Friendship
shayari
PAGE=4
MERA DOST
By : Gagan (Views : 648)
main janti hu ke dost mera mujh se pyaar kare
saath dega har pal na mujjh
se daga kare
chhod kar kabhi na jayega haath mera jo tham le
saath hai
sadiyon purana dil ne kaha dil se
har baat samjhta hai jo kaha na tha kab
se
jab hi use pukaroon sun leta hai jhat se
mera dost hai bohat pyara nahi
koyi us jaisa
rooth jayo to manata hai thoda sa hans ke
doori mein bhi
pass hai juda nahi dil se
Duniya Ne Dosti Bechi
By : Gagan (Views : 669)
kabhi aansoo kabhi khushi bechi
hum garibon ne bekasi bechi
chand
saanse kharid ne ke liye
roz thodi si zindagi bechi
jab rulane lage mujhe
saaye
main uqta ke roshni bechi
ek hum the ke beek gaye khud hi
warna
duniya ne dosti bechi
Apaki Dosti Ke Liye
By : Gagan (Views : 3702)
Dard Kafi Hai Bekhudi ke liye,
Maut Zaruri Hai Zindagi Ke Liye,
Koun
Marata Hai Yahan Kisike Liye,
Par Hum To Zinda Hai Bas Apaki DOSTI Ke
Liye.
MERI DOSTI
By : Gagan(Views : 2318)
SACHI HAI MERI DOSTI AAZMAKE DEKHLO
KARKE YAKIN MUJHPE MERE PAAS AAKE
DEKHLO
BADALTA NAHI KABHI SONA APNA RANG
JITNI BAAR DIL KARE AAG LAGA KAR
DEKHLO
Aapsi Vishwas Na Ho Jab Talak
By : Gagan (Views :
2106)
वो अगरचे आदतन लाचार हैं
हम निभाने में, तजुर्बेदार हैं
दो दिलों के बीच
है जो फासला
बीच उसके भी, कई दीवार हैं
भूल कर भी, दिल्लगी उनसे न कर
जो दिमागी तौर पर, बीमार हैं
आपसी विश्वास ना हो जब तलक
सुलह के सब
फैसले बेकार हैं
DOSTI NIBHANE KI AADAT HAI
By : Gagan(Views : 2480)
EK ALAG PEHCHAN BANANE KI AADAT HAI
ZAKHM HO JITNA GEHRA MUJHE UTNA
MUSKURANE KI AADAT HAI
HUM SAB KUCHH BHULA DETE HAIN DOSTI ME
KYUNKI HUME
DOSTI NIBHANE KI AADAT HAI
Ye Duniya Wale
By : Gagan (Views : 993)
ye duniya wale bhi ajeeb hote hai
kabhi door to kabhi kareeb hote
hai
dard naa batao hame kayar kehte hai
or dard batao to hame shayar
kehte hai
Mahefil
By : Gagan (Views : 1232)
mahefil me kuchh to sunana padta hai,
gam chupakar bhi muskurana padta
hai,
kabhi hum bhi aapke dost the,
aaj kal ye bhi yaad hame dilana padta
hai.
Dost
By : Gagan (Views : 1420)
Har mod par mukaam nahi hota
dil ke rishto ka koi naam nahi hota
dil ki
roshni se khoja hai aapko
aap jaisa dost milna aasan nahi hota
Muskuraana
By : Gagan (Views : 1111)
Muskurana hi Khushi nahi hoti
Umar bitana hi Zindagi nahi hoti
Khud se
bhi zyada khayal rakhna padta hai dosto ka
Kyoki Dost kehna hi Dosti nahi
hoti
Kabhi Yaad
By : Gagan (Views : 990)
KABHI YAAD AAYE TO EK BAR KEHNA
KABHI AANSU BANKE IN AKHON SE
BEHNA
DOST NAHI SAHI TO AJNABEE HI REHNA
PAR KABHI ALVIDA NA KEHNA
Dosti
By : Gagan (Views : 853)
Hum kho gaye to rahon me dhunda karoge tum
Har ek ko rok rok ke puchha
karoge tum
Hum kehte the hum se badhayo na dosti
Tanhai me baith kar phir
roya karoge tum
Dosti
By : Gagan (Views : 1575)
DOSTI mosam nahi,
keh apni muddat poori karay orr
rukhsat ho
jaye,
DOSTI sawan nahi,
keh toot kar barsay or tham jae,
DOSTI aag
nahi,
keh sulge bharke or bujh jae,
DOSTI aftab nahi,
keh chamkey or
doob jae,
DOSTI phool nahi,
keh khiley or phir murjha jae,
DOSTI to
saans hai jo chaley to sab kuch
toot jae to kuchh bhi nahi
Din Beet Jate Hai
By : Gagan(Views : 1754)
Din Beet Jate Hai Suhani Yaad De Kar
Baate Reh Jaati Hai Kahani
Bankar
Par Dost To Hamesha Dil Ke Karib Rahenge
Kabhi Muskaan Bankar To
Kabhi Aankho Ka Paani Bankar
Dost Tu Bahot Yaad Aaya
By : Ashique-E-Bimar (Views :
1346)
Aaj Rootha hua ek dost bohot yaad aaya,
Achha guzra hua kuch waqt bohot
yaad aaya,
Meri aankho ke har ek ashk pe rone wala,
Aaj jab aankh yeh
royee tu bohot yaad aaya,
Jo mere dard ko seene mein chhupa leta tha,
Aaj
jab dard hua mujh ko bohot yaad aaya,
Jo meri aankh mein kajal ki tarha rehta
tha,
Aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya,
Jo mere dil ke tha qareeb
faqat us ko hi,
Aaj jab dil ne bulaya tu bohot yaad aaya.
Aap Lakh Bhula Ke Dekh Lo
By : Gagan(Views : 1419)
Aap Lakh Bhula Ke Dekh Lo
Hum Dilse Yaad Aayenge
Honge Aapke Bade
Chahne Wale
Hum Sabse Badhkar Chahenge
Aap Paani Pee Pee Ke Thak
Jaaoge
Hum Hichkiyan Ban Ban Ke Aayenge
Hasi Ne Labo Par
By : Gagan(Views : 1326)
Hasi Ne Labo Par Thirakna Chhod Diya
Khwaabo Ne Palko Pe Aana Chhod
Diya
Nahi Aati Ab To Yeh Hichkiya Bhi
Shaayad Aapne Hume Yaad Karna Chhod
Diya
Kuch Khoye Bina
By : Gagan(Views : 846)
Kuchh Khoye Bina Humne Paya Hai
Kuchh Maange Bina Humne Mila Hai
Naaz
Hai Hume Apni Taqdir Pe
Jisne Hume Aap Jaise Dost Se Milaya Hai
Sapne The
By : Gagan(Views : 886)
Sapne The Sapno Ke Aap Saahil Hue,
Na Jaane Kaise Hum Aapki Dosti Ke Kabil
Hue,
Karzdar Hai Hum Us Hasin Pal Ke,
Jab Aap Hamari Chhoti Si Duniya Me
Shaamil Hue.
Sachchi Dosti
By : Ashique-E-Bimar (Views : 702)
Na intzaar hai na ikraar hai,
na aapse milne ko ab mera dil be-kraar hai,
phir bhi dil se na jaane kyon yeh aawaz aati hai,
wo tumhi ho jinki
aankon aur baaton mei,
ek sachchi dosti ka khumar hai.
Aazmaish Dosti Me
By : Gagan(Views : 560)
Aazmaish Dosti Me Zaruri Hoti Hai,
Na Mil Pana Kisi Ki Majburi Hoti
Hai,
Yaad Dur Se Aapko Kar To Sakte Hai,
Lekin Dil Ki Hasrat To Mulakaat
Se Hi Puri Hoti Hai.
Yeh Gum Yeh Aansu
By : Gagan(Views : 567)
Yeh Gum Yeh Aansu Kabhi Kam Na Hoge,
Yeh Yaado Ke Ghere Har Dum Na
Hoge,
Bita Lo Zindagi Ke Kuch Pal Hamare Saath,
Phir Yaad Karoge Jab Hum
Na Hoge.
Dil Armaano Se Houseful Hai
By : Gagan(Views : 475)
Dil Armaano Se Houseful Hai,
Pure Hoge Ya Nahi Ye Doubtful Hai,
Yun To
Duniya Me Har Cheez Wonderful Hai,
Par Zindagi Aap Jaise Dosto Se Powerful
Hai.
Matlab Parast Yaaro Se
By : Gagan(Views : 439)
Matlab Parast Yaaro Se Kya Hoga,
Manch Par Khaali Naaro Se Kya
Hoga,
Bas Ek Hi Chaand Kaafi Hai Roshni Ke Liye,
Hazaaro Sitaaro Se Kya
Hoga.
Chaand Pe Jane KI Khwahish
By : Gagan(Views : 462)
Chaand Pe Jane KI Khwahish Rakhta Hu,
Suraj Pe Jaane Ki Khwahish Rakhta
Hu,
Par Ae Aavaam Ae Jahaan,
Sabse Pahle Tumhe Khush Dekhne Ki Khwahish
Rakhta Hu..