Friendship
shayari
PAGE=3
DIL Dil Se
By : Gagan (Views : 1523)
DIL dil se juda nahin hote
yeh kisi par fida nahin hote
pyaar se bada
koi nahin hota
pyaar se bada to dosti ka rishta hota hai
kyun ke dost
bewafaa nahin hote
Jeene Ki Nayi
By : Gagan (Views : 1108)
jeene ki nayi ada di hai
khush rehne ki usne dua di hai
aye khuda use
sara jahan dena
jis dost ne apne dil mein thodi si jagah di hai
Laakhon Ki Sun Kar
By : Gagan (Views : 870)
laakhon ki sun kar tum ne taqdir savari hai
mujh se yahi kah dete ab ke
teri zarurat nahi hai
Daali hai nazar jab se ek nashaa sa taari hai
kya
koi pari shishe mein utari hai
kya us ko raaz ayenge jannat key hasi jalve
dehliz tere dar ki jis shakhs ko pyaari hai
virasat mein mili hum ko
shaahi bhi faqiri bhi
aur gam to goya jagir hamari hai
DOSTI KA RISHTA.
By : Gagan (Views : 904)
KHUSHIYON PAR FIZAON KA PEHRA THA
NA JANE KIS UMEED PE DIL THEHRA
THA
TERI ANKHON SE JHALAKTE DARD KI KASAM
YEH DOSTI KA RISHTA PYAR SE
GEHRA THA
APNA MUKADDAR
By : Gagan (Views : 818)
TUJHE APNA MUKADDAR BATATE HAI HUM
KHUDA KE BAAD TERE AAGE SIR JHUKATE HAI
HUM
DOSTI KA RISHTA TOD MAT DENA
IS RISHTE KE DUM PAR HI MUSKURATE HAI
HUM
Kuchh Mausam Sapne Lagte Hain
By : Gagan(Views :
921)
shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro
se kushboo ke moti bikharte hain
hawao ki rawani se aati hai sargam kar
rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke
kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri
ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par
dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain
zindgi ki tanha lehron
mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko
mehkate hain
Satati Ho
By : Gagan (Views : 781)
Karne Ke Liye dosti
Har Baar Kehta Hun Aap Ko
Ik Tum Aisi Ho
Ki
Samajhti Nahi Mere Dil Ke Jazbaat Ko
Kyun Milti Ho Din Mein Mujhe
Kyun
Satati Ho Raat Ko
Kuch Der Aapka
By : Gagan (Views : 1421)
Kuch der aapka mera saath chalna baaki hai
Shamshan me jalta chhod kar mat
jaana
Varna ruuh kahegi ke Ruk Jaa
Abhi tere dost ka dil jalna baaki hai
Hum Kahaan Aap Ko Baar Baar Milenge
By : Gagan(Views :
1529)
Iss duniyaa ki bheed me bahut se yaar milenge
hum kya hum se bhi achhe
hazaar milenge
in achhon ki bheed me hume bhula na dena
hum kahaan app ko
baar baar milenge
Hum to yunhi behkudhi me keh baithe
ki hume koi yaad nahi karta
jis ka
ho aapke jaisa pyaara dost
vo kabhi kudha se bhi fariyaad nahi karta
Dosti Ek Dard Hai
By : Gagan(Views : 1229)
Sab ne kaha dosti ek dard hai
Hummne kaha dard kabool hai
Sab ne kaha
is dard ke saath jeena padega
Humne kaha teri dosti ke sath marna bhi kabool
hai
Ek Ehsaas Hai Zindagi
By :Gagan (Views : 995)
Neend me khwab ki pyaas hai zindagi
ho nzariya toh bindaas hai
zindagi
Zism ke rukh me zindagi kuchh bhi ho
Dil ke nazaro me ek ehsaas
hai zindagi
Ahamiyat pyaar ki kya kahen aapse
Pyaar hai toh bas mere paas
hai zindagi
Paas hokar bhi jo door hai aaj tak
Aise rishto se hi kuchh
khaas hai zindagi
Tooti ummeeden fir se judne lagi hain
Har kadam ek nai
aash hai zindagi
in sitaaron me ek Dost mil gaya
Verna toh kala aakaash hi
hai zindagi
Zindagi Ka Yahi Dastoor Hai
By : Gagan(Views : 872)
Khushi mili lekin hans na sake
gham mila lekin ro na sake
Zindagi ka
yahi dastoor hai
jise chaha use paa na sake
jise paya use chah na sake
