Hate Shayari
PAGE=6
Hadsa
By :Gagan (Views : 738)
Hadsa ye bhi huaa hai ab ke
Dil tujhe bhul gaya hai ab ke
Saath
chalte the gai waqton me
Aur rasta hi juda hai ab ke
Mene to Aap khurach
dalen hain
Her koi zakhm hara hai ab ke
Apni janib hi nikal aai hain
Ye safer khub raha hai ab ke
Ye mere saath hi ab jai ga
Dil me jo
dard uth ahai ab ke
Adhoore Khwab
By :Gagan (Views : 777)
Adhore khuwab ke ander
kabhi palken beechana mat
adhure khuwab
aankhon ko bohat takleef dete hain
adhuri yaad ko dil ki zamin me tum nahi
bona
adhuri yaad dharkan me bohat chubti, sisakti hai
khalish ban ker
khatakti hai
lahu me bijlian ban ker bhatakti hai
adhure pyar
ko.....lekin chalo jane do isko tum
Mohabat, pyar, chahat, Ishq hote hi
adhure hain .......
Nice3
By :Gagan (Views : 877)
ludti rehi sanu larian de nale ni,
yaari tu pave tarian de nale
ni,
neend teri piche raatan di gevake,
das sanu ki milia tere nal
mohobbeta pa ke .......
Pal Bhar Ko Hamara Sath
By : Gagan (Views :
1904)
Pal bhar ko hamara sath unhe gavara na tha,
Ye dil bhi unko diya jo hamara
na tha,
Mehfil se uth kar unki na jate,
Magar usne pukara hame phir
dobara na tha,
Ek unhi ke asre ji rahe the hum,
Jinka kabhi hame sahara na
tha,
Aaj usne bhi begana karar hame diya,
Jo kabhi hamare liye paraya na
tha,
Jinhe sukoon na mila hamare pyar mein,
Kabhi jahan mein unse hame koi
pyara na tha.
Kaise Sakoon Paoon
By : Gagan (Views :
907)
Kaise Sakoon Paoon..
kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise
dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon
satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti
teri wafain
tadpaati hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis
ko mai deekhaoon
teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak
ginaoon
meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil
chhalni hua hai
mila ke najar ab tumse aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo
tumhe...
Hamsafar
By : Gagan (Views : 866)
mujhe kya pata tha ki tu meri
takdeer mein nahin hai,
varna haath ki
lakeeroin mein
teri bhi ek lakeer bana lete
tu mujhe nahin mili,mili hoti to,
sari duniya ko apna pyar dikha dete
na jane kab aakar tu nikal gai,
hum to teri rah dekhte reh gai
tute sheeshe ke har tukde mein
tujhe talaasa tu na milli,
hum to sirf
tukde ginte reh gai. |
Pain
By : Gagan (Views : 1140)
Wakt tho hume bhula chuka hai,
Mukkardar bhi na bhula de,
Pyaar hum
isliye nahi karte,
darte hai koi phir se na rulade.
Na jane yeh aakhen kyun udaas rehti hai,
Na jane inhe kiski talaash rehti
hai,
Ye janker bhi ki who kismet mein nahi hai,
Fir bhi unhe pane ki aas
raheti hai.
Bahut kareeb se dekha hai iss bewafaa zamane ko,
Ab dil nahi karta kisi se
dil lagane ko.
Tadap ke dekho kisi ki chahat main
to pata chale ke intezar kya hota
hai,
yu hi mil jaye koi bina chahe
to kaise pata chale ke pyaar kya hoto
hai.
Pathar ki pooja kar baithe hum naadan the,
Teri aadat teri fitrat se
aanjaan the,
Waqt ne humko khilona bana diya yaaro,
Varna hum bhi mehfil
ki jaan the.
Sitam ko humne berukhi samjha,
Pyaar ko humne bandage samjha,
Tum chahe
humein jo bhi samjho,
Humne to tuhme apnaa samjha. |
Malaal Hota Hai
By : Gagan (Views :
657)
Khud sey aksar poochta hun do ghari saath diya to kaisa,
Woh dukh woh ghum
diya mujh ko jo mein ney kabhi saha nahin.
Aankh kabhi meri pur-nam na thi,
Abb Dil weeran weeran sa ho gaya.
Khud per bay had malaal hota hai,
Jis ka saath do ghari ka tha,
Kyun
usay sadioun tak apnaney ka,
Pagal dil ney irada kiya tha.
Thokar lagi to samjha,
Koi kisi ka hamesha nahin hota. |
Achaa Tha....
By : Gagan (Views : 695)
Mohabbat k yeh silsilay gar chaltay to acha tha
Yun bicharna tha gar mil
k, na miltay to acha tha
Jo tootni thi mohabbat kache dhagey ki manind
Yeh chahatoun k qaflay na
chaltay to aacha tha
Mager phir bhi Dil-e-nadan,gareeban chak honey per
Dostoun k yeh tanay na
miltay to acha tha
Woh parday ki chilman sey muskura ker dekhna
Mujhey unn k yeh irshad na
miltay to acha tha
Unhein ehsaas ho gaya k mein ghareeb hun lekin
Woh meray gher k nazaray na
kertay to acha tha
Hota yehi behtar k hum anjaan hi rehtay
Haey tujh sey yun wastey na pertay
to acha tha |
Takleef Meet Gayi...
By : Gagan (Views :
619)
Takleef meet gayi magar ehsaas reh gaya, khush hu kuch to mere pass reh
gaya
Ehsaas bhool jata hoon magar bhool ta nahin, woh lamhe jo janaza tha
bahar ka
Main to bujhta huwa shaamma hoon apni cherag ka
Zindgii hain aur
dil yeh nadan hain, kya safar hain aur kya samaan hain
Mere gham ko bhi
samajhkar dekhie muskuradena bahat ahsaan hain
Jal Chukay Hein
By : Gagan (Views :
541)
Kunwari khuahishoun mein Jal chukay hein
Woh ghar jo barishoun mein Jal
chukay hein
Kahin lambay safar per hongay ya phir
Parinday ghousloun mein jal chukay
hein
Bachay they hasratoun k phool jitnay
Woh bhi raastoun mein jal chukay
hein
Woh jin peroun pey haryali buhat thi
Suhaney musamoun mein jal chukay
ehin
Fana honey ko hein andheray
Deay sab aanganoun mein jal chukay hein |
Junoo-ne Shauk Ne
By : Gagan (Views :
493)
Junoo-ne shauq ne diwana kar diya hai hame
Unhi kaa zikr aaj har ek shay
mai hum pate hai
Takliyat ki duniya mai aake wo aksar
kabhi haste hai, kabhi hum ko wo
rulate hai
Kategi kaise shabe-gham hamari ay Azmat
Wo yaad aate hai jitna unhe
bhulate hai |
Kaise Ajab Baychanee, Kaisee Bayqarai Hai
By :
Gagan (Views : 440)
kaisee ajab baychanee,bayqarari hai
na chahte huee b kheal aun ka ata
hai
rahtee hai wo kidhar janta tu nahi
per kochae dil mai aksar wo aata
hai
kya karoo kya ker sakta hoo akhir..!
phir keun wo rotha chahra nazar ata
hai
paas reh ker b wo mera apna na tha..
aise baybasee per apni rona aata
hai
us ko kaisee batlaoo yeh mai akhir
lakh chahroo mai b chehra nazar us ka
ata hai
apna to bus aik hee kehna hai jaan
gham deay jayoo bholana hum ko aata hai
|
Milta Tha Mujh Se
By : Gagan (Views :
556)
milta tha mujh se woh kabhi pal pal ki farq see
phir rafta rafta farq
saloon main aagya
phir yoon howa ki ankoon main ansoo a gaye
cehra jo
kabhi us ka khyalon main a gya
mohabbat dhoka hai fareeb hai
arzoo ki is fareeb main anna nahi
jo kush
rehna ho zindagi main tumko
tuu dil tum kise se kabhi lagana nahi
ek sheks ki kho jany ka dar kion nahi jata?
yeh bojhh mere dil se nikal
kion nahi jata
manzil pe pohanch ker ussy khona hi paryy ga
yeh tyy hai tu
shoq-e-safer kion nahi jata
milny ki tarah woh hum see pal baher nahi milta
dil uss see mila jiss se
muqader nahi milta
tere dil main hai kash-ma-kash tujhy sochna muhaal hai
tujhy ek "haan" se
gureez hai mere zindagii ka sawal hai |
Kaante
By : Gagan (Views : 548)
Agar Suraj Na Hota To Ye Chand Taare Na Hote,
Mohabbat Na Hoti To Tum Mere
Aur Hum Tumhaare Na Hote,
Teri Mohabbat Na Milti Humen To Ye Zindagi Ke
Haseen Nazaare Na Hote,
Tere Gum Mein Saath Nibhaane ka Vaada Hai
Humaara,
Hum Isliye Karte Hain Tere Gum Ki Parvarish,
Kyun Ki Kaaton Ke
Kharidaar Saare Nahin Hote!!
