baat pay marney ki kasam khata hoon |

 

Socha Naa Tha...
By : Gagan (Views : 448)

Bas key ujrein gay kabhi socha naa tha...
Inn lamhat sey guzrein gey kabhi socha naa tha...

Kitna pyar tha humein apney aap sey...
Zindagi ban jayegi Azaab kabhi socha na tha...

Inhein to fikr naa thi humari...
Humein fikr ho jayegi kabhi socha naa tha...

Apnoun ney haath utaya sar sey, phir darbadar huay ghar sey...
Itnay bhi karey lamhaat aaein gey kabhi socha naa tha... |

 

Nahin Daikha .........
By : Gagan (Views : 318)

Galiyon sey meri tum nay guzar kar nahin daikha
Ghum yeh hai keh khushiyon nay mera ghar nahin daikha

Mehroom hai wo pyaar ki daulat se abhi tak
Dil jis nay kahin apna laga kar nahin daikha

Gumnaam hai wo phool gulistaan-e-jahan mein
Khusboo ki tarha jis nay bikhar kar nahin daikha

Aaine fakat us ki tassali kay liye hein
Dulhan ki tarha jis nay sanwar kar nahin daikha

Yeh such hai mera qatl sar-e-aam howa hai
Kis ka tha meri peeth mein khanjar nahin daikha

Dil cheer kar niklay hein yeh ashaar mere
Afsoos inhein aap nay phar kar nahin daikha....

Khoon-e-dil
By : Gagan (Views : 323)

Lo phir ek khowahish ka khoon hogaya
mohabbat mai dil todna dastoor hogaya

wafa ka wasta de kar, mere sabr ka imtihan le ke,
Lo phir majbori ke haatho woh majbor hogaya

Yeh kaisi ajab duniya hai ishq ki maalik,
koi mehboob ke naam se,
tu koi bewafa ke naam se mashoor hogaya

Mohabbat ki raah mai,
Mohabbat se Mohabbat ki talab ki thi tabassom,
zara si thoker bhi seh na saka...
Dil hi to tha...bus chour (reza reza) hogaya |

 

Tum Ko Bhulaein To Bhulaein Kaise.......
By : Gagan (Views : 394)

Shiddat-e-dard ney mehroom kiya lafzon sey hamein..
hale-e-dil tum ko sunaaein tu sunaye kaise....

Dil mein chupa rakhi hai tasweer teri
kaho dil ko jalaaein to jalaaein kaise....

Aankhon mein ubharta jaaye aks tera
sehmey huye ashkon ko bahaaein to bahaaein kaise....

Beyhis duniya ka darr liye baithe ho dil mein
tumhein apna banaaein to banaaein kaise.....

Alaam-e-tanhai mein dharkanein bhi pukaare tumhe
dil-e-nadan ko behlaein to behlaein kaise.....

Mumkin hey ab na naseeb ho rafaqat teri
k beetey hoye lamhon ko bhulayein to bhulayein kaise.....
Beywafa bhi nhi, beyhis bhi nhai, humdum mera
tujhey harjayee bulaein to bulaein kaise.....

Hum to thamey hoye they kab sey in ashkoon ko dilbar
chashm-e-num tum sey chupayein tu chupayein kaise.....

Rah-e-mohabbat mein humsafar sirf tum ho mere
hum tanha qadam barhaayein to barhaayein kaise..... |

 

Zindagi Meri Ek Sazaa Ban Gayi
By : Gagan (Views : 356)

Zindagi Meri Ek Sazaa Ban Gayi
Meri Mohabbat Mera Hi Gunaah Ban Gayi

Hum Ne Kiya Izhaar To Khatawar Thehre
Aur Un Ki Khamoshi Un Ki Wafa Ban Gayi

Paani Pay Likha Naam Mera Us Nay Par Liya
Aankho Mein Likhi Baat Meri Hawa Ban Gayi

