Hate Shayari
PAGE=2
GAM KO BECHKAR KHUSHI KHAREED LENGE.
By :
Gagan (Views : 1111)
GAM KO BECHKAR KHUSHI KHAREED LENGE.KHWAB BECHKAR JINDAGI KHAREED LENGE.hOGA
IMTIHAAN TO DEKHEGI DUNIYA. KHUD KO BECH KAR AAPAKI KHUSHI KHAREED
LENGE.
MANOJ SONI BHOPAL 9827641719
Jism Ke Har Kone Se, Khushboo Tumhaari AaTi
Hai..
By : Gagan (Views : 658)
" Jism ke har kone se, Khushboo Tumhaari aaTi hai..
Jab bhi Tanha hoTi
hun, Yaad Tumhari aaTi hai.. "
"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise
chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."
"Ho gaye Tumse juda, KiTne badnaseeb hain hum..
Rootha humse aaj mera
khuda, KiTne fakeer hain hum.."
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Gagan Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Apni Aakho Ke Samundar Me Utar Jane De
By :
Gagan (Views : 691)
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke
Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon
Kahoon Tujhse, Magar Jaane De Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum
Hum
Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum
Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
Samajh Baithe
By :Gagan (Views : 1038)
Fareb tha hasi may aashiqi samajh baithe,
Maut ko hee apni zindagi samajh
baithe,
Waqt ka mazak tha ya badnaseebi hamari,
Uski do baaton ko
chaahat samajh baite.
Dil Ka Dhadakna Mushkil Ho Jaye......
By :
Gagan (Views : 1429)
main yeh nahi kahti
koi dil mein na samaye
main yeh nahi kehti ke koi
arzoo na ban paye
per itna jaroor kahna hai
agar samajh sako
ke dil
mein kabhi kisi ko
itni jagah na do
ke dil ke liye dhadakna hi
mushkil
ho jaye......
Unhein Hui Nafrat Sare Jahan Se
By : Gagan
(Views : 996)
unhein nafrat huii sare jahan se,
nayii duniya koi laye kahan se,
tumhari baat lagti hai mujhe teer,
nigaah ka kaam lete ho zubaan se,
nazar par kyun chadha kar mujhko patka,
giraya kyun zameen par ,asmaan
se,
unhein jiss baat se thi sakht nafrat,
wahi baat nikali zabaan se.
Tu Nahi Nahi Kaha Kare
By : Gagan (Views :
1189)
tune tou kaha tha ki ishq dhoung hai,
tujhe ishq ho khuda kare,
koi
tujhko uss se juda kare,
tere honth hansna bhool jaye,
teri ankh
,poori-num raha kare,
tujhe hijr lage woh ghadi,
tu her pal milan ki dua
kare,
tu usse dekh kar ro pade,
woh nazar jhuka ke chala kare,
phir
tujhe ishq par ho yakeen,
tu usse tasbiyon mein padha kare,
phir main kahu
ke ishq tou dhoung hai,
tu nahi nahi kaha kare,
tu nahi nahi kaha
kare.
Andaja Na Tha
By :Gagan (Views : 1571)
apse door jane ka irada bhi na tha
sada saath rehne ka vada bhi na
tha
aap bhul jaoge hame ye to jante the
par itni jaldi bhul jaoge ye
andaja na tha
Chod Gaya
By : Gagan (Views : 1240)
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak,
Jaate hue rota woh mujhe
chhod gaya tha.
Armaano ki Duniya ke anmol se sapne,
Pal main woh mere saamne sab tod gaya
tha.
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi,
Besabab Duniya se meri rukh
mod gaya tha.
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi,
Hamraah Saare ghamon se rishta
mera jod gaya tha.
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche,
Yahan kis ke sahare pe mujhe chhod
gaya tha.
Love U Still
By : Gagan (Views : 1520)
Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain
yeh
kaisi chahat hai yaaro
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se
mohabbat karte hain
Ro-o-ge Meri Yaad Mein Tanha.....
By :
Gagan (Views : 1227)
Kabhi ro-o-ge meri yaad mein tanha,
Ujad chuka hoga aashiyana ho jaungi
main fanaa,
Meri har baat ki tasweer bana kar rakhna,
Mera intzaar apni
aankhon mein bana kar rakhna,
Tujhse maangi thhi khushiyan maine,
Tuney
gham bhi dene se inkaar kar diya,
Jaate hue yaad karna mood mood kar,
Mere
aansoo teri awaaz ko taras rahe thhe,
Bahut yaad aaungi mein tanhaiyon
mein,
Kabhi ro-o-ge meri yaad mein tanha dekhna.
Nafrat....
By : Gagan (Views : 1237)
Humne socha thha woh bhi chahte hain hume,
Par kal ek sach unhone bataya
hame,
Humne poocha tumhe nafrat kis se hai,
To unhone aaina dikhaya
hame.
Dukh Ta Bathere Par Dasne Ni Yaar Nu
By :
Gagan (Views : 769)
Dukh ta bathere par dasne ni yaar nu,
Aape yaad aaju kade sohni sarkar
nu,
Je us kol sama haini sade kol behan da,
Sanu vi ni shounk dukh
pathra nu kehn da.
Teri Chahat Mein...
By :Gagan (Views :
856)
Kuch iss tarah chaah baithe hum tujhe,
Hosh bhi khoya, neend bhi
khoyi,
Seh na sake hum teri judaai ko,
Ki abb humme har insaan se
nafrat,
Aur isqh ke naam se dhashat si hone lagi.
Ujda Nasheman
By : Gagan (Views : 742)
Ro-oge meri yaad mein tum hichkiyan lekar,
Main jaa rahi hoon tumhe aisi
siskiyan dekar,
Mere nasheman ko tumne ujada hai,
Yeh wada raha
mera,
Laut kar aaungi tere chaman mein bijliyan lekar.
Meri Adhoori Daastan
By : Gagan (Views :
1460)
Yeh daastan bhi ab adhoori rahegi,
Tere mere beech mein ab doori
rahegi,
Bahut royi hoon tujhe yaad karke,
Ab yeh aankhein na geeli
rahengi.
Na shikwa karenge kisi se ab,
Na dard apna dikhayenge,
Tere diye dard
ke saath hi,
Ab hum muskurayenge.
Tu kar le laakh koshish,
Par ab na tootenge hum,
Khushiyon se sajayi
hai mehfil,
Ab door bhaag jaayenge gham.
Teri zaroorat nahi ab mujhe,
Teri yaad hi qaafi hai,
Meri soti huii
raaton ke liye,
Tera ehsaas hi kaafi hai.
Ja duur ja mujhse,
Phir na waapas aana kabhi,
Aana toh aise ki,
Duur
na jaana kabhi.
Tanhai Mein Rote Hain Wo
By : Gagan (Views
: 1293)
Tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua,
Zindagi jeete
hain wo, har zahar peete hain to kya hua,
Aaj bhi apni parchhaiyon mein
dhoondta hoon use,
Yaad to taaza hai,hum maazi (past) hue to kya hua.
Kya Faida Hua Hai Ab Intzaar Karke....
By :
Gagan (Views : 1357)
Kya faida hua hai ab intzaar karke?
Gardish mein aa gaye hain,hum tumse
pyar karke,
Iss daur mein wafa ka hum karobaar karke,
Dard nibha rahe hain
dushman se pyaar karke,
Har shakhs ki nazar mein kehla rahe hain
mujrim,
Kuch khaas doston par aitbaar karke,
Ab hum na to iss zameen ke
aur na to aasmaan ke,
Ik bewafa ke wade ka aitbaar karke,
Pehle mera
janaza taiyaar to main kar loon,
Bhejungi tumko phir ghodi par sawaar
karke.
Bekaraar Dil...
By : Gagan (Views :
989)
Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar
hi na karoon,
Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad
main kisi aur se pyaar hi na karoon.
Lout Ke Na Aayenge
By : Gagan(Views :
1368)
Mousam ki tarah badalna aata nahin humein,
Par hum aap ko badal ke
dikhayenge,
Bhale hi kitna manaa lo humein,
Ab hum na lout kar wapas
aayenge.
Dosti Nibhana
By : Gagan (Views : 1574)
Hum dosti nibhana jaante hain,
Zakham kitne bhi gehre ho dava jaante
hain,
Hame bhulne ki koshish na karna dost,
Hum gala dabana bhi jaante
hain.
Savera Na Ho
By : Gagan (Views : 1224)
Ab chalka do wo jaam,
Jisme nasha na ho.
Pila do sharaab usse,
Jo
dard ko pita naa ho.
Ek chingari jo badhak rahi ab,
Phaila do aag jahan
uski,
Nishani naa ho.
Ho sake to mita dena humein bhi,
Kya pata kisi
ko,
Meri aaj ki raat ka savera na ho.
Kisi Ko Itna Mat Chaho
By : Gagan (Views :
1541)
Zindagi Ke Safar Mein Kisi Ko Itna Mat Chaho,
Ke Wo Tumhari Chahton Ka
Qatil,
Aur Wafaon Ka Saudagar Ban Jaye.
Phool Ka Fool
By : Gagan (Views : 1069)
Samjha tha jisse phool ussne hume fool bana diya,
Dil ki geheraiyon mein
ussne nafrat ka shool chubha diya.
Dard Ka Ehsaas
By : Gagan (Views :
1409)
Aasoonon ke chalne ki awaaz nahi hoti,
Dil ke tutne ki aahat nahi
hoti,
Agar hota khuda ko har dard ka ehsaas,
To usse dard dene ki aadat
nahi hoti