Tarasti nazron ki pyaas ho tum
tadapte dil ke aas ho tum
bujhti zindagi
ki saans ho tum
phir kaise na kahu kuch khaas ho tum
Uske Pass Gum Tha
By : Gagan(Views : 794)
Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya
tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha aye rab
Dar-asal
tab uske gam ka ehsas kam tha
Door Reh Kar
By : Gagan(Views : 898)
har koyi saath ho ye zarori nahi hota
jagah to dil mein banayi jati
hai
pas ho kar bhi dosti itni atoot nahi hoti
jetni ke door reh kar
nibhayi jati hai
Dosti Ka Rishta
By : Gagan (Views : 953)
Kya ek dusre ko samajhna hai
Ya phir aasani se koi baat kehna hai
Ya
shayad ek dusre par bharosa karna hai
Ya phir kisi begane ko apna karna
hai
Kabhi uski baat par hasna hai
Toh kabhi usi baat par sochna
hai
Kabhi baar baar milna hai
Aur kabhi bina mile dil ka haal batana
hai
Kuch aur nahi ye DOSTI hi hai
Jisne dhaagon mein dilon ko piroya
hai
Is Bazm Mein Log Apne Nahi Hote
By : Gagan (Views :
695)
Khwaabon Khayal HaQeeQat Nahi Hote,
Rang Sabhi Pakke Nahi Hote,
Log
Duniyake Sabhi Sachhe Nahi Hote,
Dost Ehbaab Jaise Bhi Ho Achhe Nahi
Hote,
Khud Ka Matlab Nikal Jaye To Muh Lete Hai Mod,
Bachhe Bhi Aajkal
Bachhe Nahi Hote,
Khushiyan To Pal Bhar Ki Hai Ab Samajh Aya,
Gam Ke Lambe
Dhaage Kachhe Nahi Hote,
Aye Dost Sambhal Ja Tu Ab Is Bazm Mein,
Is Bazm
Mein Log Apne Nahi Hote.
DOSTI AISI HO KE
By : Gagan (Views : 1020)
DOSTI AISI HO KE SAANSON ME BASS JAYE,
SAANS BHI LOON TO KHUSHBOO USKI
AAYE.
Dost To Dost Hai
By : Gagan (Views : 614)
Aaj Ehsas Ke daman me gira Ke dekho
Dosti Kitni sacchi hai dil laga ke
dekho
aapko bhool kar kya hogi dil ki halat
kisi aaine par patthar gira ke
dekho
ZINDAGI KEHTE HAIN.
By : Gagan(Views : 619)
PYAAR KEHTE HAIN,MUHABBAT KEHTE HAIN
KUCHH LOG USE BANDAGI KEHTE
HAIN
MAGAR JINKE SAATH HUM DOSTI KARTE HAIN
HUM UNHEN APNI ZINDAGI KEHTE
HAIN
DOSTI KA EHSAAS
By : Gagan(Views : 609)
YAAD AAYE KABHI TO AANKHE BAND MATT KARNA
HUM NA MILE TO KABHI GHUM MATT
KARNA
YE JAROORI NAHI KI HUM HAMESHA SAATH RAHEN
PAR DOSTI KA EHSAAS KABHI
KAM MATT KARNA
TUMSE TUMHI TAK
By : Gagan(Views : 541)
TUM HO TO MUJHE SAB SILSILE ACHHE LAGTE HAIN
MUJHE TUMHARI DOSTI KE HAR
GILEY ACHHE LAGTE HAIN
BAHUT DOOR TAK JANA PAR LAUT BHI AANA
MUJHE TUMSE
TUMHI TAK FAASLE ACHHE LAGTE HAIN
Lamha Aapke Hothon
By : Sumeet Singh Kalsey (Views :
845)
Lamha Lamha aapke hothon par muskan rahe
har gam se aap aanjaan
rahe
jiske saath se mehak uthe aapki zindagi
hamesha aap ke paas wohi
insaan rahe
YE WO EHSHAS HAI
By : Gagan(Views : 685)
DOSTI SHABD NAHI JO KAHA JAYE
JISM NAHI JO FANAA HO JAYE
SAFAR NAHI JO
MUKAAM PAYE
YE WO EHSHAS HAI JISKE LIYE
AGAR JIYA JAYE TO
ZINDAGI KAM
PAD JAYE
KUCHH MANG KAR TO DEKHO
By : Gagan(Views : 866)
KABHI ANDHERA TO KABHI SHAAM HOGI
MERI HAR KHUSHI DOSTI KE NAAM
HOGI
KUCHH MANG KAR TO DEKHO HUMSE
HOTHON PE HANSI AUR HATHELI PE JAAN
HOGI
Tumhari Dosti
By : Gagan (Views : 574)
tumhari dosti nawazi mein gehraayi hoti
zameen toot ke taaron pe gir gayi
hoti
bahut se log pareshan ho gaye hote
jo baat sach thi woh kahi gayi
hoti
khushi ne thik kiya jo humse door door rahi
humare paas jo aati to ro
padi hoti
tujhe bhi log humari tarah samajh lete
humare jaiso ki teri agar
dosti hoti
main roshni ke sarabon se to bachi rehti
naseeb mein jo jara
aur teergi hoti