Mere Liye Mere Dard Ki Koi Nahi Dawa
Aur Un K Liye Har Dard Ki Dawa Ban Gayi

Mujh Par Laga K Ilzam Meri Mohabbat Ka
Aaj Wo Khud Ek Mahtaab Ban Gayi

Ujaalo Mein Raha Karta Tha Mai Bhi
Andhero May Reh Reh Kar
Zindagi Meri Ek Sazaa Ban Gayi |

 

Tuta Hua Dil
By : Gagan (Views : 423)

Dil ko humne bahut roka
par tum par aa gaya
Aetbaar to bahut tha dil ko tum par
Phir kaise dhoka kha gaya

Kehte hai pyaar hai
rab ka dooja naam
Phir kyon kuch log dil tod kar
karte hai rab ka naam badnaam

Agar thamo kisi ka haath
to zindagi bhar na chodna
Kisi pyaar karne wale kadil
bhule se bhi na todna |

 

Tumhe Hum
By : Gagan (Views : 345)

tumhe hum kitna pyar karte hain
yeh tumhe hum kahte kaise
teri khushboo mein base yaadon ko
hum bhala dil se mitate kaise
tumse humne kuch kaha nahi
jab tumne jhooth ko batladiya
bewafai ka saboot tumse kya mange
jab tumne sach ko jhoothla diya

Juda Mut Karo
By : Gagan (Views : 349)

meri ankhoon say meray khwabon ko juda mut karo
meray guman, meray yaqeen ko fana mut karo

hum bhi tumhain bhool jayengay ek din
tum bhi humain panay ki dua mut karo

day kar humain yun sharf-e-humsafari ab
manzil say phely khud say juda mut karo

kabhi to udas tanhaiyon may sath dayengi
usski nishanioon ko jalaya mut karo

bhool janay ki sabhi kasmain na toot jayien
in boolti ankhoon say dekha mut karo

shaid woh bhula musafir-e-dil loat aye
aas ka dia sar-e-sham bujhaya mut karo

udasyoon k dairay hain yahan sadyoon say
bayqufal darwazon ko khatkhtaya mut karo |

 

Mujhe Bhoola Do
By : Gagan (Views : 383)

"Mujhe bhoola do meri yaad ko bhoola do
magar ek baat na bhoolna
roz tumhari yaad mitane ke liye doondta hoon maykhane

magar kya karo mit ti nahi dil se yaad tumhari
khatm ho jati hai maykhane ki bootle sari"

Tere tassabor se mere pyaar ki khusbhoo aati hai
to laakh cuphaye liken teri khamoshi kehati hai ki tu sirf mujhe chaati hai

Chere paar hasi hai gaam chupane ke baad
tunhari yaad aati hai dophar dhaal jane ke baad |

 

Piyar Mei Pagal
By : Gagan (Views : 341)

mei pagal thi
mene bhi kiya kisi se mohabat
mere liye woh
meri duniya thi
meri jaan tha
khuda ke bad uska naam tha

par aye mere rab
ho gayi hum se kiya beruki
ki chor diya usne mera saat
tham liya kisi aur ka haat

chale teh hum saath
par humme piche kar ke
chal parre kissi aur ke saat
mei pagal thi aur karti rah gayi uska intazar |

 

Na Jaane Kyon ?
By : Gagan (Views : 424)

jise paane ke liye humne sab kuch chod diya
usi shaks ne hamaara dil tod diya

kyon usne kiya huya vaada nahi nibhaya
agar dil todna hi tha, tu kyon sapne dikhye

agar pehchaan jaate tumhe hum
to kabhi pyaar ne karte

sab kuch bhla ke hum
kabhi pyaar ka ikraar ne karte |

 

Jakhm Ke Phool Chuna Karte The Tanhai Mein
By : Gagan (Views : 333)

jakhm ke phool chuna karte the tanhai mein,
hum tujhe yaad kiya karte the tanhai mein,
shukriya kaise aada karoon tera mere dost,
naam tera bhi shamil hai meri ruswai mein.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter