pacman, rainbows, and roller s


Hate Shayari

Hate Shayari

PAGE=5

SAZA
By : Gagan (Views : 1877)

wo kehte hai k hum bewfaa hai
kese kehe hum unse
k ye unke hi ishq may mili hui saza hai.

 

Ek Gazal
By : Gagan (Views : 1385)

Mere dil mai bas ke tunhe kiya sitam kiya hai,
Key yeh jaa(n) nikal hi jaae, tunhe woh dagha diya hai.

Mere baad bhi to honge tere naam per woh naale,
Koi dafan ho chuka hai, teri gali ke peechhe.

Mere Aasuo(n) mai chanke, tere naam ke sitaare,
Kahi shaam dhalna jaae, in aasuo(n) ko peete.

 

Kamine
By : Gagan (Views : 1516)

Itna khubsurat kaise muskura lete ho,
Itna qatil kaise sharma lete ho,
Kitni aasani se jaan le lete ho,
Kisi ne sikhaya hai...ya bachpan se hi kamine ho?

 

Marham
By : Gagan (Views : 1186)

paas aakar sabhi door chale jaate hain,
akele the akele reh jaate hain,
dil ka dard kisko dikhlayen,
marham lagaane waale hi zakham de jaate hain.

 

Sheeshe Ka Dil
By : Arti Agarwal (Views : 1439)

Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi,
sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki.
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti.

Apna Banakar
By : Gagan (Views : 1431)

yeh dekha hai humne azmaker,
dhoka dete hain log aksar kareeb akar!
kehti hai duniya par yeh dil nahi manta
ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar!

 

Judai
By : Gagan (Views : 1465)

Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke be bewafaai mili hai,
jitni dua ki tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.

 

Aasman Se Dil Laga Baithe
By : Gagan (Views : 1191)

Na teer, na talvaar se ghayal hue hum...
Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.

 

Ehsaas Nahin Hota
By : Gagan (Views : 1187)

Tumhari yaad jab ati hai koi paas nahi hota,
Kaash tumse bichadne ka mujhe ehsaas nahi hota.

Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.

Har ek umeed se jude hai waqt ke yeh lamhe,
Raah kaisi bhi ho namumkin kuch nahi hota.

Jab tum haste ho toh koi dukh nazar nahi aata,
Kabhi samandar ka talaab se muqabala nahi hota.

 

Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
By : Gagan (Views : 1024)

Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samajhna Keh Tumse Bicharh Ke Khush Hain
Humein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaunga
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uth-na Hai Janaaza Kaandha Tau Dena Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab Tau Aryaan Tujhe Jaana Hoga

Zakham
By : Gagan (Views : 1161)

Paas akar sabhi door chalen jate hain,
hum akele the akele hi reh jate hain,
dil ka dard kise dikhaye,
marham lagane wale khudh hi zakham de jate hain.

 

Kisi Ki Jaan
By : Gagan (Views : 1168)

Pathar ki puja kar baithe hum nadan the,
uski aadat, uski Fitarat se anjaan the,
waqt ne hamko khilona bana diya yaro,
varna hum bhi kabhi kisi ki jaan the.

 

Ekbar Par
By : Gagan (Views : 885)

Zara si baat ka itna malal karte ho,
Shikaate bhi vahi hain, jaha mohabbat hain

Vaada bhi karke aaye na meri kabar par
Hamne to jaan de di, Isi ekbar par

 

Akela
By : Gagan (Views : 1008)

anjaan ek akele ka
naam agar mit jaye to kya
akela akela hota hai
nishan agar mit jaye to kya
pise hue akele ka
aaram agar mit jaye to kya
akela to toota hai hi
armaan agar mit jaye to kya

 

Ye Khalish!
By : Gagan (Views : 737)

Yeh Khalish kar degi deewaanaa mujhe
Jaan kar bhi kyun na pehchaanaa mujhe

Ashq ka dariyaa bahaate dekh kar
De gayaa woh khaali paimaanaa mujhe

Aasamaan itne dikhaaye kis liye
Khaak jaise thaa jo thukaraanaa mujhe

Aashiqi ke zikr main ek ajanabi
Kah gayaa meraa hi afsaanaa mujhe

Woh naa aye hain kabhi naa aayenge
Band kar do aur behalaanaa mujhe

Armaan!
By : Gagan (Views : 867)

Jaan ek akele kay naam agar mit jaye to kyaa
akela akela hota hai
Nishan agar mit jaye to kya
Pise hue akele kaa
Ram agar mit jaye to kya
Akela to toota hai hi
Armaan agar mit jaye to kya

 

Baha Main..
By : Gagan (Views : 692)

Baha main milte hain,khiza main bichadte hain,
Surkh pattoen ki tarhaen ye zameer se girte hain.

 

Hunar
By : Gagan (Views : 708)

Dilon se khelne ka hunar humein nahi aata
isliye Ishq ki baazi hum haar gaye.
Meri Zindagi se shayad unhe bohat pyar tha
isliye mujhe zinda hi maar gaye.

 

Dawa
By : Gagan (Views : 818)

yaad
Zkham aisa diya ki koi dawa kam na ayi,
Aag aisi lgayi k pani se b bhuj na payi.
Aj b rote hai unki yad me,
jinhe hmari yad na aai.

 

Ret Ka Tile
By : Gagan (Views : 732)

kyon banati ho ye ret ke tile jise tum
khud hi tod jaoogee
aaj kehtee ho mujhse pyar hai
kal mera naam tak bhool jaoogee

Pyaar Karne Ka
By : Gagan (Views : 937)

pyaar karne ka andaazkoi aap se seekhe
dunia ke nazar mein gire aur aap chale pallu jhatak ke |

 

Sikhaa Doon
By : Gagan (Views : 694)

Tere saamne khoon se khat likh kar tumhein dikhaa doon
aa bekhabar tujhe parakhne ka andaaz sikhaa doon |

 

Cigarette
By : Gagan (Views : 935)

Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Dil jalati hai, par hothon se to lagati hai

 

Maana Zindagi
By : Gagan (Views : 853)

Maana ZINDAGI ek haseen khawab hai,
Lekin her khawaab ko manzil nahi milti...
Tootker zindagi ke raaste pe bikher jaate hain..."WOH RISHTE"...
Jinhe zanzeer nahi milti.

 

Kabar Me
By : Gagan (Views : 1474)

Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter