Hate Shayari
PAGE=1
Yahan Se Chhutkara
By : Gagan (Views :
242)
Rab hume de do is jahannum se chhutkara
Hum kahi bhi reh lenge ban ke
awara
Ye dil toh ban gaya hai jaise bechara
Kyuki yahan ab nahi hoga apna
gujara
DEEWAR NAFRAT KI
By :Gagan (Views :
591)
Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to
bhala kaise
Kiya hai waar tu usko jo apna samajhta tha
Laga di aag mere
ghar me bujhaye to bhala kaise
Teri har berukhi ko nazar andaz kiya hum
ne
Diya jo zakhm is dil par dikhaye to bhala kaise
Teri kaayeri ka bayan
kab tak karega Noor
Teri har galati ko yun hi bhulaye to bhala
kaise
Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki
mitaye to bhala kaise
Khone Se Darte Hain
By : Gagan (Views :
3753)
Tanhayion se nahin hum mehfil se darte hain
duniya se nahin hum khud se
darte hain
yun to bahut kuchh khoya hai humne
na jaane kyun tumhe khone se
darte hain
Kahan Hai Tu
By : Gagan (Views : 2478)
Mana tu mere saath nahi
par tere hone ka ehsas kam bhi nahi hai
Tu
ayegi ye aitbar hai mera
na aaye to koi gum bhi nahi hai
Teri talaash me
nikle hai garm jajbat mere
dard to hai par jism pe jakhm bhi nahi hai
Roj
tanhai me chand se guftgu hoti thi
aaj bhi chand hai goya hum hi nahi hai
Lazzat E Ashq, Teri Ankhen
By : Gagan
(Views : 1671)
Lazzat e ashq ka maja puch mujhse
mere mehboob ko tadpane me maja aata
hai
Teri nazro ko mujhse koi shikayat hai shayad
bin badal barsat mere
ghar bhi nahi hoti
Hum to bas yunhi shayar ban baithe
suna hai unko bhi
shauk hai gungunane ka
Apni adao se vo to bekhabar hai
Hume to aadat hai
adao ko harf pehnane ka
Hume rehjano ne nahi rehbaro ne luta hai,
varna
hum bhi manjil ke kafi kareeb the.
Bujh Ke Rakh Nahi Hote
By : Gagan (Views :
945)
Manzil Se Koso Door Sahi,
Purdard Sahi Ranjore Sahi,
Zakhmon Se Musafir
Chur Sahi,
Par Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai
Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Aansu Ki Tarah Seene Mein Chhupa Kar
Rakhte Hai,
Aur Saari Umar Nahi Rote,
Neendein Bhi Mouhaiya Hoti Hai Sapne
Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagte Rehte Hai Kyon Sari Raat Nahi
Sote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein
Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote.
Pyaar Ka Saya
By : Gagan (Views : 2342)
Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga
Chand Lamhe Hi Sahi Wo Bhi
Roya To Hoga
Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar
Uske Naino Ko Bhi
AshQone Bhigoya To Hoga
Dilke Rishte Bhi Kis Kadar Ajeeb Hote Hai
Tujhko
Bhi Sanam Kisi Rishte Ne Thukraya To Hoga
Lab Khamosh Honge Kismat Mein
Tanhayi Hogi
Tab Hi Wo Mere Pyaar Mein Dooba To Hoga
Tere Naseeb Mein Hai
Aakhri Saans Jab Tak
Jahan Bhi Jaoge Wahan Pyaar Ka Saaya To Hoga
Main Tujhe Bhula Dungi
By : Gagan (Views :
889)
main dil par jabr karungi tujhe bhula dungi
marungi khud bhi tujhe bhi
kadi saza dungi
yeh teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere
sheher ke sare diye bujha dungi
hawa ka haath bataungi har tabahi
mein
hare shajar se parindein main khud udda dungi
wafa karungi kisi
sogwaar chehre se
purani qabr par qutba naya saja dungi
isi khayal mein
guzri hai sham-e-dard aksar
ke dard hadd se badhega tou muskura dungi
tu
asmaan ki surat hai gir padega kabhi
zameen hoon main bhi magar tujhko asraa
dungi
badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
main tere khat teri tasweer
tak jala dungi
bahut dino se mera dil udaas hai
is aayine ko koi aks ab
naya dungi
Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
By :
Gagan (Views : 1158)
Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
Tadap Ne Ke Liye Sirf Yadein
Reh Jati Hai
Kya Fark Padta Hai Dil ho Ya Koyla
Jalne Ke baad To Sirf Rakh
Reh Jati Hai
Dharti Ka Gum Chupane Ke Liye
By : Gagan
(Views : 647)
Dharti ka gum chhupane ke liye gagan hota hai
Dil ka gum chhupane ke liye
badan hota hai
Mar ke bhi chhupane honge gum shaayad
Isliye har laash pe
kafan hota hai
Kachi Deewar Hoon
By : Gagan (Views :
437)
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na
Giraana Mujko!
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein
Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko !
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay
Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko !
Vaada Utna Hi
Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana
Mujko!
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena,
Main to Aashiq Hoon
Deewana na Banana Mujko !
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni
Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Mita Denge
By : Gagan (Views : 1563)
har dard ko chhupa denge hum
har zakham ko mita denge hum
tumhe aisa
lagta hai ke
hum tum se pyaar karte hain
iss ehsaas ko bhi mita denge
hum
Pyaar Nahi Karenge
By : Gagan (Views :
1367)
kisi ki yadoon mein khona achha nahi lagta humein
kisi ke liye tanha jeena
achha nahi lagta humein
hum to kaat chuke hain bohut phele tanha
zindagi
ab phir se kisi ke liye marna achha nahi lagta humein
Meri Wafa Ke Qabil
By : Gagan (Views :
1469)
meri wafa ke qabil nahi ho tum
pyaar mile aise insaan nahi ho tum
dil
kya tum par aitbaar karega
pyaar me dhoka diya aise bewaafa ho tum
Rafta Rafta
By : Gagan (Views : 1312)
jinka sach hona kisi surat se bhi mumkin na tha
aisi aisi baatein aksar
sochna achcha laga
pehle pehle tou nighaaon mein jachta nahi tha
rafta
rafta dusra, phir teesra achcha laga.
BEETE DINO KI BAAT BHULAU KAISE
By : Gagan
(Views : 882)
BEETE DINO KI BAAT BHULAU KAISE
PYAAR KI PAHALI MULAQAT BHULAU
KAISE
AAKHON ME APANE LAAKH SAPANE SAJAYE MAINE
AAJ AANSUO ME UNHE MAIN
BAHAU KAISE
ROOH SE UTH KE LAFJ AATE HAIN JUBA PE MERE
KHULTE HAIN KHUD BA
KHUD HOTH NA GAAOU KAISE
MAHAL UMMID KE CHUN CHUNKE BANAYE MAINE
APANE
HAATHON HI UNHE AAJ GIRAU KAISE
HOTH KHAMOSH THE AUR AANKH BAAT KARTI
THI
SHOKHIYON SE BHARI WO RAAT BHULAUN KAISE
PADTE HAIN PAIR ME CHHALE
CHALTE CHALTE
CHALKE NAZDIK TERE PAAS MAIN AAUN KAISE?
Teri Doli Uthi
By :Gagan (Views : 1506)
Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bi barse,
Phool
mujh par bi barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya
gaya,
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,
FARQ SIRF ITNA SA
THA,
To uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya,
Mehfil wahan bhi thi,
Log
yahan bhi the,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
Unka hasna wahan,
Inka rona
yahan,
Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol
mere pade,
Tera nikah pada,
Mera janaaza pada,
FARQ SIRF ITNA SA
THA,
Tujhe apnaya gaya,
Mujhe dafnaya gaya.
Tumhari Chhoti Se Chhoti
By : Gagan (Views
: 557)
tumhari chhoti se chhoti baat
bhi bhulti nahi
yaad hai jo dil se jati
nahi
apni yaadon se keh do
is tarhan se tang na karein
raat guzar
jati hai or neend aati nahi
Mere Gusse Mein Bhi
By : Gagan (Views :
530)
mere gusse mein bhi
jhalk thi pyaar ki
tere iqraar mein bhi
adaa thi
inqaar ki
Tum Se Wafa Ki Umeed
By : Gagan (Views :
735)
tum se wafa ki umeed nahi karte
to rooth jao bina baat ke
yeh hum
kabool nahi karte
narazgi ki wajha to batao
warna aise hi hum kissi
ko
apne kareeb nahi karte
Sach Mein To Mumkin Nahi
By : Gagan(Views :
413)
sach mein to mumkin nahi,
chalo jhooth se hi,
yaad kar liya
hota,
sach kehna to mushkil tha,
jhooth se hi iqraar kar diya hota.
Jaa Duaein Leti Jaa
By : Gagan. (Views :
439)
aashiq ki duwaye leti jaa jaa tujhko pati kangaal mile
khichdi ki kabhi
yaad na aaye ja tujhko chane ki daal mile
tarse tu lipstick powder ko aur
yaad kare tu kaajal ko
resham ki tujhe saadi na mile mohtaaj rahe tu makhmal
ko
make-up ki tujhe fursat na mile ja ji ka janjaal mile
Rog
By : Gagan (Views : 917)
hum kise chahte hi nahi,
chaha jise bhulate bhi nahi,
par waqt ne kar
diya tha majbur,
varna ye rog hum kabhi lagate hi nahi.
Haseeno
By :Gagan(Views : 1026)
Phoolon mein ab wo nami na hogi..
haseeon ki ab kami na hogi...
chhaya
hai sab pe pyaar ka junoon...
par pehle jaisi waha bhi kabhi na hongi...
Manzilein Bhi Us Ki THI
By : Gagan (Views :
1050)
Manzilein bhi us ki thi
Rasta bhi us ka tha
Ek main akela
tha
Kaafilaa bhi us ka tha
Saath saath chalne ki soch bhi us ki
thi
Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha
Aaj kyun akela hoon
Dil
sawal karta hai
Log to usi ke the
Par kya khuda bhi us ka tha
Har
raasta bhi us ka tha
har fiasla bhi us ka tha
Log bhi usi ke the
shayad
khuda bhi us ka tha aur kya karon bayan apni barbadiyon ka aalam ki Jo ab sawal
karta hai ye dil mera bhi us ka tha