Tum Hi
By : Gagan (Views : 544)
jab door hi jana tha to paas aaye kyun the,
mere liye pyar bhare tohphe
laye kyun the.
saath chalte chalte akele muudh gaye,
kyaa yahi vo vade the jinhe nibhane
aaye the.
tumhi ne mere maan ke aandheroin mein chiraag jalaye the,
naa tha koi paas
mere,tumhi khamosh jindagi mein halchal laye the.
tumhi to the jo dhoop mein bankar meri parchaii aaye the. |
Tarapta Raha
By : Gagan (Views : 501)
Mein Tarapta raha, Sisakta raha
Uss ki beyrukhi sey marta raha
Tujhe kya pata tujhe kya khabbar
Mein kahan kahan bhatakta raha
Jo naseeb mein tah who mila nahin
Tujh ko khoo ker haath malta raha
Uss beywafa ki beywafai per
Aashkoun ko chor, dil sey rota raha
Mera yeh armaan meri qabar tak gaya
Who dulhan aur mein dulha banta
raha
Array deep kya jalay ga
Jo Zindagi bher mein jalta raha |
Yeh Khamoshi
By : Gagan (Views : 529)
aaj mere chanchal man pe
kaise khamoshi chayi hai
youn lagta
hai
khule aasman par
kali ghata ghir aayi hai
suraj ki roshini
madham madham dikhti hai
muskurahat jo sajti
thi
labon par
kitni thaki si lagti hai
aaj khusiyon ne yeh
kaisi ki bewafai hai
youn lagta hai
aansoun ko
jaise
kaid se mili rihai hai
chand bhi jaise
mujhko mu chidata hai
taron ke sang bahen
dale
aasman main
kaise firta itrata hai |
Bereham
By : Gagan (Views : 566)
Dardbhare nagmon se pighla na sake unko..
Patthar ke bane hai, mome
banasake na unko.
Iltejaaonse jallad bhi kabhie, kabhie maaf kardethe
hain.
Woh rula rulakar bhi baaz na aaye humko. |
Dil Toota
By : Gagan (Views : 916)
Dil toota sab armaan toote
Saabit huwe vaade jhoothe
Aaine mein joh the
chehre
Abh bikhre hain tere mere
Jeene marne ki khayi thi
Kasme has ke tumne humne
Kahan kho gayi
khushiyan apni
Pehra daala hum par gham ne.
Mera Daaman
By : Gagan (Views : 443)
mere daaman ke sitare bhi
mujhe jala jaate hain
mujhe khabar bhi nahin
hoti aur
mere armaan
auron ke kadmon ki dhool ban jaate hain |
Khalipan
By : Gagan (Views : 420)
khali khalipan
khali pyala
sile lab
bujha man....khalipan
nam aankhen
jhuke nayan
dhundhla darpan....khalipan
udaas chehra
bojhil tan
khoya apnapan....khalipan
akeli shaamein
soona ghar aangan
tanha jeevan....khalipan |
DiL SE !
By : Gagan (Views : 512)
Aaj tum ko mae ek sach batata hoon
ke mae tum ko dil se chahta hoon
Tere yaad raat bhar ati hai
phir yonhe din bhar satati hai
Tumse baat ker ke lagta hai aaise
sehra mae khilay hoon phool jaise
Jee chahta hai tum ko apna bana loon
duniya ki nazroon se tum ko
churaloon
Kor-e-kaghas ki tarah dil tha mera
jis mae shayad ata nahi kabhi
sawera
Tumse pyar ker ke likhi hai mae ne ek aaise dastan
jis ka kabhi nahi tha
mujh ko waham-o-guman !!! |
Kalakaar
By : Gagan (Views : 371)
palkon se hokar guzarte hain
mere aansoon jab chalakte hain
geet ban
jaate hain
siski jab ubharti hai
hothon par sajti hai
sur ban jaate hain
dil jab rota hai
zoron se dhadakta hai
tal ban jaati hai
thokar jab lagti hai
khoon bahne lagta hai
rang ban jaata hai
aate jaate log
theher jaate hain chand pal
aur yeh kejhkar chale jaate
hain
bhai wah! kya kalakaar hai |
Mere Sapne ........dreams
By : Gagan (Views
: 416)
ek sapnaa mera yu bikhar gayaa....
jaise bikharte hai ret ke
teele
bikhar jaati hai rajni saangh per
paani jaise bikhar jataa hai
kaanch per
mom bikhre jaise aanch per
chand kaagaz bikhre jaise diwaan
per
ek sapnaa mera yu tut gayaa.....
jaise tutaa hai aakash se koi
taraa
tut jaati hai jaise ye jeewan dhara
haatho se tuti hai jaise
chudiyaa
tuti hai jaise lakdi ki seediyaa
mer ek sapna yu kho sa gayaa....
jaise kho jataa hai koi bheed me
kho
jaae khilone haath se kisi bache ke
kho jaae bude ke haatho jaise
jawaani
bhul jaaye kisi ke marne per koi ronaa
Mai milugaa fir ek din tumhe
jaise miljaatee hai koi
barso puraani
akhbaar
radee se