Polly po-cket


Friendship shayari

Friendship shayari

PAGE=7

Tumsay Door Hokar
By : Gagan (Views : 600)

tumsay door hokar bhi dil kay pass rahoongi
tum jaha bhi jayo humesha tumary saath rahoongi khusboo bankar akash bankar barasti hove
baarish bankar har ahsaas bankar saath mein rahoongi
har pal humari har saans bankar.

 

Har Aadmi Ka Apna
By : Gagan(Views : 312)

Har Aadmi Ka Apna Alag Vision Hota Hai,
Har Cheez Ka Apna Alag Season Hota Hai,
Logo Ke Liye Ye Hai Akshar Ya Shabd,
Par Mere Liye Tumhara SMS Muskurane ka Reason Hota Hai.

 

Rulakar Hume Woh
By : Gagan(Views : 600)

Rulakar Hume Woh Khush Ho Jaayenge,
Saath Me Nahi To Jaane Ke Baad Muskurayenge,
Dua Hai Khuda Se Unhe Dard Na Dena,
Hum To Seh Gaye Par Woh Tut Jaayenge.

 

Kuch Meethe Pal
By : Gagan(Views : 624)

Kuch Meethe Pal Yaad Aate Hai,
Palko Par Aansu Chod Jate Hai,
Kal Koi Aur Mile To Hume Na Bhulna,
Dosti Ke Rishte Zindagi Bhar Kaam Aate Hai.

 

Rishta
By : Gagan (Views : 944)

RISHTA matlab MADAT karna
Bina Sankoch kiye
DENA bina Kuch liye,
PYAR karna bina Hadd tai kiye,
YAAD rakhna bina Kuch Paye.
RISHTON mein bandhne ke liye
Saat Pheron ki Zaroorat nahi,
Jahan man bandh gaye wahan,
Rasmon ki zaroorat nahi.

Yaado Me Teri Jiye Jane Ki Taiyari Hai
By : Gagan(Views : 1035)

Yaado Me Teri Jiye Jane Ki Taiyari Hai,
Khushi Se Mar Jaane Ki Taiyari Hai,
Humne Aapko Yaad Kiya Hai,
Ab Aapki Baari Hai.

 

Dost Aur Dil
By : Gagan (Views : 1034)

dosti ka rishta duniya mein anmol hai,
chhoo kar dekho agar, to lagta hai phool hai,
kanto bhari zindgi phool har dagar khilati hai,
mehfil mein tanhai mein har pal saath nibhati hai,
ankhon mein saat rang ke khwaab yeh sajati hai,
jab ude rang mohabat ka yeh dil mein utar jati hai,
seep mein moti banta hai saal hazaron mein,
wasie hi mukhlis dost hota hai lakh sitron mein,
is ki har ek shakh per wafa ke phool khilte hain,
is ke har mousam se dankh ke rang jhalakte hain,
sagar se gehra dil se is ka nata hai,
khush kismat hai woh insan jise sacha dost mila hai.

 

Kar Lo Dosti Tum Hum Say Meri Dosti Likhi Teray Naam
By : Gagan (Views : 704)

phir shaam aaye mere darr par le kar chand ka paigam,
kar lo dosti tum hum se meri dosti likhi tere naam.
hum ne kaha ke jante nahi hum tum ko kaise bana le dost hum,
kar le kaise dosti tum se kyon dosti likhi mere naam.
chand ne kaha ke main janta tumhe,
tum janti nahi main dekhta rehta tumhe,
tumhare sundar chehare par meri roshni pade subha shaam,
kar lo dosti tum hum se meri dosti likhi tere naam.
dost banne ke liye bahut mil jayenge,
par samajh jaye apne dost ko mann se aisa koyi milta nahi,
tum hum ko samjhoge kaise, janoge kaise mere mann ki baat,
kar lu kaise dosti tumse kyon dosti likhi mere naam.
chand ne kaha main door hoon mana,
pass Aa sakta nahi ye hai jana,
door ho kar bhi pass main rahunga,
kabhi bhi tum ko yon udaas na dekh sakunga,
kar lo dosti tum hum se meri dosti likhi tere naam.
kya itni hi door rehne wale apne dost ko samajh sakte hain,
dost kay jazbat ko or maan ki baat ko, kis hadd tak jaan sakte hain,
kya apne dost se is tarha hi dosti nibha sakte hain,
jo koyi unse karta hai?

 

Nazar Hamari
By : Gagan(Views : 654)

Nazar Hamari Nazar Tumhari,
Nazar Ne Nazar Ki Nazar Utaari,
Nazar Ne Nazar Ko Dekha Aise,
Ke Nazar Na Lage Dosti Ko Hamari.

 

Dua Me Humne
By : Siya (Views : 721)

In andhero ke liye kuchh aftab mange hai,
dua me humne dost kuchh khas mange hai.
Jab bhi manga kuchh rab se,
to tere liye dost kushiyon ke pal behisaab mange hai.

Aap Ki Zindagi
By : Gagan (Views : 588)

is jahan mein dostane aur bhi banege
lekin kismat ne chaha to app ki zindagi banege

 

JAANE KYON ?
By : Gagan (Views : 1263)

sapne mere sapne mushkil kyon itne, poore honge ek din yakeen hai hume,

jab din dhale shaam ka roop le hava yon chale, jaise saaz koyi baje

jab hi hava hum ko chhoo kar jati hai, aisa kyon lage jaise pas ho koyi mere,

raat jab utare chand ko le kar bahon mein sab rang khone lage

nigahon hi nigahon mein andhere mein har cheez doob jati hai, har rah jaane kaha kho jati hai

khamoshi hi khamoshi chha jati hai jane kaisi udaasi aa jati hai,

chaand ko dekh kar aankh bhar aati hai, bohat door rahne wale ek dost ki yaad satati hai

woh bhi chaand ki tarha aata hai, or jaane kaha chhup jata hai

hum ko satane mein maza ata hai, roye to woh hum ko manata hai

kaise bataun use ki dosti hai sab se badh ke.

 

APAN KO TSUNAAMII KAHTE HAIN
By : Gagan (Views : 776)

TOPON SE RASHTRAPATI KO DEE JAATI HAI
USE TOPON KI SALAAMI KEHTE HAIN

JISKA RANG HO BADAAM KE JAISA
USE BADAAMI KEHTE HAIN

APAN TO JAHAN JAATE HAIN
CHHA JAATE HAIN
DIL-O-DIMAAG PAR

SHAAYAD ISIILIYE
APAN KE DOST LOG APAN KO
TSUNAAMII KEHTE HAIN

 

A LUCKY STAR
By : Gagan (Views : 726)

A lucky star dropped on the earth
It asked me whether i choose a million dollar or a true friend
I choose a million dollar
Because i already have you

 

Aey Dost
By : Gagan (Views : 1307)

dua karte hai ham sar jhukake
aey dost tu apni manzil ko paye
agar kabhi teri raho me andhera aye to
roshni ke liye khuda hame jalaye

Farz
By : Gagan (Views : 791)

ham dosti ka farz nibhate rahenge
waqt-b-waqt aapko satate rahenge
dua karo ki umr lambi ho hamari
agar mar gye to bhut ban kar
aapko har waqt darate rahenge

Maang
By : Gagan (Views : 1093)

Chand ne bhagwan se chandni maangi,
Suraj ne bhagwan se roshini maangi,
Bhagwan ne jab humse hamari chaht puchhi,
Tho humne tohfe may tumhari dosti maangi....

 

Dost
By : Gagan (Views : 1344)

Dost hote nahi bhul jaane ke liye,
Zindagi milti hai dost banane ke liye,
Humse dosti rakhyega tho itni khushi denge,
ke waqt hee nahi milega aansu bahane ke liye.

 

My Fist Gazal
By : Gagan (Views : 964)

dost zindagi mein boht sanam
par zindagi kud hi hai dost sanam
phir bhi hoti zarurat dost ki
achhay dost milte hain zindigi mein kam

kuch dost hote hain dil ke jo nibhate hain har saath
par kuch hote hain aise bhi jo karte hain sirf time pass

dost bana lete hain sab hi agar
dosti nibhana nahi jante magar

dost zindagi mein bohat sanam
par zindagi kud hi hai dost sanam
phir bhi hoti zarurat dost ki
achhay dost milte hain zindagi mein kam

 

Phoolon Ki Khushboo......
By : Gagan (Views : 1107)

phoolon ki khushboo ko churaya nahi jata,
suraj ki roshni ko chupaya nahi jata,
chahe kitni bhi doori ho hum mein aur aap mein,
lekin aap jaise dosto ko bhulaya nahi jata.

BESHAK
By : Gagan(Views : 694)

BESHAK KUCH WAQT KA INTEZAAR MILA HUMKO,
PAR KHUDA SE BADHKAR DOST MILA HUMKO
NA RAHI KISI JANNAT KI TAMANNA,
AE DOST TERI DOSTI SE ITNA PYAAR MILA HUMKO!!

(I LOVE YOU..)

 

Yakin Karo Hamper Hum Tumhe Chod
By : Gagan (Views : 583)

yakin karo hamper hum tumhe chod nahi sakte,dosti ki in hawayo ka rukh mod nahi sakte,jis rishte ko banane mein lag gaye barso humko,us rishte ko palbhar mein tod nahi sakte
Gagan

 

Zindagi Nahi Dosto Se Pyari.......
By : Gagan (Views : 919)

Zindagi nahi dosto se pyari,
dost par hazir jaan hamari,
aankhon me hamare aansu to kya,
jaan se pyari hai muskaan tumhari............

 

KABHI TO DOSTON KO
By : Gagan (Views : 773)

Kabhi to doston ko dushmani ki nazar se dekhen
Kabhi to dushmanon ko dosti ki nazar se dekhen

Idhar se dekhne par, jo nazara, theek lagta hai
Jaruree to nahin, vaisa hi ho, jab udhar se dekhen

Ujalon se shikayat hai jinhen, jaa kar kaho unse
Kabhi to roshni ko teergi [andhera] ki nazar se dekhen

Ye achchha hai, bura hai vo; ye mera hai, paraya vo,
Kabhi to aadmi ko 'aadmi' ki nazar se dekhen

Ridam, tuning, khanakte bol - sab kuchh theek hai, lekin
Kabhi to shayree ko 'shayree' ki nazar se dekhen

 

Zindagi Agar Tujhe
By : Gagan (Views : 1851)

zindagi agar tujhe kisi uljanomey uljhaye
dundne par bhi agar koi sahara na mill paye
uss wakt e-dost hume yaad karna tu jaroor
sari duniya ko chod hum tere sineysey lipat jaye


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter